Yeh Zindagi Usi Ki Hai
- Rajendra Krishan
Yeh zindagi usi ki hai jo kisi ka ho gaya
pyaar hi mein kho gaya
yeh bahaar yeh sama keh raha pyaar kar
kisi ki aarzoo mein apne dil ko beqarar kar
zindagi hai bewafa loot pyaar ka maza
yeh zindagi usi ki hai ...
dhadak raha hain dil toh kya dil ki dhadkane na gin
phir kahaan yeh fursatein phir kahaan yeh raat din
aa rahi hain yeh sada mastiyon mein jhoom jaa
yeh zindagi usi ki hai ...
Joh dil yahan na mil sake, milenge us jahaan mein
khilenge hasaraton ke phool, ja ke aasman mein
ye zindagi chali gayi jo pyar mein toh kya hua
yeh zindagi usi ki hai...
sunayegi yeh daastaan, shama mere mazaar ki
fiza mein bhi khili rahi, yeh kali anar ki
ise mazaar mat kaho, yeh mahal hai pyaar ka
yeh zindagi usi ki hai...
aye zindagi ki shaam aa, tujhe gale lagaoon main
tujhi mein doob jaoon main
jahaan ko bhool jaoon main
bas ek nazar mere sanam, alvida, alvida
alvida
alvida
alvidaa
alvidaaaaa.