Yeh Kis Ki Aankhon Ka Noor Ho Tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?
yeh kis ke dil ka qaraar ho tum?
yeh kis ke dil ka qaraar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?
yeh kis ki aankhon ka noor ho tum,
yeh kis ke dil ka qaraar ho tum?
yeh kis ke dil ka qaraar ho tum,
yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?

mujhe yeh maloom ho raha hai,
mujhe yeh maloom ho raha hai
ke jaise mera hi pyar ho tum,
ke jaise mera hi pyar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?

sambhalo zulfon ki yeh ghatayein,
kahin musaafir bhatak na jayein
sambhalo zulfon ki yeh ghatayein,
kahin musaafir bhatak na jayein
behak na jaye kahin zamana;
behak na jaye kahin zamana
ke ek nasheeli bahaar ho tum,
ke ek nasheeli bahaar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?

kabhi jhuki tum nigaah ban kar
kabhi uthi dil se aah ban kar;
aah ban kar
khatak rahi ho kabhi jigar mein;
khatak rahi ho kabhi jigar mein
kabhi kaleje ke paar ho tum,
kabhi kaleje ke paar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?

gharaz qayaamat se kam nahin ho,
koi bhi ho tum bahut haseen ho;
bahut haseen ho
tumhein hamara salaam pahuncche;
tumhein hamara salaam pahuncche
ke husn ka shahakaar ho tum,
ke husn ka shahakaar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?
mujhe yeh maloom ho raha hai;
mujhe yeh maloom ho raha hai
ke jaise mera hi pyar ho tum,
ke jaise mera hi pyar ho tum

yeh kis ki aankhon ka noor ho tum?


- Mohd Rafi sahab