Door Se Door Talak
- Gopal Das Neeraj
Door se door talak ek bhi darakht na tha
tumhare ghar ka safar is qadar toh sakht na tha
Itne masaroof the hum jaane ki taiyaari mein
khade the tum aur tumhen dekhne ka waqt ka tha
Main jis ki khoj mein khud kho gaya tha mele mein
kahin woh mera hi ehasaas toh kambakht na tha
Joh zulm sah ke bhi chup rah gaya na khaul utha
woh aur kuchh ho magar aadmi ka rakt na tha
Unhin faqeeron ne itihaas banaaya hai yahan
jin pe itihaas ko likhane ke liye waqt na tha
Sharaab kar ke piya us ne zahar jeevan bhar
hamare shahar mein ‘Neeraj’ sa koi mast na tha