meray dard ki jo dua karay koi asa skhaks huwa karay
woh jo bay-panah udaas ho magar hijar ka na gila karay

meri chahtain meri qurba'atain usay yaad aye''n qadam qadam
to woh sub say chup kay libaas-e-shab mai lipt kay a'Ah-o-baqa karay

barhay uska gham to qarar khooday woh meray gham kay khyal say
uthay hath apnay liye to phir bhi meray liye hi dua karay

ye qasas ajeeb-o-gareeb hain, ye mohabatoo'n kay naseeb hain
mujhay kasay khud say juda karay usay khud bataoo kay kya karay

kabhi teh karay yohi soch soch mai faraq kay woh faslay
meray pechay akay dabay dabay, meri ankhain mond hasa karay

bhala kasay apnay hi aqs ko mai rafeeq-e-jaan bana sakhoo'n
koi aur ho to bata to day, koi hai kahi to sada karay

usay dhondti hai gali gali meri khlwatoo'n ki udasiya'n
woh milay to bus ye kaho kay a'A, mera mola tera bhala karay