'Buudha Ped'
by - Gulzar
Mod Pe Dekha Hai,
Woh Buudha-Sa Ek Ped Kabhi ?
Mera Waqif Hai,
Bahut Salon Se Main Use Jaanata Hoon.
Jab Mein Chhota Tha,
To Ik Aam Udaane Ke Liye,
Parli Deewar Se Kandhon Pe Chadha Tha Uske.
Jaane Dukhti Huee Kis Shaakh Se Jaa Paanv Lagaa,
Dhaad Se Phenk Diya Tha Muje Neeche Usne.
Maine Khunnas Main Bahut Phenke The Pathar Us Par.
Meri Shaadi Pe Mujhe Yaad Hai,
Shaakhein Dekar,
Meri Vedi Ka Hawan Garm Kiya Tha Usne.
Aur Jab Haamla(pregnant) Thi 'Biba',
To Dopahar Main Har Din,
Meri Biwi Ki Taraf Kairiyan Phenki Thi Isi Ne.
Waqt Ke Saath Sabhi Phool,
Sabhi Patti Gaye.
Tab Bhi Jal Jaata Tha Jab, Munne Se Kehti 'Biba',
'Haan,Usi Ped Se Aaya Hai Tu, Ped Ka Phal Hai'
Ab Bhi Jal Jaata Hoon, Jab Mod Se Gujarte Mein Kabhi,
Khaanskar Kehta Haiā¦
'Kyon!, Sar Ke Sabhi Baal Gaye?'
'Subah Se Kaat Rahe Hain Woh Kameti Wale,
Mod Tak Jaane Ki Himmat Nahin Hoti Mujhko'