Aaj Puraani Raahon Se
Aaj puraani raahon se
koi mujhe awaaz na de
dard mein doobe geet na de
gham ka sisakta saaz na de
beete dinon ki yaad thi jin mein
main woh taraane bhool chuka
aaj nayi manzil hai meri
kal ke thikaane bhool chuka
na woh dil na sanam
na woh deen dharam
ab door hoon saare
gunaahon se!
aaj puraani raahon se
koi mujhe awaaz na de...
toot chuke sab pyar ke bandhan
aaj koi zanjeer nahin
sheesha-e-dil mein armaanon ki
aaj koi tasveer nahin
ab shaad hoon main
azaad hoon main
kucch kaam nahin hai
aahon se!
aaj puraani raahon se....
jeevan badla, duniya badli
man ko anokha gyaan mila,
aaj mujhe apne hi dil mein
ek naya insaan mila
pahunccha hoon wahan
nahin door jahan
Bhagwaan bhi meri
nigaahon se!
aaj puraani rahon se
koi mujhe awaaz na de
- Mohd.Rafi sahab
Aaj puraani raahon se
koi mujhe awaaz na de
dard mein doobe geet na de
gham ka sisakta saaz na de
beete dinon ki yaad thi jin mein
main woh taraane bhool chuka
aaj nayi manzil hai meri
kal ke thikaane bhool chuka
na woh dil na sanam
na woh deen dharam
ab door hoon saare
gunaahon se!
aaj puraani raahon se
koi mujhe awaaz na de...
toot chuke sab pyar ke bandhan
aaj koi zanjeer nahin
sheesha-e-dil mein armaanon ki
aaj koi tasveer nahin
ab shaad hoon main
azaad hoon main
kucch kaam nahin hai
aahon se!
aaj puraani raahon se....
jeevan badla, duniya badli
man ko anokha gyaan mila,
aaj mujhe apne hi dil mein
ek naya insaan mila
pahunccha hoon wahan
nahin door jahan
Bhagwaan bhi meri
nigaahon se!
aaj puraani rahon se
koi mujhe awaaz na de
- Mohd.Rafi sahab