Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum Ki Tu Kya Hai
- Ghalib

Har ek baat pe kahate ho tum ki tu kya hai
tumhin kaho ke yeh andaaz-e-guftagu kya hai

Na shole mein yeh karishma na barq mein yeh ada
koi bataao ki woh shokh-e-tundakhu kya hai

Yeh rashk hai ki woh hota hai hamsukhan hum se
vagarna khauf-e-badaamozii-e-ad kya hai

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamaai jeb ko an haajat-e-rafu kya hai

Jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho joh ab raakh justaju kya hai

Ragon mein daudate phirane ke hum nahin qaayal
jab aankh hi se na tapaka toh phir lahu kya hai

Woh cheez jiske liye humko ho bahisht azeez
siva e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai

Piyoon sharaab agar khum bhi dekhloon do chaar
yeh sheesha-o-qadaah-o-kooza-o-subu kya hai

Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
toh kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai

Bana hai shah ka musaahib, phire hai itraata
vagarna shahar mein "Ghalib" ki aabroo kya hai


In raga Yaman - wub.gif

Artiste: Lata Mangeshkar

3:23 / 160 kbps / Mp3

Click to view attachment