QUOTE(jassi @ Jun 9 2008, 04:11 PM)

first part
SP: Sulaxana Pandit
KS: Kamal Sharma
KS: Sulaxana-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aapka bahut
bahut swaagat hai, namaskaar! Sulaxana-ji, jab baat chal rahi thi aap
ke parivaar ki, aap ke bachpan ki, tab aap ne apni chhoTi bahen ka
zikr kiya tha Vijeyta ka.
SP: jee. meri zindagi ki woh ek aas hai, aur woh Khud ek devi hai,
usne har tareeke se mujhe bachaaya, aur itna pyaar diya, apni maa
jaisa samjhaa, aur jab uske baare mein zikr aata hai to meri aankhon
mein aansoo bhi aate hain ki main us bahen ki bahen hoon baDi jo aaj
mere sath mujhe itna pyaar deti hai ki kisi cheez ki kamee mehsoos
naheen hoti.
KS: matlab bahen bhi hai, saheli bhi hai, kai kai roop hai uske, hun?
SP: 'yes', saare roop, to Vijeyta ke saath hamne sochaa ki Vijeyta ke
saath koi gaana aana chaahiye, aur kudrat ki den dekhiye ek gaana aa
hi gaya.
KS: kaun sa gaana?
SP: "haathon mein meri bhi mehendi lagaayo, jaldi se jaayo mera dulha
leke aayo"
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: haathon mein meri bhi mehendi lagaayo (Dil Se Mile Dil)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
KS: Sulaxana-ji, yeh mera saubhaagya hai ki aaj mujhe aap ke saath
baiThne ka, aap se ru-ba-ru hone ka mauka milaa.
SP: yeh mera bhi saubhaagya hai
KS: jab bhi dekhaa to us chehre pe ek bholaapan, ek maasoomiyat.
yakeen hi naheen hota ki inhone kabhi bachpan mein sharaarat bhi kee
hogi.
SP: bachpan mein, aap yakeen naheen karenge ki main ek bahut
sharmilee laDkee thi. itni sharmilee ki meri koi bahene naheen.
KS: yeh to aap ko 'screen'pe dekh kar hameshaa lagta hai
SP: (laughs) magar main sach keh rahi hoon, mujhe apne aap ko baahar
laana aur 'challenge' ho gaya tha. agar mere 'father' naheen hote to
aaj main 'singer' naheen hoti, 'star' naheen hoti, kuchh naheen hoti,
bhagwaan ne unko apne haathon se banaaya tha bahut Khoobsoorat se,
bahut achchhe swabhaav ke the, bhole the, aur sabse achchhi baat yeh
hai ki woh bahut achchhe guru the. unki pandit Jasraj-ji itni taarif
karte rehte hain aaj bhi, aur kehte hain ki 'aajkal main Prataap
bhaiya mein milne laga hoon'.
KS: ab aap ne jab Pandit Jasraj-ji ka naam liya, to main unkaa bhi
bahut baDaa 'fan' hoon, bahut adbhut gaate hain, jab gaayan divyataa
mein parivartit ho jaata hai.
SP: deewaangee
KS: yeh cheezen uparwaala bahut meherbaani se hi detaa hai
SP: karmon se detaa hai
KS: to aap ke kitne bhaai bahen, us samay kahaan rehta tha aap ka
parivaar?
SP: pehle ham log sab Calcutta mein rehte the, wahaan par All India
Radio se pitaaji ko ek 'letter' aaya ki 'Pandit-ji, aap ko national
Programme mein gawaa rahe hain aur aap Bombay aa jaaiye'. to sab
bachche peechhe paD gaye ki 'ham bhi jaayenge ham bhi jaayenge',
Bambai dekhne ka sab ko shauk tha. to main aur mere baDe bhaai
Bandhir, woh bhi mere guru hain, unhone bhi mujhe bahut mada kee hai
laykaari mein, aur unse maine bahut laykaari seekhee hai, aur main
laykaari mein unko apna guru maanti hoon.
