Payaam-e-Ishq-o-Muhobbat
- Sahir Ludhianvi
payaam-e-ishq-o-muhobbat hamein pasand nahin

yeh dillagi yeh shararat hamein pasand nahin
baja nahin tha yeh izhaar beqaraari ka
lihaz kucch toh kiya hota pardadaari ka
haya se itni baghavat hamein pasand nahin

hamein toh hans ke sitaaron ne bhi nahin dekha -2
nazar mila ke baharon ne bhi nahin dekha
kisi nigaah ki jurrat hamein pasand nahin
yeh dillagi,
yeh dillagi, yeh shararat hamein pasand nahin
joh takht-o-taaj ke waaris ho unka pyaar hii kya?
badalne waali nigaahon ka aitbaar hii kya?
huzoor ki yeh inayat hamein pasand nahin

- Sudha Malhotra