Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Ek Aarzoo - Allama Iqbal
Hamara Forums > General > Shayaris & Tukbandis
noorie
Ek Aarzoo
-Allama Iqbal


Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya rabb
Kya lutf anjuman ka, jab dil hi bujh gaya ho?

Shorish se bhaagta hoon, dil dhoondta hai mera
Aisa sakoot jis par taqdeer bhi fida ho

Marta hoon khamoshi par, yeh aarzoo hai meri
Daaman mein koh ke, ik chota sa jhonpda ho

Azaad fikr se hoon, uzlat mein din guzaroon
Duniya ke gham ka dil se kaanta nikal gaya ho

Lazzat sarod ki ho chidiyon ke chehchehon mein
Chashme ki shorish mein baaja sa baj raha ho

Gul ki kali chitak kar paigham de kisi ka
Saagar zara sa goya, mujhko jahaan-numa ho

Ho haath ka sarhana, sabza ka ho bachoona!
Sharmaaye jis se jalwat, khlawat mein woh ada ho

Maanoos is qadr ho soorat se meri bulbul
Nanhe se dil mein us ke khatka na kuchh m'ra ho

Saf baandhay donon jaanib bootay hare hare ho
Nadi ka saaf paani tasveer le raha ho

Ho dilfareb aisa kohisaar ka nazaara
Paani bhi mouj ban kar uth uth ke dekhta ho

Aaghosh mein zameen ki soya huwa ho sabza
Phir phir ke jhadiyon mein paani chamak raha ho

Paani ko choo rehi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni
Jaise haseen koi aa'ina dekhta ho

Mehndi lagaaye sooraj jab shaam ki dulhan ko
Surkhi liye sunehri har phool ki qaaba ho

Raaton ko jalne waale reh jayein thak ke jis dum
Umeed unki mera toota huwa diya ho

Bijlee chamak ke unko katiya m'ri dikha de
Jab aasmaan pe harsu baadal ghara huwa ho

Pichle pehr ki koy'al, woh subah ki muazzin
Main uska hum-nava hoon, woh meri hum-nava ho

Kaanon pe ho na mere dair o haram ka ihsaan!
Rozan hi jhonpadi ka, mujhko sehr-numa ho

Phoolon ko aaye jis dam shabnam wuzu karne
rona mera wuzu ho, naala meri dua ho!

Is kham'shi mein jaayein itne buland naalay
Taaron ke qaafilay ko meri sada dara ho

Har dardmand dil ko rona mera rula de
Behosh jo pade hain shaayad inhein jagaa de!
ZaiRa
Nice one N, thanks for sharing smile1.gif
kabir
nice
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.