KS: yeh jo baarik kaam hai gaayiki ka
SP: bahut. to ham log yahaan par aaye aur pitaaji ka gaana 'national
recording' ho rahi thi, itne mein baal vibhaag mein ek bachchi naheen
aayi thi. to woh soch mein paD gaye. to unhone dekha ki Pandit-ji gaa
rahe hain to unke bachche bhi zaroor gaate honge. to woh aaye mere
bhaai ke paas. unhone poochhaa 'aap ko gaana aata hai?' maine
kahaa 'mujhe naheen, usko aata hai' aur baDe bhaai ki or haath
uThaaya. to is tarah yeh baat chalti rahi 'naheen yeh gaati hai,
naheen yeh gaata hai, naheen yeh gaati hai, naheen yeh gaata hai'. to
usne dekha ki 'time' nikal jaayega aur 'programme' bhi haath se nikal
jaayega, to unhone hamaara haath pakDaa aur seedhe 'mike' ke saamne
le gaye. aur kahaa 'hamko sunaaiye na ek gaana'.
KS: matlab, 'radio' se aap ka rishtaa bahut puraana hai!
SP: bahut puraana. maine fauji bhaaiyon ke liye bhi kaaryakram kiya
tha.
KS: mujhe yaad hai aap ne fauji bhaaiyon ke liye jo
Jaimala 'programme' hai usmein aap ne shirkar kee thi aur na keval
apne pasand ke gaane sunwaaye the balki unki hausla afzaai bhi kee
theen
SP: jee haan.
KS: 'acting' ka aap ka safar shuru huya tha Sankalp se.
SP: jee haan
KS: Sankalp mein aap ke 'hero' kaun the?
SP: Ramesh Sehgal-ji ke bee hi the. main safed kapDe pahenke, baal
vidhvaa hoti hai na, maine us kirdaar ko Ramesh Sehgal saahab ke
saath kaam karke nibhaaya to us 'acting' ke liye bhi mujhe 'award'
mile. main bahut Khushkismat hoon ki jinhone Sunil Dutt saahab ko
Railway Platform mein 'first introduce' kiya, unhone hi mujhe kiya.
to kitne 'great' honge woh ki unhone 'artistes' chune, 'industry'
ko 'artsites' deeye.
KS: Sankalp 1974 ki baat thi. phir 1975 mein aap ki 3 filmen aayeen.
to inmein aapki sabse pehle kaun film 'release' huyi, Uljhan?
SP: dekhiye, ismein chhoTi si baat main aap se kahoongi
KS: zaroor
SP: main Nadiadwala ki film Bundlebaaz mein kaam kar rahi thi, aur us
waqt mujhe ijaazat naheen thi ki main kisi aur film mein kaam karoon
jab tak ki Bundlebaaz naheen ban jaaye.
KS: woh to 1976 mein 'release' huyi thi
SP: 'yes yes yes'. to kya huya ki Bundlebaaz jab ban rahi thi to main
itni Khush thi, itni Khush thi ki Rajesh Khanna us zamaane mein bahut
baDe 'actor' maane jaate the, ek bahut baDaa 'set' lagaa huya tha, us
pe ek gaana 'picturize' kar rahe the. to ek din Sudesh Kumar aaye aur
kahaa ki 'ek meri film hai Uljhan, aap karengi?'
KS: arey waah. aap ke 'hero' the usmein Sanjeev Kumar. kyunki woh
film maine dekhi hai. aap ko lagaataar ek tanaav jhelnaa paDtaa
hai 'screen' mein aap ko taaki 'husband' par woh baat zaahir na ho
jaaye.
SP: jee haan
------------ --------- --------- --------- --------- ------
Song: apne jeevan ki uljhan ko - Lata version (Uljhan)
------------ --------- --------- --------- --------- ------
SP: saamne Sanjeev Kumar, jaise ki kisi bhi 'role' ko kar sakte the,
ek seemaa par khaDe naheen rehte the, woh apni raah banaate jaate
the.
KS: 'great' the
SP: aur 'I think' ki unke jaisa kalaakaar aaj ki 'date' mein naheen
hai.
