Kehna Ek Deewana Teri Yaad Mein Aahen Bharta Hai
Mohammed Rafi & Lata Mangeshkar - Laila Majnu

Mere qaasid tu jab pohunche mere dildaar ke aage
Adab se sar jhukana, husn ki sarkaar ke aage
Zabaan se gar na keh paye, toh aankho se bayaan karna
Mere gham ka har ek kissa mere ghamqaar ke aage

Kehna ek deewana teri, yaad mein aahein bharta hai
Likh kar tera naam zameen par, usko sajde karta hai

Chaak girebaan khaak basar, phirta hai sooni raahon mein
Saayon ko lip-tatha hai aur laila laila karta hai
Likh kar tera naam zameen par, usko sajde karta hai

Khud ko bhool gaya hai lekin, teri yaad nahi bhoola
Dil ke jitne zakhm hai unmein tera hi aks ubharta hai
Likh kar tera naam zameen par, usko sajde karta hai

Kehna mere deewane se, laila teri amanat hai
Teri baahon mein damm degi, tu jiska damm bharta hai
Dil ke jitne zakhm hai unmein, tera hi aks ubharta hai
Sadqay jaon is qaasid par, jis se ye paighaam mila
Mera qatil mera maseeha, ab bhi mujhpar marta hai


http://www.youtube.com/watch?v=xHPEd2wxAR8