Aakhri ayyaam mein saarey hisaab likhoon ga
Mein bhi aik din kitaab-e-hayaat likhoon ga
Kaheen khushi ka tazkara, kaheen dukhoon ki daastaan
Kitaab-e-zeest kay, saarey hi baab likhoon ga
Kis tarha ham par shabaab aayaa tha
Kis tarha dhal gaya yeh aaftaab, likhoon ga
Terey hissey ki saari taabeerein
Apney ujrey jo khaab, likhoon ga
Dil kay har zakhm ko kuredoon ga
Chahatoon kay azaab likhoon ga
Terey faraaq mein jo mehw-e-khayaal guzrey hein
Woh aankhoon mein sajey saarey saraab likhoon ga
Jo baarha tashnagi barhaatey rahey
Mosamoon kay ataab likhoon ga
Haqeeqatoon sey mera waasta nahi Waris~
Lagta hai saarey wehem-o-khaab likhoon ga
unknown
********************************************************************************
******
jab geet hawaaon ne gaaye tum yaad aaye
jab khushbu ke baadal chhaye tum yaad aaye
jab subaho ne rang chalkaye tum yaad aaye
jab mehke shaamo ke saaye tum yaad aaye
jab koi sunahara din aaya jab mausam jhuma gehraya
jab rut ne li ek angdayi jab dhoop me narmi si aayi
jab rang naye kaliyon ko mile jab daali daali phool khile
jab phoolon pe bhanwre mandraye tum yaad aaye
jab koi suhaani raat aayi jab sapno ki baarat aayi
jab ambar me taare damke jab aangan me jugnu chamke
jab hui ghaneri khamoshi jab chaayi halki behoshi
jab raat ne tan mann pighlaaye tum yaad aaye...
unknown