Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi,
Par Uski Jaroorat Kya Hogi,
Aye Maa….,
Aye Maa Teri Surat Se Alag
Bhagwan Ki Surat Kya Hogi… Kya Hogi.
Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi.

Insaan Toh Kya Devta Bhi,
Anchal Me Palaey Tere,
Hai Swarg Isii Duniya Mein Kadmo Ke Tahley Tere,
Mamta Hi Lootayen Jis Ke Naiyan
Aisi Koi Moorat Kya Hogi
Aye Maa….,
Aye Maa Teri Surat Se Alag
Bhagwan Ki Surat Kya Hogi …Kya Hogi.
Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi.

Kyon Dhoop Jalaye Dukhon Ki,
Kyon Ghum Ki Ghata Barse,
Yeh Haath Duaon Waley Rahtey Hain Sadaa Sar Pe
Tu Hai Toh Andhere Path Me Hamey
Suraj Ki Jaroorat Kya Hogi
Aye Maa….,
Aye Maa Teri Surat Se Alag
Bhagwan Ki Surat Kya Hogi … Kya Hogi.
Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi.

Kahetey Hain Teri Shaan Me Toh,
Koi Oonchey Bol Nahin,
Bhagwan Ke Pas Bhi Maata Tere Pyar Ka Mol Nahin,
Hum To Yehi Jaane Tujhse Badi,
Sansar Ki Daulat Kya Hogi
Aye Maa….,
Aye Maa Teri Surat Se Alag
Bhagwan Ki Surat Kya Hogi … Kya Hogi.
Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi.


bow.gif bow.gif bow.gif