Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Aik Nazam - New Series
Hamara Forums > General > Shayaris & Tukbandis
talhari


With a New Series Aik Nazam

Hope U will Like It
talhari
Aik Aur Nazam

Harjinder
Hi Talhari
Thanks for the uploads. A nice change for those of us who can read Urdu in Persian script. Would it be possible to provide a Roman transcription of these poems? Many more members will be able to read your posts.Harjinder
talhari

Hello Harjinder,

U were right, i should post in both ways (Urdu and Roman Urdu), thank U so much to remind me for the correction. I believe U will read more good stuff


Regards,

talhari

Harjinder Gee,

Here is another one
talhari

One More
talhari
"Waqt Say Aage Guzernay Ki Sza"

Aadmi Tanha Reh Jaata Hay

[Punjabi Nazm Ka Tarjuma]

Muneer Niazi
talhari


Aik Soch

Roz o Shab Ke Melay Main

Ghaflaton Ke Maaray Hum

Bass Yehi Samajhtay Hain

Hum Nay Jiss Ko Dafnaya

Bass Ussi Ko Marna Tha
talhari

Aik Nazam

Suno Hamdam!

Bohat Si Degriyaan Lay Kar

Ikhatta Kar Kay Itna ILm Daaman Main

Hunner Par Dastrass Pa Kay

Nisaab-e-Chahat-e-Dill Kay

Chalakktay Lafz Aankhon Say

Agar Parhnay Say Qasir Ho

To Ann Parh Ho
talhari

Barishon Ke Mosam Main

Tum Ko Yaad Karnay Ki

Aadtain Puraani Hain

Ab Ki Baar Socha Hay

Aadtain Badal Daalain

Phir Khyaal Aaya Kah

Aadtain Badalnay Say

Barishain Naheen Rukteen
talhari

Main Ajeeb Lazzat-e-Aag-He Say Dochaar Hoon

Yehi Aag-He Mera Lutf Hay, Mera Qarb Hay

Keh Main Jaanta Hoon!

Main Jaanta Hoon Dill Main Jitni Sadaaqatain Hain

Woh Teer Hain

Jo Chalain To Naghma Suna-i Day

Jo Hadaff Peh Jaa Key Lagain, To Kuch Bhi Na Bacch Sakay

Kah Sadaaqatoon Ki Nafi Hamari Hyaat Hay

Ahmed Nadeem Qasmi
talhari

Nazam

Tum Agar Aaina Dekho

To Apnay Aap Say Nazrain Chura Laina

Keh Aksar Bay Wafa Logon Ko

Jab Woh Aaina Dekhain

To Aankhain Chor Lagti Hain

Mohsin Naqvi
Harjinder
QUOTE(talhari @ Jun 1 2012, 01:56 AM) *

"Waqt Say Aage Guzernay Ki Sza"

Aadmi Tanha Reh Jaata Hay

[Punjabi Nazm Ka Tarjuma]

Muneer Niazi

Hi
Thanks for the Urdu translation. Is it possible to post the original Punjabi nazm ( In either Roman, Shahmukhi (Persian), Devnagri, or Gurmukhi script) too? I cannot think of a suitable Punjabi word for 'tanha'. Punjabi words 'sunna' or 'ikalla (akayla)' are not all that poetic. May be Muneer Niazi had a more suitable word to describe his thought.Thanks for your efforts. Harjinder
talhari
Dear Harjinder Gee

Thanks for your kind words, I believe your are enjoying this series.
In fact the Urdu translation didn't do by me, its the same how i read in the Muneer Niazi book.

Regards,

talhari
talhari

Nazam

Wohi Bay Basi, Wohi Bandishein, Wohi Cha-hatein

Aye Zindagi!

Main Abhi Talak Na Samajh Saka

Tu Naseeb Nay Keh Nisaab Hay?

talhari

Mere Aaba-o-Ajdad Nay Hurmat-e-Aadmi Kay Liye

Taa Abad Roshni Kay Liye, Kalma-e-Haq Kaha

Maqtalon, Qaid Khano, Slaibon Main Behta Laho

Unn Kay Honay Ka Eilan Karta Raha

Woh Lahoo Hurmat-e-Aadmi Ki Zamanat Bana

Taa Abad Roshni Ki Alamat Bana

Aur Main, Paa Barhana Sarr-e-Koocha-e-Ehtiyaaj

Rizzq Ki Mas-lihat Ka Aseer Aadmi, Sochta Reh Gyaa

Jissm Main Mere Unn Ka Lahoo Hay To Phir

Yeh Lahoo Bolta Kyun Naheen??
talhari

Sitaray Jo Damaktay Hain

Kissi Ki Chashm-e-Hairaan Main

Mulaqatain Jo Hoti Hain

Jamal-e-Abro Baraan Main

Yeh Na Abaad Waqtoon Main

Dill-e-Nashaad Main Ho Gi

Mohabbat Ab Naheen Ho Gi

Yeh Kutch Din Baad Main Ho Gi

Guzar Ja-ein Gay Jabb Yeh Din

Yeh Unn Ki Yaad Main Ho Gi

Munir Niazi
talhari

Ossay Jaanay Ki Jaldi Thee

So Main Aankhon He Aankhon Main

Jahan Takk Chorr Sakta Tha

Wahan Takk Chorr Aaya Hoon
talhari

Kabhi Jo Ho Guzrr To

Fatiha Parhnay Chalay Aana

Mray Dill Main

Adhoori Chahatoon Ka

Urss Lagta Hay
talhari

Aik Nazam


Anokha Hay

Teri Yaad Ka Silsila

Kabhi Ek Pall……..!

Kabhi Pall Pall……!

Kabhi Har Pall……!
talhari

Harr Mukh Par Khoobsurti Ka Mukam

Harr Kissi Cheray Main

Ek Ziya See Hoti Hay

Rukkh Kay Aik Hissay Main

Hussan Kay Elakay Ki

Ek Ada See Hoti Hay

Oss Ko Main Nay Dekha Tha

Gram Khoo Maheno(n) Main

Ek Khushi Ki Mehfil Main

Shehar Kay Makeeno(n) Main

Ek Taraf Kharay Tanha

Jiss Taraf Ko Rastay They

Jin Kay Saath Galyaan Theen

Jin Main Log Bastay Thay

Bay Kashish Makano(n) Main

Jesay Chaand Ratain Theen

Oss Kay Sard Cheray Main

Khushgawar Aankhain Teen

Munir Niazi
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.