Ab Ke Hum Bichhade Toh Shaayad...
- Ahmed Faraz
Ab ke hum bichhade toh shaayad kabhi khwabon mein mile
Jis tarah suukhe huye phool kitaabon mein mile
Dhoond ujade huye logon mein wafa ke moti
Yeh khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein mile
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insan hain to kyon itne hijaabon mein mile
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha badta hai sharaben jo sharaabon mein milen
Aaj hum daar pe kheinche gaye jin baaton par
Kya ajab kal woh zamaane ko nisaabon mein mile
Ab na woh main hoon na tu hai na woh maazi hai 'Faraaz',
Jaise do shakhs tamanna ke sarabon mein mile