Jal Ke Dil Khaak Hua
dil ke phaphole jal uthe seene ke daag se
is ghar ko aag lag gayi ghar ke chiraag se
jal ke dil khaak hua aankhon se roya na gaya
zakhm yeh aise jale phool pe soya na gaya

aasra de ke hamein aas ka dil tod diya
la ke saahil pe akela hamein kyun chhod diya?
beech majhdhaar mein kyun humko dooboya na gaya!

hanste dekha na gaya baagh ke maali se hamein
dhool mein phenk diya tod ke daali se hamein
bhool-e-nadaan pe mala mein piroya na gaya

hum khatawaar hai ya hum ko banane waala
chaand ke mukhde pe bhi daag hai kaala-kaala
kitni barsaaten hui phir bhi woh dhoya na gaya

- Lata Mangeshkar