sbfan
Oct 7 2005, 09:20 PM
Hi frineds this is part1 of the interview which I got from net
SB: Shamshad Begum
KS: Kamal Sharma
Sargam Ke Sitare karyakram mein aaj hum aapki mulaaqaat sargam ke us
sureeli aur lokpriya gaayika se karvaa rahehain jinhe aap Shamshad
Begum ke naam se jaante hain, jinki khanakbhari awaaz se na keval woh
thirakta tha balki unki lokpriyata ka aalam yeh hai ki aaj ki yuva
peedhee unke gaaye geeton ki remixon par thirak rahi rahe hain.
Shamshadji se yeh baatchit hamare sehyogi Kamal Sharma ne Shamshadji
ke Powai ke unke ghar par record kiya. To aayiye sune yeh baatchit.
Song: Boojh mera kya naam re nadi kinare gaaon re
SB: Mere ko gaana nahin seekhaaya kisi ne, gramophone par sun sunkar
maine seekha. Mere gharwale ne ek paisa nahi kharch kiya. Ladkon ka
hi filmon mein gaana bajaana achchha nahi maana jaata tha, ladkiyon
ki kya baat thi. Maine gaane lagti ghar mein to sab chup kara dete
the ki kya har waqt 'chen chen' karti rehti hai.
KS: Shamshadji, aapne kis umra se gaana shuru kiya tha?
SB: 8 saal se gaana shuru kiya, jab se hosh aaya tabhi se gaati thi
Song: Kaahe koyal shor machaaye re koi apna mujhe yaad aaye re
KS: Aap jis school mein padhti theen, wahaan aapke music teacher ne
aapka hausla badhaaya hoga?
SB: Unhone kaha ki awaaz achchhi hai, par gharwalon ne is taraf
dhyaan nahin diya. Main jis school mein padhti thi woh British ne
banaya tha, Urdu zabaan mein, maine 5th standard tak padhaai kee. Hum
chaar bahen aur teen bhai the. Ek meraq chacha tha, ek unko gaane ka
shauk tha. Woh kehte the ki hamare ghar mein yeh ladki aage chalkar
achchha gaayegi.Woh mere baba ke sage bhai the. Woh Urdu itna achchha
bolte the ki tabeeyat khush ho jaati, lagta hi nahi ki woh Punjab ke
rehnewale the. Mere walid ghazlon ke shaukin the aur we mushayre mein
jaaya karte the. kabhi kabhi we mujhse ghazlen gaane ko bhi kehte
the. Lekin woh mere gaane se darte the. Woh kehte ki chaar chaar
ladkiyaan hain ghar mein, tu gaayegi to in sabki shaadi karwani
mushkil ho jaayegi.
KS: Shamshadji, aapki gaayiki ki phir shuruwaat kaise aur kab huyi?
SB: Mere us chacha ne mujhe Xynophone company mein le gaye, woh ek
nayi gramophone company aayi huyi thi. Us samay main 12 saal ki thi.
Waqhaan pahunchkar pata chala ki audition hogi, un logon ne takhtposh
bichhaaya, hum chadh gaye, us par baith gaye (SB laughs). Waheen par
maujood the sangeetkaar Master Ghulam Haider sahab. Itne kamaal ke
aadmi maine dekha hi naheen tha. Woh mere walid sahab ko pehchaante
the. Woh kamaal ke pakhaawaj bajate the. Unhone mujhse poochha ki
aapke saath kaun bajaayega? Maine kaha main khud hi gaati hoon, mere
saath koi bajaanewala naheen hai. Phir unhone kaha ki thoda gaa ke
sunaao. Maine Zafar ki ghazal shuru kee "Mere yaar mujhse mile to",
ek asthayi ek antara, bas! Unhone mujhe rok diya, maine socha gaye
kaam se, yeh to gaane hi naheen dete. Yeh maine khwaab mein bhi
naheen socha tha ki main playback artiste ban jaayungi, mera itna
naam hoga. Main sirf chaahti thi ki main khulkar gaayun.
