Kahan Dhoondhta Raam Pagle, Tu Hi Tera Raam (2)
Aankh khuli to hua savera
Bandh hui to
Bandh hui to shaam
Pagle tu hi tera raam
Kahan dhoondhta raam pagle, tu hi tera raam

Jeete ji ka rona hasna, jeete ji ki preet (2)
Mann ke hare, haar hi yahan hai (2)
Mann ke jeete jeet
Mann hai chanchal, mann matwala (2)
Mann ki rok lagaam
Pagle tu hi tera raam
Kahan dhoondhta raam pagle, tu hi tera raam

Sanson ki sargam par sunle, jeewan ki shahnai (2)
Tere saath chhod deti hai, teri hi parchayi
Sukh ke ander nark basa hai (2)
Dukh mein mukh pe dham
Pagle tu hi tera raam
Kahan dhoondhta raam pagle, tu hi tera raam

Daya dhram ka path sekhle, o bhole insaan (2)
Bhookh aur pyaasa reh karle (2)
Bhookhon ki pehchaan
Savek bankar kaam kiyeja (2)
Reh jaiga naam
Pagle tu hi tera raam
Kahan dhoondhta raam pagle, tu hi tera raam (2)
Tu hi tera raam (4)


-- Pt. Madhur