Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Tum Yaad Aaye!!--
Hamara Forums > General > Shayaris & Tukbandis
ZaiRa
Been listening to this one since an hour! -- Reminds me of my bachpan cry.gif

PHIR SAWAN RUTT KI PAWAN CHALI -- TUM YAAD AAYE!!--


Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir paaton ki paazaid baji
Phir paaton ki paazaid baji
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir boondain bolin ghaans kay harray samandar may
Phir boondain bolin ghaans kay harray samandar may
Rutt aayi peelay phoolon ki
Rutt aayi peelay phoolon ki
Rutt aayi peelay phoolon ki

Rutt aayi peelay phoolon ki
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir kaaga bola ghar kay soonay aangan may
Phir kaaga bola ghar kay soonay aangan may
Phir amrit rass ki boondh padi
Phir amrit rass ki boondh padi
Phir amrit rass ki boondh padi

Phir amrit rass ki boondh padi
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir paaton ki paazaid baji
Phir paaton ki paazaid baji
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye


** Nasir Kazmi **
ZaiRa
USSI TARHAN SAY HER EK ZAKHM KHUSHNUMA DAIKHAY

Ussi tarhan say her ek zakhm khushnuma daikhay
Woh aayee toh mujhey ab bhi harra bharra daikhay

Guzar gai hain bohot din rafaaqat-e-shab mai
Ab umer ho gai chehra wo chaand sa daikhay

Meray sukoot say jisko gillay rahey kia kia
Bichadhtay waqt un aakhon ka bolna daikhay

Bass ek rait ka zarra bacha tha aankhon mai
Abhi talak jo musaafir ka raasta daikhay

Ussi say poochay koi dasht ki rafaqat jo
Jab aankh kholay -- pahaadon ka silsila daikhay

Teray siwa bhi kayi rang khush-nazar they magar
Jo tujh ko daikh chuka ho wo aur kia daikhay

Tujhey azeez tha -- aur mai nay ussay jeet liya
Meri taraf bhi toh ek pal tera khuda daikhay


Poet: Parveen Shakir
Book: Maah-e-tamaam!!--
preet
waah waah waah!!!! kya baat hai kya baat hai!!!! tongue1.gif



aisaa Alka Yagnik ka ek song bhi tha naa... jub geet hawaaon ne gaaye tum yaad aaye....

ZaiRa
AANKHAIN KHULI RAHAIN GI TOH MANZAR BHI AYENGAI!!--

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi -- magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai


Poet: Mohsin Naqvi
Book: Barg-e-Sehra
humble_rafi
Its beautiful Zaira Sahiba!

Thanks for it.
desi



murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
suuraj huu.N meraa ra.ng magar din Dhale bhii dekh

kaaGaz kii katarane ko bhii kahate hai.n log phuul
rangon kaa aitabaar hii kyaa suuNgh ke bhii dekh

har chund raakh hoke bikharnaa hai raah mein
jalte huye paron se urraa huu.N mujhe bhii dekh

tuune kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.N
aa.Nkho.n ko ab na Dhaa.Np mujhe Duubate bhii dekh

tuu hii barahanaa-paa nahii.n is jalatii ret par
talavo.n me.n jo havaa ke hai.n vo aabale bhii dekh

insaan naachtaa hai yahaa.N putaliyo.n ke ra.ng
duniyaa me.n aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh

bichhatii thii.n jis kii raah me.n phuulo.n kii chaadare.n
ab us kii Khaak ghaas ke pairo.n tale bhii dekh

kyaa shaaKh-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko
nazare.n uThaa "Shakeb" kabhii saamane bhi dekh a

desi
Jab bichar kar tary is dil sey chala jaonga
dil ko seney main na paogi to yad aaonga

aonga chupky sy khawabo mai jo tary aksar
phir jo sOtey mai hi hansdogi to yad aonga

meri masom mohobat ko bhula kr jab tum
phir kisi aur ko chahogi too yaad aongaa

dosto ki kisi mahfil mein bato bato mein
jab kisi batt pa rothogi to yaad aongaa

meri tasver ko ankho mein chupaney k liya
apney ashko sey meetaogi to yaad aonga

rat sanatey mai kamrey ki khuli khirki sey
hansty ek chand ko dekhogi to yad aonga

jb bhi barsat k bhegy huy mosam mai khari
tanha barish mein jo bhegogi to yaad aonga

khak sey lipti kitaboo k har ek kaghaz par
naam likha mera dekhogi to yaad aongaa