------------ --------- --------- --------- ---------
Dialogues between Sanjeev & Sulaxana from Uljhan
------------ --------- --------- --------- ---------
SP: aap se keh doon ki main Bundlebaaz mein kaam to kar rahi thi,
Khush bhi thi, par jab Sudesh Kumar ne yeh 'picture offer' kee mujhe,
woh Uljhan, to maine sochaa ki hazaaron filmen hain, chalo isko bhi
kar dete hain.
KS: Sulaxana-ji, yeh aap ki doosri film thi na?
SP: jee haan
KS: aur doosri film jismein lambaa anubhav bhi naheen tha
SP: jee haan
KS: aur aap ko ek aisa 'drama' jismein bahut zyaada tanaav, lagaataar
aap ko jhelnaa hai aur 'screen' par woh dikhnaa chaahiye, taaki
dekhnewaala apne aap ko uske saath 'associate' kar sake
SP: bilkul sahee hai
KS: aur woh bhi uis tanaav ko, us 'pain' ko jheltaa hai jo aap ko
dekh raha hai. aap ko lagaa ki 'challenge' hai, aur saamne, jaisa ki
aap ne farmaaya ki Sanjeev Kumar jaisa 'actor' ho, us kad-kaaThi ka...
SP: o ho, jab unkaa naam aata hai to 'really' lagta hai ki aise
kalaakaar baar baar naheen paidaa hote.
KS: us samay aap ko thoDi 'nervousness' thi?
SP: bahut, balki peeTh ke peechhe chhup jaati thi, jab koi
aisa 'romantic scene' aata to main sharmaa jaati thi aur woh sakht
rehte the, gambheer. yeh naheen ki mere sharmaane par unhone
kuchh 'comments' keeye, kuchh naheen. sochte honge ki 'Sulaxana jo
hai, 'obviously' abhi abhi aayi hai filmon mein, pyaar mohabbatwaali
baat, aur tum 'daddy' bannewaale ho'. to aisi cheezen jab saamne aati
thi to thoDaa peechhe ho jaati thi, phir himmat karke saamne aati thi
aur 'dialogue' keh deti thi.
KS: jitne bhi shrotaa hain, jo is waqt baatchit ko sun rahe hain ,
Sulaxana-ji ka woh chehra, woh 'scenes' Uljhan ke, apne yaadon ke
galiyaaron se guzar rahe honge. ham Indian Beauty jise kehte hain,
bhaartiya saundarya jise kehte hain, us saundarya mein sharm hai,
nazaakat hai, aur sankoch hai
SP: bilkul sahi hai
KS: to kya bahut zyaada Khayaal karti hain ki yeh bhi kudrat ki den
hai?
SP: (laughs) yeh bhi kudrat ki hi den hai. ham log to 'singer' hain.
KS: Noorjehan aur Suraiyya ne jo paramparaa banaaee thi, aap ko main
usi parampara mein shaamil karta hoon
SP: 'oh my God! thank you'
KS: kyunki gaana aur abhinay, dono ek saath bahut 'rare' hai.
SP: Kishore Kumar bhi aise kalaakaar the jo film banaate bhi
the, 'direct' bhi karte the, aur 'producer' bhi the, aur sangeetkaar
bhi the, aur sarvaguN dhanee the
------------ --------- --------- --------- ------
Song: ge ge ge geli zaraa Timbaktu (Jhumroo)
------------ --------- --------- --------- ------
KS: ham abhi kuchh der pehle 'beauty' ki baat kar rahe the, sahi
maaeene mein jab tak aadmi andar se Khoobsoorat naheen hai, 'inner
beauty' jise ham kehte hain, mere Khayaal se woh zyaada sundar hoti
hai
SP: bahut baDi baat kahee aap ne
KS: bahut lambe samay tak log usey hi yaad rakhte hain
SP: bahut sahee
KS: aur aisaa bholaapan aap ke man mein gehraa asar chhoDtaa hai,
aur 'screen' par bhi zyaada apna bhi lagta hai. aisa...
