Aankhon Pe Palkon Ke Ghoonghat

aankhon pe palkon ke ghoonghat
gaalon pe zulfon ka pehra,
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra

aankhon pe palkon ke ghoonghat
gaalon pe zulfon ka pehra,
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra

aankhon pe palkon ke ghoonghat

ek reshmi dupatta, baahon pe jhoomta hai
halka sa ek tabassum, honton ko choomta hai,
honton ko choomta hai
neechi nazar mein chhupa, hai jaise koi raaz gehra
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra

aankhon pe palkon ke ghoonghat

naazuk libaas mein yun, naazuk badan chhupa hai
shabnam ke pairahan mein, jaise chaman chhupa hai,
jaise chaman chhupa hai
ya chaand se aasmaan ke, lipta hai baadal sunehra
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra

aankhon pe palkon ke ghoonghat

jazbaat ki mahak se, saansein basi huyi hain
baalon mein motiye ki kaliyaan chuni huyi hain,
kaliyaan chuni huyi hain
ya raat baandhe huye hain, sar se sitaaron ka sehra
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra

aankhon pe palkon ke ghoonghat
gaalon pe zulfon ka pehra,
subhaan-allah, subhaan-allah
aap ka chehra


- Mohd Rafi sahab