Tu Abhi Rahguzar Mein Hai
- Allama Iqbal

Tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar

Jis ka amaal hai be-garaz, us ki jaza kuchh aur hai
hoor-o-Khayaam se guzar, baada-o-jaam se guzar

Garche hai dil-kusha bahot husn-e-firang ki bahaar
taayarek buland baal daana-o-daam se guzar

Koh shigaaf teri zarab tujhse kushaad sharq-o-garab
teze-hilaahal ki tarah aish-o-nayaam se guzar

Tera imaam be-huzoor, teri namaaz be-suroor
aisi namaz se guzar, aise imaam se guzar.