SP: dekhiye main ek baat kehti hoon
KS: jee
SP: aap jis tarah se saundarya ki baat kar rahe hain, to woh
saundarya bhagwaan banaata hai. main yahi kahoongi ki jab main raaste
par chalti thi, 16/17 saal, ek 'church' hai, wahaan main mombatti
jalaati thi.
KS: oh
SP: main bhajan gaati thi ki 'bhagwaan mera achchha ho', sab jagah
jaati thi, to 'without my knowledge' ke log mujhe peechhe muD muD ke
dekhte the, ki yeh kaun hai yeh kaun hai, itni Khoobsoorat lagti thi.
phir ek baar main Manna-da ke saath koi gaana gaa rahi thi, mujhe
dekhte hi bole 'arey Sulaxana, tu 'heroine' kyun naheen banti?' (KS
laughs). maine kahaa ki 'main gaana gaane aayi hoon'. to bole
ki 'Noorjehan ki tarah gaa, aur Suraiyya bhi gaati theen, unke jaisaa
kaam bhi karo'. to maine kahaa ki 'achchha, jaise milegaa main
karoongi'. to is tarah se Manna-da ne, aur phir Kishore-da ko jab
pataa chalaa ki Sulaxana itni 'talented' hai, 'isko bhi usi
tarah 'effort' aa rahe hain jaise mujhe aate the' to kyun na isko
filmon mein kaam karaaya jaaye. unhi ke saath Hemant-da aaye, unhi ka
jo 'production' hai usmein kaam karo. ab dono mein kahaan haan kahaan
naa mujhe pataa naheen. to 'ultimately' yahi 'plan' huya ki naa woh
kaam denge naa main kaam karoongi aur dono ko apni apni jagah jaise
hain waise hi rahenge.
KS: Uljhan ki baat zaraa beech mein ulajh hi gayi, usko zaraa
suljhaana zaroori hai (SP laughs). Sanjeev Kumar ki baat chal rahi
thi, woh kabhi aap ko 'guide' karte the, bataate the chhoTi chhoTi
baaten, madad karte the?
SP: jahaan tak unkaa samjhaana, jo baat woh samjhaana chaahte the woh
Raj Jalani ko bol dete the ki 'Sulaxana ko bolo ki yeh 'scene' woh is
tarah se kare'. is tarah Sanjeev-ji ka bhi jab main 'scene' dekhti
thi, to mujhe lagtaa tha ki kya aankhen hain unki! kyaa unkaa chehraa
bhagwaan ne 'specially' banaaya hai! koi bhi insaan unko dekhe to jaa
naheen saktaa tha. bahut hi saadar dil aur bahut 'emotional' aur
bahut dooooooor ghanTon dekhnaa, woh 'scene' ko naheen dekhte the
jaise ham log baiThe huye hain, 'scene' de diyaa, 'scene' paDh liyaa,
to 'balcony' mein jaakar ghanTon khaDe rehte the jab tak 'light'
lagti thi.
KS: aur andar hi andar us par kaam kar rahe hote the
SP: kaam kar rahe hote. Naya Din Nayi Raat mein unhone nau 'role'
keeye the.
KS: to Sulaxana-ji, isiliye kuchh log jis naam se woh jaane jaate
hain 'actor' ke roop mein, woh wohi nazar aate hain 'screen' par bhi.
lekin kuchh log woh hote hain jo film ka 'character' hota hai woh
nazar aate hain. unkaa asli naam peechhe chhooT jaata hai
SP: bilkul sahee
KS: aur Sanjeev Kumar aise hi 'actor' the jo us 'character' mein
samaa jaate the, jo us 'character' ko amar banaa dete the.
SP: bilkul
KS: chaahe Sholay ke Thaakur saahab ki baat karoon, chaahe Aandhi ki
baat karoon
SP: aa haa
KS: Mausam ki baat karoon
SP: kya baat hai
KS: Koshish ki baat kare ham
SP: o ho ho
KS: bahut hi 'challenging role'
SP: kamaal kar rahe hain aap, itne achchhe filmon ke naam aap ko yaad
hai, main soch ke aa rahi thi ki in filmon ke naam main loongi
lekin 'I must give you credit' ki 'you know Sanjeev-ji so nearly',
main bahut 'contended' mehsoos kar rahi hoon.
