Mat Poochh Mera Hai Kaun Watan

mat poochh mera hai kaun watan
aur main kahan ka hoon
saara jahaan hai mera
main saare jahan ka hoon

mat poochh mera hai kaun watan
aur main kahan ka hoon
saara jahaan hai mera
main saare jahan ka hoon
mat poochh mera hai kaun watan

main Cheen mein hoon Cheeni
Japan mein Japani
London mein hoon Angrez
India mein Hindustani
main jis ghadi jahan bhi hoon
samjho wahan ka hoon ohmy.gif
saara jahaan hai mera
main saare jahan ka hoon

mat poochh mera hai kaun watan

saathi hoon mein sabhi ka
dushman nahin kisi ka
mere liye baraabar
ho Roos ya Amreeka
auron ke liye lut jayein joh
us kaarwan ka hoon
saara jahan hai mera
main saare jahan ka hoon

mat poochh mera hai kaun watan

main pyar ka hoon jadoo
joh sar pe chadh ke bole
ek phoonk se uda doon
sau atomon ke gole
qismat joh badal de duniya ki
us aasman ka hoon
saara jahan hai mera
main saare jahan ka hoon

mat poochh mera hai kaun watan
aur main kahan ka hoon
saara jahaan hai mera
main saare jahan ka hoon
mat poochh mera hai kaun watan

- Mohd Rafi sahab