Nazm ulajhii huii hai siine me'n
misare aTake hue hain honTo'n par
u.Date-phirate hain titaliyo'n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii'n
kab se baiThaa huu'N main jaanam
saade kaaGaz pe likh ke naam teraa
bas teraa naam hii mukammal hai
isase bahatar bhii nazm kyaa hogii