Bhatakte dekhe hain laakhon Mullah
Karodon Pandit, hazaron siyaane
Jo Khoob socha, samajh mein aya
Khuda ki baatein, khuda hi jaane

Aa ke duniya mein bashar, Kaam karna hai jo kar
Saaf neeyat hai agar, Phir na anjaam se darr
Jaane padti hai kidhar, Uski rahmat ki nazar
Ye Allah ko khabar, Ye toh Maula ko khabar

Dekhte dekhte kyun khel bigad jaate hain
Kyun baharon mein bhare baagh ujadjaate hain
Pyar se paala jinhe apna lahoo de de kar
Usi daali se wohi phool bichadjaate hain
Kisi zalim ka basay, loote mazloom ka ghar
Ye Allah ko khabar, Ye toh Maula ko khabar

Wo jo chahe toh bura waqt bhi tall sakta hai
Wohi kismat ki lakeeron ko badal sakta hai
Zaat par uski bharosa hai toh bande ek din
Raat ke seene se suraj bhi nikal sakta hai
Aadmi ko kya khabar, uski manzil hai kidhar
Ye Allah ko khabar, Ye toh Maula ko khabar

Jaane kis bhes mein kis mod pe wo miljaye
Teri umeed ki har ek kali khiljaye
Dil se nikli hui faryad mein wo taaqat hai
Wo jo sunle toh pahadon ka bhi dil hiljaye
Maangte rehna dua, hoga kis waqt asar
Ye Allah ko khabar, Ye toh Maula ko khabar

Zulm ki aag mein zalim ko jalaya usne
Ek majboor ka ghar phir se basaya usne
Naam leta hua uska jo sawaali aaye
Uske darbaar se hargiz na wo khaali jaye
Uske ghar der sahi, nahi andher magar
Ye Allah ko khabar, Ye toh Maula ko khabar


http://www.youtube.com/watch?v=QEha2R5jbk8