Mumkin Hai Ke Tu Jisko Samajhta Hai Bahaaran
- Allama Iqbal
Mumkin hai ke tu jisko samajhta hai bahaaran
auron ki nigaahon mein woh mausam ho khizan ka
Hai silsila ehawaal ka har lahaja dagaraguun
aye saalek-rah fikr na kar suudo-zayaan ka
Shaayad ke zameen hai woh kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahaan ka!