Kahan jaa raha hai tu aye jaane waale
Andhera hai mann ka diya toh jalaale
Kahan jaa raha hai
Ye jeevan safar ek andha safar hai
Bahekna hai mumkin bhatakne ka darr hai
Sambhalta nahi dil kisi ke sambhaale
Jo thokar na khaye, nahi jeet uski
Jo girr ke sambhal jaye, hai jeet uski
Nishaan manzilon ke ye pairon ke chhale
Kabhi ye bhi socha ke manzil kahan hai
Bade se jahan mein tera ghar kahan hai .. tera ghar kahan hai ..
Jo baandhe thay bandhan, wo kyun tod daale
Kahan jaa raha hai tu aye jaane waale
Andhera hai mann ka diya toh jalaale
Kahan jaa raha hai
Kahan jaa raha hai
_________________________________
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyricist: Shailendra
Click to view attachment