ab jo har ek khushi mujhko suna ney k lia
door tak mujh ko na paogi to yaad aonga

nely kaprey jo pahan kar tum khuly balo ko
khud hi hatho sey sanwarogi to yaad aonga

yad karty hui yah sans joo tooteygi meri
phir meri kabar pa aogi to yaad aongaa

Tarey hi nam sy likhta tha zaher sari ghazal
ab jo parhtey huey rodogi to yaad aongaa
desi



main ney wada nibhaya hai
liya tha aik wada tum ney mujh sey
hamaysha khush hi rehna hai to dekho
dekh lo aa kar!!!
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain
meray hontoN ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi ghum agar aaya
ussey hans ker saha main ney
meray chahray ko dekho tum
hamesha pur sakoon ho gha
to phir socho ghay...!!!
kiya tha jo wada maine tum sey woh kar diya poora
magar ik baat phir bhi hai!!!
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shairi parhna
tumhain mehsoos to ho gha
kahin talkhi bhara jumla
kahin pay sard sa lehja
kahin pay dard ki jheelai'n
kahin lehjay ki karwahat
suno...!!!
main khush to hoon lekin
"laho har lafz rota hai...!!!
laho har lafz rota hai...!!!"
desi
Tum mere nahin ho is dil ko main samjhaooon kaise
Sunhari yaadain tumhari main dil se mitaaoon kaise

Jaane kab chupke se aan basey tum mere man main
Bas tum hi tum ho wahan, tumko main dikhaaoon kaise

Har shaam de kar jaati hai mujhe dard ki tanhaaiyaan
Har subah deti hai nayi ummedain unhain bujhaaoon kaise

Zindagi jee rahi hoon main ek benaam si saza ki tarah
Rooth gaya hai jo Khuda us ko main manaaoon kaise

Ya Rab na kat sakega safar-e-zindagi kisi aur ke humraah
Ye baat dil ki main us sitamgar ko samjhaaoon kaise !!!!
desi
--------------------------------------------------------------------------------

Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna
Kabhi Milay To Yeh Baat Usay Kehna

Woh Saath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera
Magar Ab Koi Nahi Mere Saath Usay Kehna

Usay Kehna Ke Bin Us Ke din Nahi Kutt Ta
Sisk Sisk Ke Katt Ti Hai Raat Usay Kehna

Usay Pukaron Ke Khudhi Pohanch jaon Us Ke Paas
Nahi Rahay Woh Halaat Usay kehna

Agar Woh Phir Na Lautay To Ae-Meharban Qasid
Hamari Zeest Ke Halaat Usay Kehna

Har Jeet Us Ke Naam kar Raha Hun Mein
Mein Manta Hun Apni Haar Usay kehna


desi
main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi...!!!
stormey
QUOTE(desi @ Jan 9 2008, 02:54 AM) *

main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi...!!!


very nice
desi
sunno, wo jab sataata hay
kaha, dil doob jaata hay

kaha, dil doobta hay kab?
bataya, jab sataata hay

kaho, kab phool khiltay hayn?
kaha, jab muskuraata hay

dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hay

kaho, dil may hay kiya oskay?
kaha, wo kab bataata hay

sunno berham sa hay shayed?
kaha, younhi banata hay

kaha, kuch to hua hoga?
kaha, wo aazmata hay

buri shaey hay ishq kioker?
kaha, shab bhar jagaata hay

kaho, wo bazm kaisi thi?
kaha, wo kab bulaata hay

kaho, os say bichernay ki?
bicherna kisko bhaata hay?

kaho, milnay ki khawahish hay?
kaha, bayderd naata hay

batao, raakh may hay kiya?
sitara jhilmilata hay

larzz jati hayn kab palkein?
nazar wo jab jamaata hay

theher jaati hay dharkan kab?
nazar say jab giraata hay
desi

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
Humnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...
desi


--------------------------------------------------------------------------------


is qadar musalsal thi shiddatain judaai ki
aaj pahali baar main ne us bevafaai ki

verna ab talak yun tha Khvaahishon ki baarish mein
yaa to TuuT kar royaa yaa Gazal_saraai ki

taj diyaa thaa kal jin ko ham ne teri chaahat mein
aaj un se majabuuran taazaa aashanaai ki

ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apane se
tuu ne kis ghari zaalim meri ham_navaa_i ki

tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hain naaseh ke
aap se koi puuchhe ham ne kyaa buraai ki

phir qafas mein shor utha qaidiyon ka aur sayyaad
dekhanaa uraa degaa phir Khabar rihaai ki

desi
Bhalay dinon ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na yay keh husn e taam ho
na daikhnay main aam si

na yay k wo chalay tu kehkashan si rah guzar lagay
magar wo saath ho tu phir bhala bhala safar lagay

koi bhi rutt ho uss ki jhap
faza ka rang roop thi
wo garmioon ki chaoon thi
wo sardion ki dhoop thi

na mudaton juda rahay
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e wafa pay zid
na yay k azn-e-aam ho

na aisi khush libaasian
k saadagii gila karay
na aisi baytakalufi
k aaiinaa haya karay

na ikhtalaat main wo ram
k bud maza hon khwahishain
na is qadar sapurdagi
k zich karain nawazishain

na aashiqii janoon ki
k zingadi kharaab ho
na iss qadar kathorr pan
k dosti kharaab ho

kabhi tu baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi tu kasht-e-zafra.n
kabhi udaasion ka ban

suna hai aik umr hai
muamlat-e-dil ki bhi
wisal-e-jan fiza tu kia
faraq-e-jan gusal ki bhi

so aik roz kia hua
wafa pay behas chirh gai
main ishq ko amar kahon
wo mayri zid say chirh gai

main ishq ka aseer tha
wo ishq ko kafas kahay
k umr bhar k saath ko
wo bud-tar az hawas kahay

'shajar hajar nahi k hum
hamesh pa ba gil rahain
na dhorr hain k rassian
galay main mustaqil rahain

mohabaton ki wusatain
humaray dast-o-pa main hain
bas aik dar say nisbatain
sagan-e-ba wafa main hain

main koi painting nahi
k ik frame main rahon
wohi jo man ka meet ho
ussi k praim main rahon

tumhari soch jo bhi ho
main is mizaaj ki nahi
mujhay wafa say bair hai
yay baat aaj ki nahi..'

na uss ko mujh pay maan tha
na mujh ko uss pay zuam hi
jo ehad hi koi na ho
tu kia gham-e-shikastagi

so apna apna rasta
hansi khushi badal lia
wo apni rah chal parhi
main apni rah chal dia

bhali si aik shakal thi
bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din
nahi, magar kabhi kabhi
desi
u r very welcome stormey

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
stormey

Gila tumse Nahin ,gila apni majburiyon se karte hain
tum aaj humare qareeb na sahi pyar to teri dooriyon se bhi karte hain


Yadon mein hum rahe yeh ehsaas rakhna,nazron se door sahi dil ke paas rakhna
Hum yeh nahi kehte ke saath raho,door hi sahi magar humen yaad rakhna
desi
QUOTE(stormey @ Jan 25 2008, 08:04 PM) *

Gila tumse Nahin ,gila apni majburiyon se karte hain
tum aaj humare qareeb na sahi pyar to teri dooriyon se bhi karte hain


Yadon mein hum rahe yeh ehsaas rakhna,nazron se door sahi dil ke paas rakhna
Hum yeh nahi kehte ke saath raho,door hi sahi magar humen yaad rakhna




very nice
AzgarKhan
Safar mein dhoop toh hogi, Jo chal sako toh chalo
Sabhi hain bheed mein, tum bhi nikal sako toh chalo

Kisi ki vaaste raahein kahaN badalti hain
Tum apne aap ko Khud hi badal sako, toh chalo

Yahaan kisi ko koi raasta nahiin deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako, toh chalo

Yahi hai zindagi kuch khwaab, chandd umeedein
Inhi khilonon se tum bhi bahal sako, toh chalo
AzgarKhan
Meri zindagi kisi aur ki, Mere naam ka koi aur hai
Mere aks hai sarr-e-aaina, pas-e-aaina koi aur hai

Meri dhadkanon mein hai chaak si
Ye judaai bhi hai milaap si
Mujhe kya pata, mere dil bataa
Mere saath kya, koi aur hai

Na gaye dinon ko khabar meri
Na shareek-e-haal nazar teri
Tere des mein, mere bhes mein
Koi aur tha, koi aur hai

Wo meri taraf nigraan rahe
Mera dhyaan jaane kahan rahe
Meri aankh mein kayi soortein
Mujhe chahta koi aur hai
AzgarKhan
Be-mausam barsaat aaj mujhe kuch keh gayi
In Baahon mein aaj phir uski kami reh gayi
Pal ke liye use gale lagaya miene aur .........
Phir ek baar wo ansoo bankar beh gayi
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2024 Invision Power Services, Inc.