Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Bollywood Antakshiri
Hamara Forums > General > Shayaris & Tukbandis
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18
AzgarKhan
Jab dard nahi tha seenay mein, phir khaak mazaa tha jeenay mein
Ab ke shayad hum bhi roye, saawan ke mahinay mein

M
ZUHA_ALI
Meine poocha chand se ke dekha hai kahin
Mere yaar sa haseen
Chaand ne kaha, chandni ki kasam, nahi nahi nahi

Next Letter: N
AzgarKhan
Nazar aati nahi manzil, tarapne se bhi kya haasil
Taqdeer mein aye mere dil, andhere hi andhere hain
Nazar aati nahi manzil

M
ZUHA_ALI
Mujh Ko Apnay Galay Laga lo
Ay Mere Hum Rahi
Tum Ko Kya Batalayoon Mai
Tum Say Kitna Pyar Hai

Next Letter: H
AzgarKhan
Humi se mohabbat, humi se laraayi
Arey maar daala duhaai duhaai
Abhi na samajh ho uthao na khanjar
Kahin mudd na jaye tumhari kalaai

K
ZUHA_ALI

Kes Ka Hay Yeh Tum Ko Intezaar
Mai Hon Na
Dhek Lo Idher Toh Aik Baar
Mai Hoo Na


Next Letter: N
AzgarKhan
Na too zameen ke liye, hai na aasmaan ke liye
Tera wajood hai sirf daastaan ke liye.

L
ZUHA_ALI
Lab Pay Atte Hay Duaa Ban Kar Tamana Mere
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudya Mere

Next Letter: M
AzgarKhan
Mujhe peenay ka shauk nahi, peeta hoon gham bhoolaane ko
Teri yaaden mitaane ko, Peeta hoon gham bhoolaane ko

K
ZUHA_ALI
Kabhi bekasi ne maara, Kabhi bebasi ne maara
Gila Mauth se nahi hai, Mujhe zindagi ne maara

Next Letter: M
AzgarKhan
Mera pyar bhi too hai, ye bahaar bhi too hai
Too hi nazron mein jaan-e-tamanna
Too hi nazaaron mein, Nazaaron mein

M
ZUHA_ALI
Mera Ghum Aur Mere HAR KHUSHI TUM SAY HAI
MERA GHUM AUR MERE HAR KHUSHI TUM SAY HAI
JAN-E-MAN YEH MERE ZINDAGI TUM SAY HAI.
Mera Ghum Aur Mere HAR KHUSHI TUM SAY HAI


Next Letter: H
AzgarKhan
Hamay toh loot liya milke husn waalon ne
Kaale kaale baalon ne, goray goray gaalon ne

N
ZUHA_ALI
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hain
Magar kya karen apni raahein juda hain

Next Letter: H
AzgarKhan
Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein
Khush-naseeb hai wo jinko hai mili ye bahaar zindagi mein

M
ZUHA_ALI
Mera dil ye pukaare aaja, Mere gham ke sahaare aaja
Bheega bheega hai samaa, aise mein hai too kahan
Mera dil ye pukaare aaja

Next Letter: A
AzgarKhan
Aji humse bachkar kahan jaiyega
Jahaan jaiyega hamay paaiyega

P
ZUHA_ALI
Poocho na yaar kya hua, Dil ka qaraar kya hua
Tum pe toh hum marr mitay hain, abhi se
Jaane hamara aagay kya hoga

Next Letter:H
AzgarKhan
Hai tere saath meri wafa, mein nahi toh kya
Zinda rahega pyar mera, mein nahi toh kya

Kuch dharkanon ka zikr ho kuch dil ki baath ho
Mumkin hai iske baad na din ho ke raath ho
Too jashn zindagi ka manaa, mein nahi toh kya

K
ZUHA_ALI
Kehna hi kya, ye nain ek anjaan se jo milay
Chalnay lagay mohabbat ke jaise ye silsilay
Armaan naye aise dil mein khilay, jinko kabhi mein jaanun
Wo hum se hum unse kabhi na milay, kaise milay dil na jaanun
Ab kya karen, kya naam den, kaise unhay mein pukaaroon
Kehna hi kya...