KS: achchhe log sab ke dilon par raaj karte hain
SP: bilkul sahee, bilkul sahee kahaa hai
second part
SP: Sulaxana Pandit
KS: Kamal Sharma
KS: Sulaxana-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aap ka bahut
bahut swaagat hai, namaskaar.
SP: namashkaar, shukriyaa
KS: Sulaxana-ji, jab aap ki yeh film bankar 'release' huyi, Uljhan ki
baat kar raha hoon main, to apno ka, doston ka, saheliyon ka
kya 'reaction' tha?
SP: dekhiye, ham jab woh film 'premiere' mein hi dekhe the, to jitne
dekhnewaale the woh sab 'spell bound' ho gaye. yaani unko yeh samajh
hi naheen aaya ki yeh nayi 'heroine' hokar Ashok Kumar, Sanjeev
Kumar, Farida Jalaal, Aruna Irani ke rehte huye, aur yeh laDki lekar
chali gayi 'cake'! sab mujhi ko yaad karte. to ek maasoomiyat usmein
yeh thi ki meri nanad aati hai Farida Jalaal mere paas aur kehti hai
ki brij aa gaya hai aur agar main uske paas naheen gayi to woh mere
saare pyaar bhare Khat mere pati ko de degaa aur main to kisi ko munh
dikhaane ke laayak naheen rahoongi. is tarah 'scene' pe 'scene', ham
jab 'dubbing' karte the tab 'oh Sulaxana, what are you doing,
tremendous!' sab mujhe, matlab, pyaar karte the ki yeh nayi laDki
hokar bhi itna achchha kar rahi hai.
------------ --------- --------- --------- ----
Song: subah aur shaam kaam hi kaam (Uljhan)
------------ --------- --------- --------- ----
SP: dekhiye Khat laana, Brij ko maarnaa, phir 'husband' se chhupaana
ki main Khooni hoon, aur uske baad mein ek chhoTi si guDiyaa
jaisi 'heroine' baiThke seh rahi hai yeh sab, main Khud ro deti hoon
kabhi kabhi us film ke baare mein sochke, baDi pyaari 'script' thi,
aur bahut 'tight' kaam tha, ek ek 'scene' main kabhi dekhti hoon to
main aankh band kar leti hoon, yeh 'scene' aayegaa, yeh 'scene'
aayega, aap yakeen naheen karenge Ashok Kumar-ji ne jo kaam kiya hai
us film mein, 'I am really', unki aatma ko shaanti de bhagwaan, woh
itne baDe kalaakaar hokar ek 'scene' diya unhone, to Sanjeev aaye
neeche, yeh aaye, Ashok-ji, to bole ki 'kyun bahu ko ghar se nikaala
gaya, kyun usko hathkaDi dilaayi, kiske bolne par 'police' aayi?', to
Farida Jalaal bolti hai ki 'naheen, jeejaaji main bolti hoon, main
Khooni hoon, main usey pyaar bhare Khat likhti thi, kamzori meri hai,
usey jo dhutkaar rahe hain, meri aatma gawaara naheen karti'. main
bolti hoon 'jab tak main hoon mujhe karne de, main agar kamzor paDee
tab koi aur baat hai'.
KS: jee
SP: magar woh 'scene' pe 'scene', 'scene' pe 'scene', 'scene'
pe 'scene', pyaare pyaare 'dialogues', aur ek sahee bahu, ek sahee
nanad ka jo kaam, woh mujhe zindagi bhar yaad rahegaa.
KS: ek baDaa kalaakaar wohi hotaa hai jo us chunauti ko nibhaa le
jaata hai aur apne abhinay se apni kalaa se ek charitra ko itna
vaastavik, itnaa vishvasniya banaa deta hai ki log uske saath
apne 'emotions share' karne lag jaate hain, usmein apne aap ko dekhte
hain. kahaani jab logon ke dilon par asar karti hai, baat tabhi banti
hai. aap ki ek film 1975 mein aayi thi Salakhen, jismein aap ne kaam
kiya tha Shashi Kapoor ke saath mein. usmein Shammi Kapoor bhi the
aur Mahmood bhi the usmein shaayad, hai na!
