Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Yeh Na Thi Hamari Qismat
Hamara Forums > Music > Lyrics
noorie
Yeh Na Thi Hamari Qismat
- Mirza Ghalib

yeh na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover

agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

tere waade par jiye hum to yeh jaan jhoot jaana
to live on your promise is to make my life a lie

ke khushi se mar na jaate agar 'eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

teri naazuki se jaana ke bandha tha 'ehed booda
from your frailty I learnt that the promise was delicate

kabhi tu na tod sakta agar oostuwaar hota
it would not stand broken had you been determined

koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
someone ask me about your half-drawn arrow

yeh khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota
would i even feel this pain if it had pierced my heart

yeh kahaan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
what kind of friendship is this, that friends are now advisers

koi chaarasaaz hota, koi ghamgusaar hota
someone should ease my pain, someone sympathize with me

rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
from every nerve drips blood without restraint

jise gham samajh rahe ho, yeh agar sharaar hota
as if that which you think is anguish is but a spark

gham agarche jaan gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
threatening as love is, there is no deliverance from the heart

gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
if not the torment of love, it would be the torment of life

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bhala hai
whom shall I narrate the pangs of these evenings of sorrow

mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
i would have not resented this death, had it come only once

hue mar ke hum jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
that I died and was disgraced, why was I not just drowned

na kabhi janaaza uthta, na kaheen mazaar hota
never was there a funeral, no where was a tomb erected

use kaun dekh sakta ke yagaana hai woh yaktaa
who can see him since his Oneness is without peer

jo dooee ki boo bhi hoti to kaheen do chaar hota
even the scent of his duality would be an introduction

yeh masaail-e-tasawwuf, yeh tera bayaan 'Ghalib'!
this mysticism, these statements of yours Ghalib

tujhe hum walee samajhte, jo na baada khwaar hota
you would be a saint, if only you were not inebriated
Ashfaque Hussain
Wow...

Mazaa aagaya Noorie Ji..

Thanks...
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.