Posting lyrics of one of most fav HASRAT JAIPURI lyrics from poonam(1981) - Aa zara mere humnasheen

Hasrat had bad luck that most of sad or senti songs in SJ movies used to go to Shailendra ( though he benefited by having more romantic songs then shailendra in his kitty ! ). So you get few sad or philosphical songs by Hasrat. though he was capable of writing good stuff in this genre as well !

HASRAT was magician with catchy mukhdas and could be one of those lyricsits whose lyrics came max times in geetmala program before 1968 !


This song is from poonam film and music was given by his bhaanja - Anu malik. Anu was brilliant in his early phase. Check for instance this song. this song's violin had tunes of two of his future songs, which were popular as well.. ( can anyone guess those songs??)

This song doesnt has clear recording. ( something very much like Shankar of 70s.) you can get touch of SJ orchestra in this song. though anu malik laterz made good LP type music in 80s. !

has anyone seen this movie. is it some sad song or wat ?

And then Rafi saab as always is perfect inthis song !
Song can be DOWNLOADED from following link

http://www.savefile.com/files/1876822


Aa Zara mere humnasheen


Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Zindagi se bhaag kar aaya hoon main mujhe thaam le ( brilliant one !!! )
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le


Apni hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon ( good ! )
Apni hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon
Main kahaan tha kahaan se kahaan aa gaya
Kya se kya ho gaya main bhi haraan hoon ( good one !!! )
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Aa zara


Bhuj gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye
Bhuj gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye ( nice !!)
Dil ka seesha jo toota gham kyon kare
Dard kaafi hai bas zindagi ke liye
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Aa zara


Raat aati rahi raat jaati rahi
Mere gham ka na lekin savera hua
Raat aati rahi raat jaati rahi
Mere gham ka na lekin savera hua
Apne apne naseebon ki baatein hain ye ( good !! )
Jo mila humko uska bahut shukariya
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Zindagi se bhaag kar aaya hoon main mujhe thaam le
Aa zara