Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Lyrics Translation
Hamara Forums > Music > Lyrics
princeali
Friends,

Can someone please fully translate these two beautiful songs for me, would really appreciate it:


Maine Poocha Chand Se - Abdullah (Rafi Saab)
Lyrics: Anand Bakshi
Music: RDB


Maine Poocha Chand Se Ke Dekha Hai Kahin, Mera Yaar Sa Haseen
Chand Ne Kaha Chandni Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi

Maine Yeh Hi Jaab Tera Dhoondha
Har Jageh Shabab Tera Dhoondha
Kaliyon Se Misaal Teri Poochi
Phoolon Ne Jawaab Tera Dhoondha

Maine Poocha Baag Se Falak Ho Ya Zameen, Aisa Phool Hai Kahin
Baag Ne Kaha Har Kali Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi

Ho, Chaal Hai Ke Mauj Ki Ravaani
Zulf Hai Ke Raat Ki Kahani
Hont Hain Ke Aaine Kawal Ke
Aankh Hai Ke Mahkadon Ki Rani

Maine Poocha Jaam Se Falak Ho Ya Zameen, Aisi Meh Bhi Hai Kahin
Jaam Ne Kaha Mehkashi Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi

Khoobsurati Jo Tu Ne Paayi
Lut Gayi Khuda Ki Bas Khudaayi
Meer Ke Ghazal Kahun Tujhe Main
Ya Kahun Khaiyyaam Ki Rubaayi

Main Jo Poochun Shayaron Se Aisa Dil Nashi, Koi Sher Hai Kahin
Shayar Kahen Shayari Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi




Pyar Hai Ik Nishan Qadmon Ka - Mukti (Rafi saab)
Lyrics: Anand Bakshi
Music: RDB


Mil Jaati Hai, Sansaar Mein, Sansaar Se Mukti
Milti Nahi Marke Bhi Magar Pyar Se Mukti

Pyar Hai Ik Nishaan Qadmon Ka
Jo Musafir Ke Baad Rehta Hai
Bhool Jaate Hain Log Sab Lekin
Kuch Na Kuch Phir Bhi Yaad Rehta Hai

Rok Leti Hain Raah Mein Yaaden
Jab Bhi Raahon Se Hum Guzarte Hain
Kho Gaye Qahaqahon Mein Jo Gham Wo
Aansuon Mein Talaash Karte Hain

Dil Pe Halaki Si Chot Lagti Hai
Dard Aankhon Se Toot Bahata Hai
Pyar Hai Ik Nishaan Qadmon Ka

Kuch Bhi To Kam Nahi Hua Dekho
Jashn Hain Phool Hain Bahaaren Hain
Tum Nahi Ho Magar Tum Hi Tum Ho
Sab Tumhari Hi Yaadagaaren Hain

Toot Jaane Se Toot Jaate Hain
Dil Ke Rishte Yeh Kaun Kehta Hai
Pyar Hai Ik Nishaan Qadmon Ka

Yeh Ghalat Hai Ki Marne Waalon Ko
Zindagi Se Nijaat Milti Hai
Is Bahaane Se Gham Ke Maaron Ko
Aur Lambi Hayaat Milti Hai

Maana Zanjeeren Toot Jaati Hain
Aadmi Phir Bhi Qaid Rehta Hai
princeali
Can anyone please translate them for me mellow.gif
sandyk
QUOTE(princeali @ Mar 9 2006, 09:15 AM) *

Can anyone please translate them for me mellow.gif


Prince I was waiting in case anyone else wanted to have a go:

The poet is comparing the beauty of his beloved using several metaphors. He compares it with other things in nature, the moon, the flowers, the night etc. He says he’s searched everywhere and has asked everyone if they have seen anyone as beautiful as his beloved and they all have said no

I think it might sound a bit funny when translated, but anyway here goes


Maine Poocha Chand Se Ke Dekha Hai Kahin, Mera Yaar Sa Haseen
I asked the moon whether it has seen anyone as beautiful as my beloved

Chand Ne Kaha Chandni Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi
The moon said ‘I swear by my light no,no,no’ (chandni is moonlight it’s often referred to by poets as the beloved of the moon)

Maine Yeh Hijaab Tera Dhoondha
I searched for your modesty

Har Jageh Shabab Tera Dhoondha
I searched for your beauty everywhere

Kaliyon Se Misaal Teri Poochi
I asked the flower buds if they have ever come across anything similar (misaal – example)

Phoolon mein Jawaab Tera Dhoondha
searched amongst the flowers to see if there was one as beautiful as you

Maine Poocha Baag Se Falak Ho Ya Zameen, Aisa Phool Hai Kahin
I asked the garden ‘whether its sky or earth is there a flower as beautiful as you ?’

Baag Ne Kaha Har Kali Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi
The garden replied ‘I swear by the flower buds no, no, no (as the flower buds belong to the garden – it will never lie swearing by them)

Ho, Chaal Hai Ke Mauj Ki Ravaani
when you walk it’s like a wave in the sea

Zulf Hai Ke Raat Ki Kahani
you hair is like the beauty of the night

Hont Hain Ke Aaine Kawal Ke
your lips are like petals ( aaine is mirror, kawal is lotus –same (as kamal I guess) )

Aankh Hai Ke Mahkadon Ki Rani
You eyes are intoxicated ( mahkadon – is bars where people go to drink)

Maine Poocha Jaam Se Falak Ho Ya Zameen, Aisi Meh Bhi Hai Kahin
I asked the wine glass ‘whether its sky or earth, is there any other wine like you? ’ (as intoxicating as you)

Jaam Ne Kaha Mehkashi Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi
The wine glass replied I swear by the wine no,no,no

Khoobsurati Jo Tu Ne Paayi

Lut Gayi Khuda Ki Bas Khudaayi

The beauty you possess must have left god bankrupt (as he has given you all the beauty there must be none left in his treasure to give to anyone else)

Meer Ke Ghazal Kahun Tujhe Main
Shall I call you a gahazal written by mir

Ya Kahun Khaiyyaam Ki Rubaayi
or shall I call you rabbia composed by khaiyyam

Main Jo Poochun Shayaron Se Aisa Dil Nashi, Koi Sher Hai Kahin
I asked the poets if they know of any poem which is as lovely as you

Shayar Kahen Shayari Ki Kasam, Nahi Nahi Nahi
The poets swore by their work and said no,no,no



[color=#FF0000] PS: I have struggled with a few of the words if anyone can suggested better words for the following it will be much appreciated

JAM - wine glass
KALI - flower bud
Mehkadi - is drinking ( is their an equivalent word in english for this)

princeali
That was great Sandy, Thanks Alot, its such a beautiful song !!

Would "Maine Poocha Chand Se....." qualify as a ghazal ?......since the lyrics include a rhyming structure.

Can you please translate the other song as well.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.