Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Nazm, Sher, Ghazal
Hamara Forums > General > Shayaris & Tukbandis
YaarMere
Shayad kushi ka daur bhi aa jayega faraz, gham bhi to mil hi gaya tha.. tamanna kiye begair.
YaarMere
Achanak uske aa jane ka allam aur hota hai, achanak uske aa jane ka allam aur hota hai.. mujhe baad-e-sabaa ki mukhbari achchi nahi lagti. laugh.gif


YaarMere
Sitare raat jab aapne dupatte mein sajaye gi, zameen par chandni jab narm chaadar si bichaye gi, chandeli ki kiaryi mein hawaa jab sarsaraye gi, koi nazuk si tahti shak par jab tartaraye gi, koi chancal kali jab hanse ke bhanwre ko lubaye gi, tumhein haas us waqt meri yaad aaye gi.

Sahar badal ke tukron se rui si dun rahi ho gi, sitaron se fizaa jab jaal koi bun rahi ho gi, rubab-e-kehkashan se raat nagme sun rahi ho gi, shafaq ki shazadi jab dupatte chun rahi ho gi, hawaa ki angani pe sham jab anchal sugaye gi, tumhein,
haas us waqt meri yaad aaye gi.

Woh sawan ki puware woh ghataye bhool sakti ho, woh jamna ka kinara woh hawein bhool sakti ho, woh pagdandi woh khawabhour fizayen bhool sakti ho, woh mujh ko bhool jane ki duwain bhool sakti ho, nahin, jab bhi duwaa ko koi ladki haat utaygi, tumhein haas us waqt meri yaad aaye gi.

Suhagan jab koi sindoor baalon mein sajaye gi, milan ka geet jab koi padosan gunganaye gi, sawan mein koi saqi julaa julaye gi, koi chanchal shahli jab gale tum ko lagaye gi, tumhari koi humjoli tum jab gudaye gi, tumhein haas us waqt, meri yaad aaye gi.. tumhein haas us waqt meri yaad aaye gi.



QUOTE
tumhein haas us waqt meri yaad aaye gi


I think I have this line wrong. If any1 can put this right then plz do so.
YaarMere
Mujhe bhool bhi jaoo to yeh haq hai tum ko, mujhe bhool bhi jaoo to yeh haq hai tum ko, meri baat aur hai meine to mohabbat ki hai.

Mere dil ki mere jazbat ki keemat kya hai, uljay uljay se khayalat ki keemat kya hai, meine kyun pyar kiya, tumne na kyun pyar kiya, in pareshan sawalaat ki keemat kya hai.. tum jab yeh bhi na batao to haq hai tum ko arre meri baat aur hai meine to mohabbat ki hai.

Zindagi srif mohabbat hi nahi kuch aur bhi hai, zulf-o-rukhsaar ki jaanat nahi kuch aur bhi hai, bhookh aur pyaas ki mari hui is duniya mein ishq ki haqeeqat nahi kuch aur bhi hai, agar tum aankh churao to hai haq hai tum ko.. meine tumse nahi, sab se mohabbat ki hai.

Tum ko dunyia ke gham-o- ranch se fursat na sahi sabse ulfat sahi mujhe se hi mohabbat na sahi.

(I dont know if u follow any of this my roman urdu is sum wot poor, i don't blame u'z if u don't, but try to follow n allow me to repeat this...

Tum ko dunyia ke gham-o- ranch se fursat na sahi sabse ulfat sahi mujhe se hi mohabbat na sahi.)

Ok, I'm over it now, I'll finish it off...

Tum ko dunyia ke gham-o- ranch se fursat na sahi sabse ulfat sahi mujhe se hi mohabbat na sahi.
Mein tumhari hoon kya yeh tumare liye kaam hai, tum mere ho ke raho gay yeh meri kismat nah sahi… aur bhi dil ko jalo to yeh haq hai tum ko, aur bhi dil ko jalo to yeh haq hai tum ko meri baat aur hai... meine to mohabbat ki hai.

YaarMere
Pucha kisi ne haal kisi ka to roh diye, pucha kisi ne haal kisi ka to roh diye pani mein akas chand ka dekha to roh diye.

