Bahaar Nazar Karoon

bahaar nazar karoon, apna pyaar nazar karoon
joh tum kaho toh nazar ka khumaar nazar karoon

bahaar nazar karoon

joh huqum do toh utaroon yeh chaand ka jhoomar

pasand ho toh sitaaron ke haar nazar karoon

bahaar nazar karoon, apna pyaar nazar karoon
joh tum kaho toh nazar ka khumaar nazar karoon
bahaar nazar karoon

tumhare champayi aanchal mein taankne ke liye

kiran ke phool ya barq-o-sharaar nazar karoon

bahaar nazar karoon, apna pyaar nazar karoon
joh tum kaho toh nazar ka khumaar nazar karoon
bahaar nazar karoon

agar huzoor ko sheesha pasand ho dil ka
agar huzoor ko sheesha pasand ho dil ka
toh kahiye-kahiye, dil-e-beqaraar nazar karoon

bahaar nazar karoon, apna pyaar nazar karoon
joh tum kaho toh nazar ka khumaar nazar karoon
bahaar nazar karoon

- Mohd Rafi sahab