Song: Mere ghunghar waale baal
SB: Maine Masterji se phir kaha ki doosra gaana sunaayun? Unhone kaha
ki naheen, itn atheek hai. Phir 12 gaano ka agreement ho gaya, har
gaane ke liye 12 rupay. Mastreji ne un logon se kaha ki is ladki ko
woh sab facilities do jo sab bade artiston ko dete ho. Us zamane mein
6 maheeno ka contract huya karta tha, 6 maheene baad phir
recordingwaale aa jaate the. 10 se 5 baje tak hum rehearsal kiya arte
musicians ke saath, Masterji bhi rehte the. Aap hairaan honge ki unhi
ke gaane gaa gaa kar main artiste bani hoon.
Song: Naino ke baan ki geet anokhi
KS: Aap mein bhi lagan rahi hogi?
SB: Master Ghulam Haider sahab kaha karte the ki is ladki mein guts
hai, awaaz bhi pyaari hai. Shuru mein har geet ke liye 12 rupay dete
the. Poora session khatam hone par mujhe 5000 rupay mile. Jab rab
meherbaan to sab meherbaan (SB becomes emotional & starts sobbing).
Jab result nikalta hai to phir kya kehna!
Song: Duniya ko laat maaro duniya salaam kare
KS: Aapne phir radio se bhi jud gayeen, is baare mein kuchh bataayen
SB: Jab maine gaana shuru kiya tha tab radio nahin tha, sirf
gramophone companies thi, aur bahut mehenga bhi tha, 100 rupay keemat
thi gramophone ki aur har record ki keemat hoti thi 2.50 rupay. 2
saal baad jab hum tayyaar ho gaye, tab rab ne radio khol dee aur main
Peshwar Radio mein shaamil ho gayi.
Song: Har dil ki daastaan, dukh dard bhi hai, aaraam bhi hai
KS: Radio mein kisi producer ko aap jaanti thi, aapko mauka kaise
mila?
SB: Us waqt producer nahi, station director hote the, unke liye
gaanewaale kahaan se aayenge? Woh gramophone company waalon se
poochhte the gaayakon ke baare mein. Xynophone company se bhi unhone
poochha aur is tarah se mera naam unhe mil gaya. Maine Peshawar Radio
se shuruwaat kee, Pashto, Persian, Hindi, Urdu aur Punjabi programmes
karne lagi. Phir Lahore aur Dilli Radio se bhi judee.
Song: O jaadugar baalma
KS: Aap maanengi ki aapki kaamyaabi ke peechhe radio ka bhi badaa
haath hai?
SB: Bahut bada haath hai ji, radio ne hi ek seekhaya sabhi ko ki yeh
ladki ek artiste hai.
Song: Kahin pe nigaahen kahin pe nishaana
KS: Shamshaji, yeh bataaiye ki us samay aap gair filmi gaane gaati
theen, kabhi filmwaalon ki bhi ichchha huyi hogi ki aapse filmon mein
gawaaye?
SB: Baba filmon mein mujhe kaam naheen karne nahi denge yeh saaf saaf
keh diya tha, gramophone company aur radio mein gaa rahi ho, bahut ho
gaya, ab iske aage aur naheen, unhone aisa keh diya tha. Mera to film
ke liye screentest bhi ho gaya tha. Lekin baba ne mana kar diya, kaha
ki aur nahi chaahiye. Us zamane mein playback nahi tha, isliye agar
filmon mein gaane ke liye usme acting karna bhi zaroori tha, isliye
filmon mein gaane ka mauka nahi mil paaya. Maine 2/3 saal radio mein
kas ke gaaye. Phir playback aa gaya. Us waqt main Xynophone company
mein gaa rahi thi, isliye company ne filmwale ke saamne yeh shart
rakh dee ki main film mein gaa sakti hoon, lekin gramophone record
par Xynophone ka naam rahega. Pehli film jisme maine gaaya, woh tha
Yamla Jatt, Pancholi sahab ki. Maine isme 4/5 gaane gaaye, jo saare
super hit huye, film ne bhi silver jubilee manaayi.