SP: jee jee, bilkul sahee
KS: aur sangeet Ravindra Jain saahab ka
SP: jee
KS: to Shashi Kapoor ke saath bhi aap ne kaam kiya, Shammi Kapoor ke
saath bhi, aur Rishi Kapoor ke saath bhi.
SP: jee. aap ko ek bataa doon, Kapoor 'family' mein aise kaun hain
jinke saath maine kaam naheen kiya? (KS laughs) sabse baDi baat yeh
hai ki Raj Kapoor saahab ne bhi mujhse kahaa 'tum filmon mein kaam
karo, gaana to milte hi jaayegaa'. aur bhari 'audience' mein
Shanmughanan Hall mein unhone 3000 aadmiyon ke saamne kahaa
ki 'Sulaxana Pandit will be my heroine in RK'. sunkar main gumsum ho
gayi. ek baar Shashi Kapoor kisi 'programme' mein aaye the aur unka
takiya kalaam huya karta tha 'jee mujhe Shashi Kapoor kehte hain'. to
uske baad sab ko biThaaya gaya, ham sab baiThe the 'programme' dekhne
ke liye, to Shashi-ji se kahaa gaya ki 'aap kuchh kahen'. Shashi-ji
ne kahaa ki 'main bahut Khush hoon ki aap log baiThe hain yahaan, aur
mujhe aap 'award' de rahe hain, is baat se main bahut Khush hoon, to
logon ne bolaa 'dialogues'. to unhone bolaa 'dekhiye, yahaan pe na
koi 'camera' hai aur na koi 'heroine' hai'. to 3000 'public' ne ek
saath kahaa 'Sulaxana Pandit!'. main Khud hairaan ho gayi. aur unhone
peechhe muDkar dekhaa ki aisa kaun hai Sulaxana Pandit jinka naam
kahaa jaa raha hai. to unhone kahaa ki 'jee maine kabhi inke saath
kaam to naheen kiya lekin kaam karna paDe to main inke saath zaroor
kaam karoongaa'. bhagwaan ki dayaa dekhiye saat filmon mein maine
unke saath kaam kiya. to aise bahut si cheezen insaan ke saath hoti
hain jo woh kabhi bhool naheen saktaa.
KS: waise Shashi Kapoor saahab ki baat karen to woh bhi apne parivaar
mein alag tarah ke vyakti hain jinhone apni tarah se, apne parivaar
mein, Khaaskar naaTakon mein jo yogdaan diya hai, paramparaa ko aage
baDhaaya, aur usko bahut sahejkar sambhaalkar rakhaa.
SP: sab hain aise hi. Raj Kapoor ke jo beTe hain Rishi Kapoor, mujhe
unke saath itna achchha lagaa, bilkul 'down to earth', zaraa ghamanD
naheen, 'on the contrary helping'. ek baar ham jaa rahe the, hamne
ek 'banner' dekhaa Mamta. usmein jitne bhi 'staff' the, 'helper'
aur 'hair dresser', sab ko maine bolke rakhaa 'kal 'ticket' laake
rakhna, 9 baje 'shooting' khatam hogi, phir ham log yeh film dekhne
aayenge'. uskaa ek gaana mujhe bahut pasand aaya tha, uskaa ek
ek 'line' main aap ko sunaati hoon
KS: zaroor zaroor
SP: (sings) "ham gawanwaa na jaibe ho binaa jhoolni..."
------------ --------- --------- --------- --------- ----
Clip: ham gawanwaa na jaibe ho binaa jhoolni (Mamta)
------------ --------- --------- --------- --------- ----
SP: (sings) "sakal bana gagana pawana chalata purvaaee ri...."
------------ --------- --------- --------- --------- ------
Clip: sakal bana gagana pawana... ham gawanwaa (Mamta)
------------ --------- --------- --------- --------- ------
SP: (sings) "vikal moraa manwaa un bin haaye..."
