QUOTE(anjvajay @ Nov 10 2007, 10:38 AM)

Shukriya Madhavi,
Kisi doosari jaban ke lafz ke liye theek lafz talaash karna humesa mushkil hota hai. Maine dekha ki jyadater dictionaries me ‘Dharohar’ ka matlab ‘Deposit’ diya huwa hai. Lekin bure se bure translator ko agar 'cash deposit' ko hindi me translate karna ho to ise 'naqad dharohar' nahin likhega. Deposit ke liye hindi me koi sahi lafz nahin hai, theek waise hi jaise Dharohar ke liye English me. Dharohar ke sabse kareeb ka lafz Amaanat hai(Sahir ki dharohar=Sahir ki amaanat).
Dharohar ka root Sanskrit ka 'Dhar' hai jis ka matlab rakhana,pakadna ya sambhalna hota hai('Dharti' ka root bhi yahi 'dhar' hai ). Dharohar ka doosra hissa Sanskit ka 'Arh'(kabil-Able) hai jo 'Prakrit' ki chhalni se gujarte huwe 'Apbhrans'(jis se aaj kal India me boli jaanewali jaydater Indo-European jabane nikli hain) tak aate-aate 'Har' ho jata hai. Lobbo lubab ye ki Dharohar = rakhne ya smbhalne ke kabil.
Jabanon ko achchhi tarah janane ke liye unka carnet reference bahut jaroori ho jaata hai.
Dharohar ka 'Heritage' ke liye istemal naya hai. Lekin ab hindi me aam hai. Maslan : 'Taj ek waishwik dharohar(World Haritage) hai.' Lekin agar koi dictionary utha ke dekhe to use ab bhi Heritage ke liye 'Miraas' 'Viraasat' ya 'Rikth' to milega Dharohar shayad kahin nahin.
Khair linguistics se aur uljhane se behter hai ki is thread me kuchh aur add karne ki koshish karoon. Aapke bore hone ke liye shayad itna kaafi hai.
Ajay,
Apart from you fabulous uploads, your explanations are the fun part of your posts. Please don't stop that...

. Had not connected the "dhar" root to dharti, very interesting. Thank you for the songs, had just three of them. Have not heard them yet, am looking forward to listening to them.