KS: Aapne dekha ki naheen is picture ko?
SB: Dekha tha, ek baar.
KS: Achchha Shamshaji, us zamane mein recording studios ka maahaul
kaisa huya karta tha?
SB: Achchha tha aur kaam karnewale log the. Jab tak music director
nahi kehta ki sab perfect hai, tan tak artiste ko rehearsal karte
rehn padta. Itni baar rehearsal hoti thi ki sur ke saath saath bol
bhi yaad ho jaate the.
Song: Jab usne gesu bikhraaye baadal aaya jhoom ke
SB: Us daud mein aisa naheen hota tha ki "aaaaa" kiya aur 'cut' kar
diya, "ooooo..." kiya phir cut kar diya. 8 minute ka bhi gaana hai
tostart se end tak theek hona padta tha, koi bhi galati ho, chaahe
singers ki ya musicians ki, retake karwate the.
KS: Humne suna hai ki us zamane mein kisi bhi geet ko do baar gaane
padte the, film ke liye alag, gramophone ke liye alag?
SB: Haan, pehle film company mein gaate the jo picture ke parde par
dikhaay aur sunayi deta, phir gramophone company jaate the, agar
gramophone record nikaalna tha.
KS: Aap recording ke liye ghar se studio kaise jaati thi, bus ya taxi
mein?
SB: Jee nahi, taange mein. Hamar bungla tha Maal Road par, wahaan se
Pancholi Studio, apne taange mein hi aaya jaaya karti thi.
Song: E ji thandi sadak hai akad akad ke chalo na babu
KS: Yamla Jatt ke baad aapne kin filmon mein gaaye?
SB: Yamla Jatt pehli film thi, music director the Master Ghulam
Haider. Yeh Punjabi zubaan ki film thi. Uske baad aayi Khazanchi, jo
Hindi zabaan ki thi, Masterji hi music director the. Isme sabhi 8
gaane mere gaaye huye the. Yeh picture 52 hafton se zyada chali.
Pancholi Arts ke liye maine 7/8 filmon mein gaaye, sabhi ne silver
jubilee manaayi, do ne golden jubilee bhi manaayi. Sangeetkaar Shyam
Sundar ke liye ek picture mein maine gaaya, jisne silver jubilee
manaayi, is picture ka ek gaana tha "Goriye soniye na kar gumaan" jo
superhit huya. Shukriya film bhi silver jubilee thi, Ustad Zande Khan
ke ek picture mein bhi gaaya jo silver jubilee manaayi.
Song: Na bol pee pee more angana panchhi jaa re jaa
KS: Kaun kalakaar aapko sabse zyada pasand hai?
SB: Saigal sahab, kya insaan the, wah wah wah!
Clip: Main kya janoo kya jadoo hai
KS: Saigal sahab se aapki kabhi mulaqaat huyi?
SB: Main to unki fan thi shuru se hi, unke baare mein kya kahoon, woh
to kamaal ke aadmi the, itne khoobsurat ke jawaab naheen. Maine unhe
jab dekha to we beemaar ho gaye the.
KS: Achchha, pehle kabhi unse naheen mile?
SB: Naheen, maine unki Devdas 14 baar theatre mein jaakar dekhi hai,
jab bhi paise ikattha ho gaye, chale gaye Devdas dekhne. Ek theatre
thi jahaan pe auraton ke liye alag se seats lage hote the, wahaan jaa
jaakar dekhti thi.
KS: Devdas ka kaun sa gaana sabse zyada aapko pasand hai?
