Do baatein ho sakti hain, Sanam tere inkaar ki
Ya duniya se too darti hai, Ya kadar nahi mere pyaar ki

Kabse khada main raahon main, Apna dil bichhaye haye
Kabse khada main raahon main, Apna dil bichhaye
Lekin meri mohabbat pe, Tujhko yakeen na aaye
Do baaten ho sakti hai sanam tere takraar ki
Ya dil hai tera paththar ka, ya chahat nahi dildaar ki

Darr hai kahin is jeevan ka, sapna toot na jaye haye
Darr hai kahin is jeevan ka, sapna toot na jaye
Lekin meri mohabbat pe, Tujhko yakeen na aaye
Do baatein ho sakti hain, ab toh jeet ya haar ki
Kehde mujhse main mar jaooun, Ya thaam le baahein yaar ki

Do baatein ho sakti hain, Sanam tere inkaar ki
Ya duniya se too darti hai, Ya kadar nahi mere pyaar ki