Nagma kisi ne saaz pe chhera to hans liye, ghunchca kisi ne shark se toda to roh diye, uda huwa gubarr sar-e-rah dekh kar anjam hum ne ishq ka soucha to roh diye, baad-e-fizaa mein aapki tasveer ban gay, saya koi khayal se guzara to roh diye, rang-e-shabak se aag shagooffon mein lagi huwi, sagar humare hath se chalka to roh diye,

pucha kisi ne haal kisi ka to roh diaye pani mein akas chand ka dekha to roh diaye.

Bawra Jay
Irshaad Irshaad ... yaarmere....smile.gif Agar kisine aapko yaad dilaya diya tau jawab mei kuch yeh arz karr dau bhai :----

hudood-e-zabt-e-wafa se guzarne wala tha
main apne aap ko neelaam karne wala tha......

safar k shauq ne majboor kar dia warna
main tere shehr main ik din theherne wala tha......
.
khud apne saaye se ab chaunk chaunk utth'ta hai
woh aadmi jo kissi se na darrne wala tha ........

teri nazar ne barre pyar se samait lia
abhi main aur zyada bikharne wala tha ........

hua hai qatal mera khwahishon kay haathon se
main itni jald to hargiz na marrne wala tha......

khalish lahu na raha mere jism main warna
ghazal mein aur bhi main rang bharne wala tha......


For the newbie in urdu shair or shayari fans :-
hudood = boundaries, seema
zabt - tolerance
khalish = pain, anxiety , dukh , viyog....


Aur aapke dusri nazm mujhe bhool bhi jao pe kuch yaad aa raha hai , arz karta hu ...

May Tujhay Bhool Jaoo Yeah Mumkin Nahee. ....
Bin Tere Mein Muskaraoo Yeah Mumkin Nahee. .....

Apne Atraf Dekho Nah Dekhoo Tujhay .....
Tujh Say Milnay Nah Aoo Yeah Mumkin Nahee .....

Teri Khushyoo Pay Sub Apnay Ghum Bhool Kar ......
May Khushyeah Nah Manaoo Yeah Mumkin Naheee .....

Tere Khatir Likhoo Rooz Tazah Ghazal ......
Aur Tujh Koh Hi Nah Sunaoo Yeah Mumkin Nahee .....

May Hoon Serah Tere Robaroo Bait Kar ......
Apni Palkain Uthaon Yeah Mumkin Nahee....

YaarMere
Aaya hi tha khayal ke aankhen chhalk uthi, aaya hi tha khayal ke aankhen chhalk uthi.. aansoo kisi ki yaad ke kitne kareeb the
YaarMere
Aazar ka Kalaam:

Baat nikle gi to phir door talak jayagi.

Baat nikle gi to phir door talak jayagi. log bewaja udasi ka sabak puchenge, yeh bhi puchege ke tum intni pareshan kyun ho, unglian utegi sukhe balon ki taraf,ek nazar dehkenge guzre huwe saalon ki taraf, choodiyon par bhi tansh kasse jayenge, kampte haathon ke bhi fikkre kasse jayenge, log zalim hai har ek baat ka tanaa denge,baaton baaton mein mere zikar bhi le aayenge, unke baaton ka zara sa bhi aasar ne lena, warna chehere ki taasur se samaj jayenge, chahye kuch bhi ho sawalat na karna unse, mere baare mein koi baat na karna unse, kyun... kyun ke baat nikle gi to phir door talak jayegi...

log bewaja udasi ka sabak puchenge.
Bawra Jay
Saba Afgani ne sunn liya tua kahenge....

Jo aa kay rukay daaman pay `Saba', woh ashq nahin hai paani hai,
Jo ashq na chalkay aankho say, us ashq ki keemat hoti hai !


All those which trickle down to daman.... kinda shoulder , dress , etc , Those tears are not tears, but those are water drops, Tears which don't come out of eyes, those ones are are valuable !

YaarMere
why do I get the feelin that ur pickin on me? laugh.gif laugh.gif laugh.gif
Bawra Jay
LOL... ROFL..... cause you kinda way gayish wink2.gif ha ha ha ...... JK (gayish in this context = jolly good person)
YaarMere
U know yaar, that explanation at the end was much needed, laugh.gif

I must say, ur a colourful n "gayish" chap urself..