SB: Baalam aaye baso more mann mein
Clip: Baalam aaye baso more mann mein
KS: Unke saath huyi milaqaat ke baare mein hamare shrotaaon ko kuchh
bataaiye.
SB: Unhe maine Bambai mein dekha tha. Ek din main Ranjit mein
rehearsal kar rahi thi. Khabar aayi ki Saigal sahab aa rahe hain.
Maine un logon se keh rakha tha ki Saigal sahab ki gaadi aaye to
mujhe batana. Itne mein unki gaadi aa gayi, unki ungli mein heere ki
angoothi thi. Maine kahaa 'salaam'. Kisi ne unhe mere baare mein
bataaya huya tha, woh mere paas aaye aur Punjabi mein kaha ki oye
tune apne baare mein kuch nahi bataya, sirf salaam kehkar chali jaa
rahi thi!
KS: Saigal sahab ke baad, ab main Kishoreda ke baare mein poochhna
chahta hoon, yeh bahut baad ki baat hogi, unke saath bhi aapne gaaya
hai.
SB: Woh bahut hi shareef aadmi the (SB laughs)
KS: Unki pyari pyari sharaarton ke baare mein humne suna hai (KS
laughs).
SB: Woh apni style ka badaa achchha gaayak the, unke saath kuchh
duets maine gaaye hain, ek gaana badaa chala tha Naya Andaz picture
ka, unhone itna achchha gaaya tha isey.
Song: Meri neendon mein tum mere khwaabon mein tum
KS: Aur kin kin gaayakon ke saath aapki jodi bani?
Song: Koi jodi wodi naheen ji, us zamaane mein music directors kisi
ki baat naheen sunte the, woh jis gaayak ko chunenge humein usi ke
saath gaana padega, kisi ki majaal hai jo koi zabardasti kare.
KS: Achchha to kis gaayak ke saath aapko gaate huye sabse achchha
lagaa?
SB: Kisi ke bhi saath bura naheen laga. Maine hamesha chaaha ki main
jiske saath gaa rahi hoon, woh bhi achchha gaaye. Uska achchha hoga
to mera bhi achchha hoga.
Song: Bheega bheega pyar ka samaa bataade tujhe jaana hai kahaan
To yeh tha guzre zamaane ki mashoor gaayika Shamshad Begum se Kamal
Sharma ki baatchit par aadhaarit is Sargam Ke Sitaron karyakram ki
pehli kadee. Agle hafte sunna na bhoolen is baatchit ki doosri kadee.
Ab deejiye humein ijaazat, namaskaar!
END OF PART 1
sbfan
Jan 12 2007, 12:15 AM
this is second part of interview.. anyone having audio do share
SB: Shamshad Begum
KS: Kamal Sharma
Recorded at Shamshadji's residence at Powai, Mumbai, in the year 2005.
PART 2
Namaskaar, Sargam Ke Sitare, prastut hai suprasiddha paarshwa gaayika
Shamshad Begum se Kamal Sharma ki baatchit par aadharit is karyakram
ka doosra aur antim bhaag.
------------------------------------------------------------------
Song: Dhadke mera dil jawani Ram kasam na bhaaye bachpan yaad aaye
------------------------------------------------------------------
KS: Mumbai mein aane ke baad mein yahaan aapki pehli film kaun si thi?
SB: Pehli film Mehboob sahab ka kiya, Taqdeer, woh Lahore se leke
aaye the mujhe.
KB: Mehboob sahab ne?
SB: Woh Lahore gaye the. Taqdeer picture ke liye mujhe book kiya tha.
Wahaan unki heroine thi, unka sasural bhi waheen tha. Woh to naheen
aayi, Mehboob sahab mere ghar aaye aur kaha ki tum mere saath chalo.
Mere baba aane naheen dete the. Woh kehte the idhar hi theek hai, tum
kya itni door Bambai jaayogi? Do do saal shakal dekhne ko naheen
milenge. Mehboob sahab ne kaha ki arey samundar mein jaane do usko.
