Aaye Kuchh Abr, Kuch Sharaab Aaye,
Us Ke Baad Aaye, Jo Azaab Aaye
(Abr=cloud Azaab=obstacle)

Baam-E-Miinaa Se, Mehtaab Utre,
Dast-E-Saaqii Mein , Aaftaab Aaye

Har Rag-E-Khuun Mein Phir, Chiraaghaan Ho,
Saamne Phir Woh, Be-Naqaab Aaye

Kar Rahaa Thaa, Gham-E-Jahaan Ka Hisaab,
Aaj Tum Yaad Be-Hisaab Aaye

Na Gaii Tere Gham Kii Sardaarii,
Dil Mein Yuun Roz Inqilaab Aaye

Is Tarah Apnii Khamoshii Guunjii,
Goyaa Har Simt Se, Javaab Aaye
(simt = direction)

“Faiz” Thii Raah Sar-B-Sar Manzil,
Ham Jahaan Pahunche, Kaamyaab Aaye


USR