Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
Magar koi bahana chahta hai
Jisse dil ki tarhan is dil main rakha
Woh hi ab dil dukhana chahta hai
Woh apni hansi gharion ko deker
Khud apna gham bhulana chahta hai
Main jis ki yaad main duniya ko bhooli
Woh hi mujh ko bhulana chahta hai
Usse kya ho dard ka ehsaas
Jo mera dil dukhana chahta hai....

----------
- Chahat

Check out these funny and rude sms
http://www.SMSFunOnline.com