Zindagi Mujhko Dikhade Raasta

zindagi mujhko dikhade raasta
zindagi mujhko dikhade raasta

tujhko meri hasraton ka waasta
tujhko meri hasraton ka waasta

zindagi mujhko dikhade raasta
zindagi mujhko dikhade raasta

bojh gham ka hai chala jaata nahin
bekasi ka dukh saha jaata nahin
saara aalam ajnabi hai kya karoon?
uljhanon mein kucch nazar aata nahin

zindagi mujhko dikhade raasta
tujhko meri hasraton ka waasta
zindagi mujhko dikhade raasta

main kahin thham jaoon yeh aadat nahin
haath phailaana meri fitrat nahin
jab chala hoon main toh manzil paoonga
main nahin ya phir meri qismat nahin

zindagi mujhko dikhade raasta
tujhko meri hasraton ka waasta
zindagi mujhko dikhade raasta

zindagi mujhko dikhade raasta

- Mohd Rafi Sahab