Aaj Ki Raat

Aaj ki raat…

aaj ki raat
saaz-e-dil-e-purdard na chhed
aaj ki raat

qaul ulfat ka joh hanste huye taaron ne suna
band kaliyon ne suna, mast baharon ne suna
sab se chhup kar jise, do prem ke maaron ne suna
Khwab ki baat samajh, is ko haqeeqat na bana

aaj ki raat
saaz-e-dil-e-purdard na chhed
aaj ki raat

ab hain armaanon pe chhaye huye bojhal kaale
phoot kar jis mein lage hain mere dil ke chhaale
aankh bhar aayi, chhalakne ko hain ab yeh pyaale
muskurayenge mere haal pe duniyawale

aaj ki raat
saaz-e-dil-e-purdard na chhed
aaj ki raat

bebason par yeh sitam khoob zamane ne kiya
khel khela tha muhobbat ka adhura hi raha
haye taqdeer ke, taqdeer se poora na hua
aise aani thi judaai, mujhe maloom na tha

aaj ki raat
saaz-e-dil-e-purdard na chhed

aaj ki raaaaaaat.