Mein na bhuloonga
Mein na bhuloonga
In rasmon ko, in kasmon ko, in rishte naaton ko
Mein na bhoolunga
Mein na bhoolunga
Hmm Hmm Hmm
Mein na bhoolunga
Samay ki dhaara mein
Ho samay ki dhaara mein, Umar reh jaani hai
Jo ghadi jeelenge, Wohi reh jaani hai
Mein banjaoon saans aakhri
Too jeevan banjaa
Jeevan se saanson ka rishta
Mein na bhuloongi
Mein na bhuloongi
Mein na bhuloonga
Barasta saawan ho
Mehekta aangan ho
Kabhi dil dulha ho
Kabhi dil dulhan ho
Gagan bann kar jhoomay
Pavan bann kar ghoomay
Chalo raahen moden
Kabhi na sangg chorden
Kahin pe chhup jaana hai
Nazar nahi aana hai
Kahin pe bass jaayenge
Ye din kattjayenge
Arey kya baath chali
Wo dekho raath dhali
Ye baaten chalti rahen
Ye raaten dhalti rahen
Mein mann ko mandir kardaloon
Too poojan bann ja
Mandir se pooja ka rishta
Mein na bhuloonga
Mein na bhuloongi
Mein na bhuloonga
Mein na bhuloongi
In rasmon ko, in kasmon ko, in rishte naaton ko
Mein na bhoolunga
Mein na bhoolunga
Mein na bhoolunga
Mein na bhoolunga
Ho~~ Ho~~
Ho~~ Ho~~