Kise Kya Samjhoon?
-Ahmed Nadeem Qasmi
Kisko qatil main kahoon kisko masiha samjhoon
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samjhoon
Woh bhi kya din the ke har waham yaqeen hota tha
ab haqeeqat nazar aaye toh use kya samjhoon
Dil joh toota toh kayi haath dua'a ko uthe
aise mahaul mein ab kisko paraya samjhoon
Zulm yeh hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf yeh hai ke main ab tak tujhe apna samjhoon
Sajda <------LINK