Jaane kya dhoondti rehti hai ye aankhen mujh mein
Raakh ke dher mein, shola hai na chingari hai
Ab na wo pyar na us pyar ki yaadein baaqi
Aag yun dil mein lagi, kuch na raha, kuch na bacha
Jiski tasveer nigahon mein liye baithi ho
Mein wo dildaar nahi, uski hoon khamosh chitha
Jaane kya dhoondti rehti hai ye aankhen mujh mein
Raakh ke dher mein, shola hai na chingari hai
Zindagi hass ke guzarti toh bohat acha tha
Khair hass ke na sahi, ro ke guzar jayegi
Raakh barbaad mohabbat ki bacha rakhi hai
Baar baar isko jo cheda toh bikhar jayegi
Jaane kya dhoondti rehti hai ye aankhen mujh mein
Raakh ke dher mein, shola hai na chingari hai
Arzoo jurm, wafa jurm, tamanna hai gunaah
Ye wo duniya hai jahan pyar nahi ho sakta
Kaise bazaar ka dastoor tumhe samjhaon
Bikgaya jo wo khareedar nahi ho sakta
Bikgaya jo wo khareedar nahi ho sakta
Jaane kya dhoondti rehti hai ye aankhen mujh mein
Raakh ke dher mein, shola hai na chingari hai
http://www.youtube.com/watch?v=cgMEQjJE5QI