Next Letter: K
AzgarKhan
Khata toh jab hai ke, hum haal-e-dil kisi se kahen
Kisi ko chahte rehna, koi khata toh nahi

N
ZUHA_ALI
Na toh carvaan ki talaash hai, na toh humsafar ki talaash hai
Tera ishq mein kaise chor-doon, mere umr bhar ki talaash hai

Next Letter: H
AzgarKhan
Hazaar raahen jo mudd ke dekhi, kahin se koi sadaa na aayi
Badi wafa se nibhayi toonay, hamarai thodoi si bewafaai

B
ZUHA_ALI
Baar baar dekho, hazaar baar dekho
ke dekhane kii chiiz hain, hamaaraa dilarubaa, Taalii ho
Taalii ho, Taalii ho

Next Letter: H
AzgarKhan
Hui shaam unka khayaal agaya
Wohi zindagi ka sawaal agaya
Hui shaam unka khayaal agaya

A
ZUHA_ALI
Aye Ho Mer Zindagi Mai Tum Bahar Ban Kay
Mere Dil Mai Yuhi Rehna Tum Pyar Pyar Ban kay


Next Letter: K
IDOL
kuch na kaho , kuch bhi na kaho

kya kehna hain, kya sunna hain

hum ko pata hain, tumko pata hain

saame ke yeh pal tamsa gaya hain

aur iss pal main koi nahe hian

bas ek main hon bas ek tum hon


next is H
visuja
Hum The Woh Thi...
Woh Thi Hum The...

Hum The Woh Thi Aur Sama Rangeen Samajh Gaye Na.... Ta Ra Ra Ra Ra Ra ...
Jaate The Japaan Pahunch Gaye Chiin Samajh Gaye Na ..!

Hmm .. Yaane Yaane Yaane Pyaar, Ho Gaya !

Mannu... Tera Hua Ab Mera Kya Hoga
Mannu... Tera Hua Ab Mera Kya Hoga !

Next Letter: 'Ga'
Nimii
I forgot that the antakshari still continues here!

Gori Tera Gaon Bada Pyara
Main To Gaya Maara, Aake Yahan Re
Us Par Roop Tera Saada
Chandrama Jyon Aadha, Aadha Jawaan Re
Gori Tera Gaon

Next letter : va.. (tho' in english it has been spelt ending with a n"
visuja
Er.. How does the song / mukhda end at 'Gori Tera Gaon' ?!

Woh Shaam Kuchh.... Ajeeb Thhi....
Ye Shaam.... Bhi.... Ajeeb Hai..
Woh Kal Bhi Paas-Paas Thhi, Woh..
Aaj Bhi Kareeb Hai

Woh Shaam.... Kuchh... Ajeeb Thhi ..

Next Letter : 'Thha'
qhabibi
Haseenon Ki Aankhon Ka Tara Rahoon Ga
Kunwara Raha Hoon Kunwara Rahoon Ga


Next Letter: G
Pradeep
Ga Deewana Jhooom Ke Raat Ke Zulphein Choom Ke,
Dil Bhi Hai Dildaar Bhi Hai, Mausam Bhi Hai Pyaar Bhi Hai


Next Letter Ha
gkshyam
Hum Tumse Judaa Hoke.....
Mar Jaayenge Ro Ro Ke....
Mar Jaayenge Ro Ro Ke.......

Next letter (Ka/Ke)
visuja
Are Re Re shyaam.... ro mat ro mat ..... heres something to bring a smile !

Koi Na Koi Chaahiye.... Pyaar Karnewaala
Koi Na Koi Chaahiye .... Hum Pe Marne Waala... Hum Pe Marne Waala..