------------ --------- --------- --------- ---------
Clip: vikal moraa manwaa... ham gawanwaa (Mamta)
------------ --------- --------- --------- ---------
KS: bahut Khoob bahut Khoob!]
SP: yeh gaana bahut pasand aaya tha, abhi to Khair mera galaa baiTha
huya hai. aap ek baat sochenge to aap ko ajeeb lagegaa, maine kabhi
zindagi mein haath mein kaaGaz leke naheen gaaya. aadmi ki yaaddaash
bahut baDi cheez hai, aaj bhi meri zahan mein hazaaron gaane hain.
mere apne hain, Pandit Jasraj, aur mere pitaaji Pandit Pratap Narayan
hain, main garv karti hoon ki main unki beTi hoon, mere pitaaji ko
aap ne dekhaa hotaa ki aap sochte ki 'kaun si 'personality' hain
yeh!' meri maa ko Sanskrit ki aur poojaa ki jitni jaankaari thi
shaayad hi kisi ko hogi. mujhe unhone gaana sunaaya, usmein kuchh
ajeeb si thi, 'language' thi, doodh, ghrit, (sings) "doodh math ghrit
kaaDh le aa, Daar gaya chhoya, mhaara ri giridhar gopaal doosra na
koi". to main jab maa se sunti thi to main unse kehti thi ki 'aap ko
samajh kya aa raha hai iskaa?' to bolti theen, gyaani theen,
ki 'beTaa, doodh ko mathnaa paDtaa hai, doodh math, phir usmein se
ghee nikaalna paDtaa hai, aur in teen cheezon ke baad chhaanch ko
phenk denaa paDtaa hai'.
KS: ismein guDh baat chhipi huyi hai, gehra darshan chhipa huya hai
jeevan ka, aur jab ham darshan ki baat karte hain, to kaavya ke
maadhyam se, geeton ke maadhyam se, hamaare jo kavi hain, geetkaar
hain, shaayar hain, woh hamaari baat, apni baat, duniya ke saamne
rakhte rahe hain. aur film sangeet iski sab se baDi vidhaa hai.
Sulaxana-ji, main aap se jaanna chaahoonga ki woh kaun se sangeetkaar
hain jinse aap, jinki sangeet se aap bahut zyaada prabhaavit huyeen?
SP: ek baar kya huya ki maine Anpadh film ka yeh gaana sunaa
tha, "aap ki nazron ne samjhaa"
------------ --------- --------- ---------
Song: aap ki nazron ne samjhaa (Anpadh)
------------ --------- --------- ---------
SP: main Madan Mohan-ji ki bahut baDi 'fan' ho gayi, ham dono ek din
Mehboob Studio saath hi mein jaa rahe the, meraa bhi gaana tha, unkaa
bhi tha. to jab main jaa rahi thi to unko aise dekh rahi thi jaise
koi bahut baDi shahseeyat ko dekh rahi hai. maine sochaa ki 'kaash
main inkaa koi gaana gaa loon!' sochte sochte achaanak ek din Khabar
aayi ki woh is duniya mein naheen rahe. sach poochhiye itni Thes
pahunchi mere dil ko aur 'music' ko.
------------ --------- --------- --------- --------- ------
Song: jaana tha hamse door bahaane banaa liye (Adalat)
------------ --------- --------- --------- --------- ------
SP: kitni 'lucky' hain Lata Mangeshkar, Asha Bhosle, jinko achchhe
achchhe chere mile, jinke woh 'lip movement' kare, aur itne achchhe
geetkaar, Raja Mehendi Ali Khan, Shaqeel Badayuni, kitne achchhe
achchhe 'writers' unko mile. aaj agar Lata Mangeshkar aateen to main
samajhti hoon kabhi woh "dhoom machaa le" naheen gaateen, woh to yehi
gaateen ki "lag jaa gale ke phir yeh haseen raat ho na ho"
Jassi Thanks a lot ..........I need to take a day's leave to complete reading this....