Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Hasrat Jaipuri - Birth Anniversay - 15th April
Hamara Forums > Legends > Legendary Lyricists > Hasrat Jaipuri
Sukesh Hoogan
tu bemisaal hai teri taarif kyaa karoo.n

Sukesh
surhall
sangeet ka safar have this on day 6.Jhoome Jhoome Dil Mera – Lata Mangeshkar 128/44 kbs 3.05 min

Poonam (1952)

Banner Kayarts

Status Released

Color B

Release Date 1952

Genre Romance

Director D M Sadiq

Star Cast Ashok Kumar, Kamini Kaushal, Sajjan, Asha Mathur, Om Prakash

Singers Lata Mangeshkar

Lyricist Hasrat Jaipuri, Shailendra

Music Director Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal


dhall
r&d
Jaanewaale laut ke aana, laut ke aana jaanewale (2)
Chand ka chehra pad gaya pheeka
Aana aakar, phir chamkana
Jaanewaale

Gham ki ghataye gehri gehri
Aaj hawa bhi tehri tehri
Saans fiza ki dheemi dheemi
Aankh hamari bheegi bheegi
Madham taare, ashq hamare
In ashqo ka bhaag jo jaana
Jaanewaale

Dil ki tamanna doobi doobi
Pyar ki mehfil sooni sooni
Neend hamari roothi roothi
Rehne lagi hoon khoyi khoyi
Gumsum boondein ban gaye shole
In sholon mein phool khilana

Jaanewaale laut ke aana, laut ke aana jaanewale
Chand ka chehra pad gaya pheeka
Aana aakar, phir chamkana
Jaanewaale...
r&d
Koi Chal Diya Akela Koi Reh Gaya Akela (2)
Har Zindagi Ke Maalik Tune Kya Ye Khel Khela
Koi Chal Diya Akela Koi Rehe Gaya Akela

Koi Jal Raha Chita Mein Koi Dil Jala Raha Hai
Koi Hasraton Ko Lekar Kahin Door Jaa Raha Hai
Kahin Ikhthian Bandhi Hain Kahin Aansoan Ka Mela
Koi Chal Diya Akela Koi Rehe Gaya Akela

Oh Bani Thi Kal Suhagan Wohi Aaj Hai Abhagan
Ye Sitam Nahin To Kya Hai Ke Chhuta Piya Ka Daman
Are Aasmanwale Tera Khoob Hai Jhamela
Koi Chal Diya Akela Koi Rehe Gaya Akela

Hai Isi Ka Naam Kismat Koi Zindagi Se Hara
Lagi Har Kadam Pe Thokar Na Mila Kahin Sahara
Kahin Raat Hai Andheri Kahin Sanj Ki Hai Bela
Koi Chal Diya Akela Koi Rehe Gaya Akela
Har Zindagi Ke Maalik Tune Kya Ye Khel Khela
Koi Chal Diya Akela Koi Rehe Gaya Akela (2)
r&d
shammaa me.n taaqat kahaa.N jo
ek paravaane me.n hai (2)
lutf jalane me.n nahii.n
jal-jal ke mar jaane me.n hai (2)

chaa.Ndanii raato.n me.n aksar (2)
sochataa rahataa huu.N mai.n
kisakii ye tasviir hai jo
dil ke viiraane me.n hai (2)

may kii mastii to utar jaatii hai tho.Dii der me.n (2)
zindagii bhar kaa nashaa aa.Nkho.n ke paimaano.n me.n hai

tuu kahe to aasamaa.N kii dhajjiyaa.N kar duu.N sanam (2)
aaj ik aisii bhii vahashat
tere diivaane me.n hai (2)
shammaa me.n taaqat kahaa.N jo
ek paravaane me.n hai (2)
r&d
tuu kahaa.N
tuu kahaa.N, ye bataa, is nashiilii raat me.n
maane naa meraa dil diivaanaa
haay re maane naa meraa dil diivaanaa
tuu kahaa.N...

he ba.Daa naTakhaT hai samaa (2)
har nazaaraa hai javaa.N
chhaa gayaa chaaro.n taraf, merii aaho.n kaa dhuaa.N
dil meraa, merii jaa.N, naa jaanaa tuu kahaa.N
tuu kahaa.N...

o o aaii jab Tha.nDii havaa (2)
maine puuchhaa jo pataa
vo bhii kataraake gaI, aur bechain kiyaa
pyaar se, tuu mujhe, de sadaa tuu kahaa.N
tuu kahaa.N...

he chaa.nd taaro.n ne sunaa (2)
in bahaaro.n ne sunaa
dard kaa raag meraa, rahaguzaaro.n ne sunaa
tuu bhii sun, jaaneman, aa bhii jaa tuu kahaa.N
tuu kahaa.N...

o o pyaar kaa dekho asar (2)
aae tum thaame jigar
mil gaI aaj mujhe, merii manachaahii Dagar
kyuu.N chhupaa, ek jhalak, phir dikhaa tuu kahaa.N
tuu kahaa.N...
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.