Next letter : 'La'

Small point that I noticed qhabibiji : The last alphabet of my earlier song was 'Thha' as in 'Haathh', 'Saathh', 'Thhoda', etc..

I'm just curious to know the differences between Hindi and Urdu alphabets, (I know the scripts are different). Are the alphabets the same, as in same A, Aa, E, Ee, etc ..? Im sure there must be differences.

I've observed instances where songs were started on a different alphabet than that with which the song ended if written in the Hindi script. So I just wonder if the differences in how the words are spelt (in Hindi and Urdu) could be a possible reason ...

Sorry for the digression.... back to antakshari !

Vivek
shivani
laakh chupao chup na sakegaa raaz ho kitna gehra
dil ke baat bata deta hai asli nakli chehra

next letter - "ra"

-Shivani
qhabibi
Raju Ka Tha Ek Khawan Raju Raja Raja Sahab
Raj Hai Na Taj hai Phir Bhi Hoon Main Raja Sahab

Next Letter Ba

QHabibi
ZUHA_ALI
Bhayon Mai Chalay Aaa
Hum Say Sanam Kya Parda

Next Letter: Da (i think so ) sad1.gif
gkshyam
Dil Hai Ke Maanta Nahin...
Yeh Beqaraari Kyun Ho Rahi Hai....
Yeh Jaanta Hi Nahin.....
Dil Hai Ke Maanta Nahin......

Next Letter: Ha/Hi
ZUHA_ALI
Hum Tumharay Hain Tumharay Sanam,
Jan-e-man Muhabat Ki Har Kasam Ki Kasam
Na Juda Ho Gein Hum


Next Letter: H
ZIA
humdum mere maan bhi jao kehna mere pyar ka
are halka halka surkh labo pe rang to hai iqrar ka


letter "k"
AzgarKhan
Kisi raah mein kisi mod par, kahin chal na dena too chorkar
Mere humsfar, mere humsafar

H
ZUHA_ALI

Hamaari saanson main aaj tak
Wo hinaa ki khushabuu mahak rahi hai
Labon pe nagamein machal rahe hain
nazar se masti jhalak rahi hai



Next Letter:- H
AzgarKhan
Hai isi mein pyar ki aabroo, Wo jafa karen mein wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sakay, toh wohi kahay ke mein kya karoon

K
ZUHA_ALI
Kayaalon main kisi ke, is tarah aayaa nahin karate
Kisi ko bewafaa aa aa ke tadapayaa nahin karate
Dilon ko raund kar dil apnaa bahalaya nahin karate
Jo thukaraae gae hon unako thukarayaa nahin karate



Next Letter: K
AzgarKhan
Kabhi gham se dil lagaya, Kabhi ashq ke sahaaray
Kabhi shabb guzaari ro kay, kabhi ginn ke chaand taaray

T
ZUHA_ALI
Tere Liyeh Hum Hain Jeye Honton Ko Seeye
Dil Mai Maghar Jaltay Rahay Khuwisho Kay Diyeh

Next Letter: D
qhabibi
Dil Beqaraar Sa hai Hum Ko Khumaar Sa hai
Jab Se Tum Ko Dekha Sanam

Next Letter M

visuja
Mere Dil Mein.... Aaj.... Kya Hai
Tu Kahe... To Main Bata Doon

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai
Tu Kahe To Main Bata Doon
Teri Zulf Phir Sanwaaroon
Teri Maang Phir Saja Doon

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai
Tu Kahe To Main Bata Doon..

Next Letter : 'Da'
qhabibi
Dard-E-Dil Dard-E-Jigar
Dil Main Jagaya Aap Ne
Pehle To Main Shayar Tha
Aashiq Banaya Aap Ne


Next Letter N
shivani
Na to karwan ki talaash hai na to humsafar ki talaash hai
mere shauke khana kharaab ko teri rehguzar ki talaash hai
mere na murad junoon ka hai ilaaz koi to maut hai..
jo dawa ke naam pe zeher de usi charagar ki talaash hai

next letter- H
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.