Kahe nainon mein kajra bharo (2)
Itni haseen nahin gori jitna guman karo (2)

Koi jalta hai jalta rahe (2)
Kajra re nainon ka, Jadoo chalta hai chalta rahe (2)

Jadoo nis nis chalta nahin (2)
Chadta hua suraj kya shaam ko dhalta nahin (2)

Gaya suraj chand aaya (2)
Raat ho ya din ho, Rang husan ka hai chhaya (2)

Koi hum ko bataye ji (2)
Husn ki keemat kya, Jab koi na chaahe ji (2)

Yahan lakhon hain deewane (2)
Ek shama jalte hi, Sau aate hain parwane (2)

Chalo jhagda hi beet gaya (2)
Preet ki reet hai ye, Jo hara woh jeet gaya (2)


-- Prem Dhawan