U like sher o shayari huh.. who u like?
man123
QUOTE(YaarMere @ Jun 29 2004, 10:31 PM)
Achanak uske aa jane ka allam aur hota hai, achanak uske aa jane ka allam aur hota hai.. mujhe baad-e-sabaa ki mukhbari achchi nahi lagti. laugh.gif
*



Din to apni zindagi me do hi guzre hain kathin
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad.....


sorry 'yaar mere' mujhe poora nahi aata
man123
aee mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa....
jaane kyoun aaj tere naam pe ronaa aayaa....

yuun to har shaam ummiidon me guzar jaatii thii...
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa.....

kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa....
manzil-e-ishq me har gaam pe ronaa aayaa......

jab huaa ziker zamaane me mohabbat kaa 'Shakeel'....
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa....
Bawra Jay
QUOTE(man123 @ Oct 15 2004, 08:34 AM)
QUOTE(YaarMere @ Jun 29 2004, 10:31 PM)
Achanak uske aa jane ka allam aur hota hai, achanak uske aa jane ka allam aur hota hai.. mujhe baad-e-sabaa ki mukhbari achchi nahi lagti. laugh.gif
*



Din to apni zindagi me do hi guzre hain kathin
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad.....


sorry 'yaar mere' mujhe poora nahi aata
*



This is by another good poet "Mumtaaz Rashid"... If you remember most of the Pankaj udhas ghazals are written by him...

Its goes like this...

Waqt Saari zindagi mei ...Dau hi guzre hai khatin....
Ek tere aaney se pehle... ek tere jaane ke baad....

laa pila de saqiya paimana ...paimane ke baad....
baat hosh ki karunga...hosh mei aney ki baad... (munni begum version is little diff.. baat matlaab ki karunga...hosh aa janey ke baad...)



man123
good one from Jigar

Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya
Lehron se khelta hua lehra ke pi gaya


one more of Ahmed Faraz

Saqiya ik nazar Jaam se pahle pahle
Humko kahin jana hai shaam se pahle pahle

Khush hua ae dil ke mohabbat to nibha di tune
log ujad jaate hain anjaam ke pahle pahle

Ab tere Zikra par hum baat badal dete hain
kitni Ragabat thi humen tere naam se pahle pahle

Saamne umra padi hai shab-e-tanhai ki
wo mujhe chhod gaya shaam se pahle pahle


man123
Wo aankho se pilaye to main kya karoon
Wo hontho se pilaye to main kya karoon
Hum pine ke aadi bilkul nahi
Par Jaam khud chal kar aaye to Main kya karoon
Bawra Jay
waah waah man kya baat hai party2.gif party2.gif
desi
mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraaz kya karte

sanam tujh se mohabbat ka bhala aghaaz kya karte
labon per baat aayi per na thi awaaz kya karte

mere ahbaab kya karte mere damsaaz kya karte
mujhe jab dard hi tha raaz chaara saaz kya karte

hujoome shehar hum kho gaye kuch chain paane ko
akele mein sataati thi teri awaaz kya karte

dil e nazuk humara usne pal mein tor daala tha
use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karte

hum uske saamne chup saadh ker baiTha kiye phir bhi
jafakaari se pesh aayea voh heela saaz kya karte

saja ker sau tabasum aek gham tumse chupaati thi
magar anmol ke tum jaanker voh raaz kya karte
desi
kisi ko jeetna chaahay gi khud ko haaray gi
meray baghair bhi jeewan to woh guzaaray gi

karay gi yaad kay kiss tarha daykhta tha mujhay
woh aainay main kabhi baal jab sanwaaray gi

khabar nahin kay hansay gi ya rooay gi mujh par
meri ghazal ko woh kaaghaz pay jab utaaray gi

main mot say to kabhi mar nahin sakoon ga magar
yakeen hay kay mujhay zindagi hi maaray gi

dhamaal daalta jaaoon ga us ki jaanib main
jab aik din meri mitti mujhay pukaaray gi
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.