Unhone baba se kaha ki miya, aap galat samajh rahe hain, isko jaane
deejiye. Ab iska naam itna hai ki jaane do isko, aap ne socha bhi
naheen hoga kitni badee industry hai. Unke kehne par baba ne kaha ki
achcha jaane dete hain. Phir Taqdeer picture banaakar hum waapas
chale gaye. Taqdeer mein sangeet tha Rafiq Ghaznavi ka. Rafiq bahut
achchha gaate the.
KS: Lekin Taqdeer ne tay kar diya ki aapki taqdeer Mumbai mein hi
likhi hai.
SB: Bambai mein, Yahaan se chali gayi thi main, phir mujhe Poona se
bulaaya. Ek picture thi Navyug Chitrapat ki - Panna. Iske saare gaane
superhit huye. Aur film silver jubilee se bhi zyaada time chali thi.
Phir wahaan se Bombay aa gaye. Bombay aane ke baad, yahaan sab log
kehne lage yeh karo woh karo. Sab karte karte do maheene lag gaye.
Phir aahista aahista main idhar hi rehne lagee.
KS: Kahaan rehti thi Mumbai mein, Kaun si jagah thi jahaan aapka
rehna tha Mumbai mein?
SB: Abhi makaan liya hi naheen tha.
KS: Hoon!
SB: Hotel mein rehte the kai kai. Jab hum idhar aakar settle ho gaye
tab liya.
KS: Kahaan liya makaan?
SB: Mahim mein rehte the.
KS: Aur pehli gaadi aapne kab khareedi?
SB: Pehli gaadi to aate hi saal khareede thi, naheen to kaise aate
jaate? Nayi gaadi to milti naheen thi, to humne second hand lee. Nayi
gaadi to aati naheen thi!
KS: Booking karwaani padtee thi ya phir baahar se aati thi.
SB: Haan, aur kitne kitne saal lag jaate the, booking mein. Phir 47
mein nayi gaadi lee (name of the car is not clearly understood)
KS: Mumbai mein sabse zyada recording aapki kahaan hoti thi? Yun to
bahut saare recording studios hain par us samay to gine-chune studios
hi the. To sabse zyaada recording aapki kahaan huyi?
SB: Aapne dekha hoga jahaan pe Ranjeet Studio hain na, wahaan pe gali
mein jaakar ek bahut badaa studio tha - Cine Sound. Cine Sound mein
bahut saare gaane record hote the kyunki wahaan pe Sharmaji ka bahut
naam tha as recordist.
KS: Kya bolte the, aapse kabhi kisi ne kahaa, kya reaction tha unka?
Ki aaj aapne badaa achchha gaaya ya...
SB: Kehte the na, ki bahut achchha gaaya, thank you.
KS: Achchha sabse zyaada rehearsal aapne kis gaane ke liye kiya tha?
SB: Yeh to bhaiya mujhe kuchh naheen yaad! Maine kitne hi gaane gaaye
hain.
KS: Aisa gaana ki ek din ho gayi, do din bhi ho gayi (SB interrupts).
SB: Woh to roz ki baat thi. Woh to ek ek gaane ko chaar chhar chheh
chheh din gawaate the, Naushad sahab maanenge naheen, aankhen band
karke baith jaate the. (Kamal Sharma laughs) Unki kitni hi picturen
hain jo silver jubilee, golden jubilee manaayi.
--------------------------------------------
Song: Main rani hoon raja ki, raja mera piya
--------------------------------------------
SB: Main apna, Nayyar iske peeche, badi achchhi thi, mere saath jitne
bhi music directors sab achchhe the.
KS: Nayyar sahab to kehte the ki Shamshadji ki jo awaaz hai,
woh 'temple voice' hai 'temple voice', suno to aisa lagtaa hai ki
jaise mandir mein ghantiyaan baj rahi hon.
