Hui hai shaam toh aankhon mein bass gaya phir too
Kahan gaya hai mere shaher ka musafir too

Bohat udaas hai ek shaks tere jaane se
Jo ho sake toh chala aa usi ki khaatir too
Kahan gaya hai mere shaher ka musafir too

Mein jaanta hoon ke duniya tujhe badal degi
Mein maanta hoon ke aisa nahin ba-zaahir too
Kahan gaya hai mere shaher ka musafir too

Hasi khushi se bichar ja agar bicharna hai
Ye har makaam pe kya sochta hai aakhir too
Kahan gaya hai mere shaher ka musafir too

Faraaz too ne usay mushkilon mein daal diya
Zamaana saahib-e-zarr aur sirf shayar too