Aye mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baath hoti gulon tak toh sehlete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq hamara nahi
Aye mere humnasheen

Di sadaa daur par aur kabhi toor par
Kis jagah meine tumko pukara nahi
Thokren yun khilaane se kya faida
Saaf kehdo ke milna gawara nahi
Aye mere humnasheen

Gulsitaan ko lahoo ki zaroorat padi
Sab se pehle hi gardan hamari katii
Phir bhi kehte hain mujhse ye ahal-e-chaman
Ye chaman hai hamara, tumhara nahi

Aye mere humnasheen

Zaalimon apni kismat pe naazaan na ho
Daur badlega ye waqt ki baath hai
Wo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai, hamara nahi

Aye mere humnasheen

Aaj aaye ho tum, kal chale jaogay
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umr bhar ka sahara, bano toh bano
Do ghadi ka sahara, sahara nahi
Aye mere humnasheen

Apni zulfon ko rukh se hataa lijiye
Mera zaukh-e-nazar aazma lijiye
Aaj ghar se chala hoon, yehi sochkar
Ya toh nazren nahi ya nazaara nahi
Aye mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baath hoti gulon tak toh sehlete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq hamara nahi
Aye mere humnasheen

Compiled By: Azgar Khan