QUOTE(ZUHA_ALI @ Dec 7 2005, 01:59 AM)

Movie Name: Leader
Singer: Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi
Music Director: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Ek shahanshah nay banavaa kay haseen taajmahal
Saari duniyaa ko muhabbat ki nishaani di hai
Is kay saaye main sadaa pyaar kay charchay hongein
Khatam jo ho na sakay gi woh kahani di hai
Ek shahanshah nay banavaa kay haseen taajmahal
Taaj woh shamaa hai ulfaat kay sanaam khanay ki
Jis kay parvaanoo mai mufalis bhi zaradaar bhi hai
Sang-e-maramar main samayi howi khuwaabo ki qasam
Marhalay pyar kay aasaan bhi dhuswaaar bhi hain
Dil ko ek josh iraado ko jawaani di hai
Ek shahanshah nay banva kay haseen taj Mahal
Sari duniya ko muhabbat ki nishaani di hai
Taaj aik zinda tasavvur hai kisi shayaar ka
Iss ka afsanaa haqeeqat kay siwa kuch bhi nahi
Iss ki aagosh main aakaar yeh gumaan hotah hai
Zindagi jaise muhabbat kay siwa kuch bhi nahi
Taaj nay pyaar ki maujon ko ravaanoi di hai
Ek shahanshah nay banvakay haseen taj mahal
Yeh haseen raat mahaki huwi puranur fazaa
Ho ijazaat toh yeh dil ishq ka izhaar karay
Ishq insaan ko insaan banaa detah hai
Kis ki himmat hai muhabbat say jo inkaar keray
Ajj taqdeer nay yeh raat suhaani di hai
Ek shahanshah nay banvaakay haseen taj mahal
Sari duniya ko muhabbat ki nishani di hai
Beautiful lyrics indeed!!
But also listen to the nazm by Late Sahir Ludhianvi ' Ik ShehanShah ne Daulat ka Sahara le kar, Hum Garibon ki Mohabbat ka Udaaya Hai Mazaaq.........' that he wrote for the film 'Gazal' , sung by Late Mohammad Rafi and composed by King of Gazals, Late Madan Mohan.