Mere Pehloo Mein

mere pehloo mein aa ke baitho khuda ke waaste
ishq ko phir gale laga lo khuda ke waaste

( aa bhi jaao, yun dil na jalao, haye meri jaan )

laakhon armaan tere huzoor mein laaya hoon aaj main

sau qadam chal ke teri raahon mein aaya hoon aaj main
do qadam chal ke tum bhi aao khuda ke waaste
mere pehloo mein aa ke baitho khuda ke waaste

( maine tumhara kya bigaada hai, tumhen dil hi diya hai na, tumhen chaaha hai )

mera dil mujhko chhod kar bana tera o naazneeN

teri thokar bahut haseen hai lekin o mahjabeen
sheesha patthar se yun na todo khuda ke waaste
mere pehloo mein aa ke baitho khuda ke waaste

( kyon sataate ho zaalim, main kahaan jaoon, tumhare siwa mera kaun hai? )

mere saaqi main aaj aaya hoon dar ke saamne

hont pyaase hain may ka pyaala nazar ke saamne
ya pilado ya maar daalo khuda ke waaste

mere pehloo mein aa ke baitho khuda ke waaste
ishq ko phir gale laga lo khuda ke waaste
mere pehloo mein aa ke baitho khuda ke waaste

- Mohd Rafi sahab