Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Yeh Duniya!
Hamara Forums > Music > Lyrics
noorie
Yeh Duniya!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
shaitanon ki basti hai
yahan zindagi sasti hai

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
shaitanon ki basti hai
yahan zindagi sasti hai
yeh duniya, yeh duniya

dum lene ko saaya hai talwaaron ka
so jaane ko bistar hai angaaron ka
qadam choom tu sar ke andhe peeron ke!
karna ho toh sijdah kar deewaron ka
are, karna ho toh sijdah kar deewaron ka!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
har zaalim ek hasti hai
mazhab zulm parasti hai
yeh duniya, yeh duniya

raaj yeh dar ka, maut hai yahan ki raani
qadam-qadam pe zor-zulm ki man-maani
bhook yahan ki fasl saal bhar phalti hai
log yahan peete hain aankhon ka paani
are, log yahan peete hain aankhon ka paani!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
harsu aag barasti hai
pyaasi rooh tarasti hai
yeh duniya, yeh duniya

badal rahi hai roz badalti jaayegi
badal rahi hai roz badalti jaayegi
duniya karwat legi, chakkar khaayegi
lekin hum mazloom ghareebon ki qismat
kabhi na hasne degi, sada rulayegi
are, kabhi na hasne degi, sada rulayegi!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
bad-haalon pe hansti hai
laachaaron ko dasti hai
yeh duniya, yeh duniya


- Mohd Rafi sahab
nasir
QUOTE(noorie @ Apr 11 2008, 01:14 AM) *

Yeh Duniya!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
shaitanon ki basti hai
yahan zindagi sasti hai

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
shaitanon ki basti hai
yahan zindagi sasti hai
yeh duniya, yeh duniya

dum lene ko saaya hai talwaaron ka
so jaane ko bistar hai angaaron ka
qadam choom tu sar ke andhe peeron ke!
karna ho toh sijdah kar deewaron ka
are, karna ho toh sijdah kar deewaron ka!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
har zaalim ek hasti hai
mazhab zulm parasti hai
yeh duniya, yeh duniya

raaj yeh dar ka, maut hai yahan ki raani
qadam-qadam pe zor-zulm ki man-maani
bhook yahan ki fasl saal bhar phalti hai
log yahan peete hain aankhon ka paani
are, log yahan peete hain aankhon ka paani!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
harsu aag barasti hai
pyaasi rooh tarasti hai
yeh duniya, yeh duniya

badal rahi hai roz badalti jaayegi
badal rahi hai roz badalti jaayegi
duniya karwat legi, chakkar khaayegi
lekin hum mazloom ghareebon ki qismat
kabhi na hasne degi, sada rulayegi
are, kabhi na hasne degi, sada rulayegi!

yeh duniya, yeh duniya
haye hamaari yeh duniya
bad-haalon pe hansti hai
laachaaron ko dasti hai
yeh duniya, yeh duniya


- Mohd Rafi sahab




Thanks Noorie for the lyrics from YAHUDI.

This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.