SB: Yeh us rab ne dee hai, main to naheen, maine to bas mehnat kee
hai.
---------------------------------------------------------------
Song: Naach rangili gaaye re, mose raha na jaaye re, main kaa karoon,
kaase kahoon, mere saajna
---------------------------------------------------------------
KS: Kuchh andaaza hai ki kitne filmon mein gaaya hoga aapne, 200,
150, 300?
SB: Yeh meri filmon ko waise to, apne kuchh filmon ko yaad naheen,
itne zyaada gaaye hain maine, par yeh naheen tha ki kisa ka picture
chheen ke maine le lee ho, yaa phir yeh kaha ho ki yeh mujhe
chaahiye, naheen! Jo bhi aake de gaye, maine gaaya, bhagwaan ki badee
meherbaani ki maine kabhi kisi ko naheen kaha ki tumne gaana diya ya
naheen, maine sabko milke gaaya.
-----------------------------------------------------------------
Song: Tu hai mera yaar, main hoon tera yaar, toote na bhai toote na,
tera mera pyar
-----------------------------------------------------------------
KS: Bahut pehle aapne shuruwaat kee radio station se, baad mein phir
kabhi jaana huya radio station mein?
SB: Jab XXXXXXX kiya to main idhar gaayi hoon
KS: Bombay mein?
SB: Bombay mein, Bombay mein gaayi to mujhe time naheen milta tha,
itne gaane hote the sabke, kisi ke subah ko aa jaayen, ab unka set
lagaa huya hai, unka do laakh rupay ka nuksaan hota hai. Achchha hum
milke . Ek aadh baar cancel kar diya, raat ko gaaya, din ko naheen
gaaya, phir mere ko badee sharam aayi, maine kam kar dee kaam, ya to
yeh chhod doon ya woh chhod doon, mere ko achchha naheen lagtaa ki
main aapko telephone karoon ki main aaj naheen aa sakti. Humne jisse
kaam shuru kiya, uski jagah ko hum yeh samjahte hain ki humein idhar
se break mila aur usi ke liye ab time naheen hai? Aur idhar yeh hai
ek maamla, kaam ka hai, poori industry baithi hai, uska kya karen?
Agar anheen karte to sab ke sab bad-bad shuru kar dete hain. Hum jab
bhi nikalte hain na us road se, to idhar ka radio station hai na,
usey zaroor dekhte hain (Kamal Sharma a short laugh). Abhi bhi?
KS: Abhi bhi waheen hai, Church Gate mein,
SB: Bilkul saamne
KS: Bilkul saamne, aur yeh jo hamara Vividh Bharati ka office hai woh
Borivali mein hai, yeh bhi pehle waheen tha Church Gate mein.
SB: Yeh 'Hari Mirchi' kya naam hai iska?
KS: Radio Mirchi iska naam hai, woh Goverment ka naheen, private hai.
SB: Jo Goverment ka hai, usi radio ko jaante hain, usi ke saath kaam
karke upar aaye hain.
KS: Record par apna naam dekhkar kitni khushi hoti hai, to film ke
parde par aapne sabse pehle apna naam kab dekha tha?
SB: Hamare samay mein naam vaam ke jagah naheen the. Inhone likhni
shuru kee to likhni shuru kee, humne kisi ko naheen kaha ki hamara
naam likho, bachche bachche ko maaloom tha humne gaana gaaya hai, to
phir naam likhne se kya hota hai? Hum pehle pehle sochte the ki kya
hoga, naam hoga, idhar aane ke saath hi doosron ko pataa lag gaya ki
yeh wohi hai jo radio par gaati hain, humne aakhir tak radio naheen
chhoda.
---------------------------------------------------------------
Song: Kahaan chale ho jee pyar mein deewana karke, main to neem taley
aa gayi bahaana karke
---------------------------------------------------------------
KS: Actors aapko kaun pasand hain?
SB: Apne time ke ek hain Nargisji, Meena Kumari, ?????????
KS: Koi baat naheen, koi baat naheen, koi baat naheen, aaj ki filmen
to aap dekhti hongi?
SB: Aaj ki filmen, ek Shahrukh hai, yeh sab ladke aur ladkiyaan kaam
karti hain, hamari acting jo hai na, pehle to chand artistes kaam
karte the, Dilip Kumar sahab kamaal kaam karte the, Pradeep Kumar
badaa achchha kaam karte the, waah, subhaanallah! uske baad yeh
actressen, badaa achchha waaqai kaam karte the. Madhubala, sundar
jitni thi kaam bhi utna achchha karti thi.
KS: Bilkul sahi baat hai
SB: Lekin aam artiste, aam hero-heroine aisa kaam naheen kar sakte.
Ab to pataa naheen andar se kaise bane-banaaye aate hain, jo aa rahe
hain Kishore Kumar ka nakal kar rahe hain, (Kamal Sharma laughs), ab,
yeh, inhone, aapne khud nikaale hain, yeh bhi artiste, actually
dekhne ke laayak hain,???????
KS: Kahaani aur sangeet?
SB: Sangeet to 'bad-bad' kar diya hai, koi aa jaata hai gaana.
KS: Aap ne kabhi aaj ka sangeet, woh jo melody thi, ek samarpan tha
(SB interrupts)
SB: Sab khatam ho gaya hai, ab to sirf shor hai aur rthythm hai,aur
upar se 'bad-bad-bad'
KS: Phir gaano se bholaapan bhi chalaa gaya hai
SB: Bholaapan kaise rahe jab aap baat hi aisa karte ho? Pehle naach,
hamaare naach classical hote the, dekha hai aapne? Log dang reh jaate
the ki yeh kya kar rahe hain saamne khade hoke! Tarabai, yeh bade
bade, aur aaj, yeh kya hai dance mein? Action hi itne burey hote hain
ki log sharmaakar munh udhar kar lete hain.
KS: Shamshadji, jab koi artiste kaamyaab hota hai to bahut saare log
chaahte hain ki yeh bhi mere film mein aaye, film mein kaam kare kyun
ki iski kaamyaabi mere film ko bhi kaamyaab kar sakta hai.
SB: Haan ji
KS: To aisa kabhi huya ki gaana hi padegaa?
SB: Yeh to takreeban hota hi tha, yeh to hona hi tha, aur yeh hota hi
hai. Ja zaroorat hoti hai to sab kehte hain ki yeh aayengi to hi hoga.
----------------------------------------------------------------
Song: Laagi naino ki aisi kaTaar, haaye mera jeena huya dushvaar
----------------------------------------------------------------
Vividh Bharati par aap sun rahe hain suprasiddha paarshwa-gaayika
Shamshad Begum se Kamal Sharma ki baat-chit ka doosra aur antim
bhaag
KS: Kuchh naam yaad aate hain aapko ki kisi ne kahaa ho aapse ki aap
hi gaaiye is film mein, tabhi yeh film chalegi, aur phir baad mein
woh film (SB interrupts)
SB: Dekhiye, yeh bahut saare log karte hain, music directors kya,
film director, kya naam, producers, sabko zaroorat hoti hai to aisa
hi kehte hain, lekin unka naam kehte achchha naheen lagta,
chhichhorapan naheen hai, bhulaane ka yeh naheen hai, hamaare saath
jaise sab achchhe log the, aur yeh waaqai sahee hai ki hamaari
industry bahut gareeb-parvar hai, hamaare industry ko koi bura naheen
keh sakta, bahut gareeb-parvar industry hai, (starts sobbing), jo
time mein ??????????????, 8 saal ke baad, 10 saal ke baad, 5 saal ke
baad dekho, Chevrolet gaadi???????????????? phir woh gareeb-parvar
naheen? Jo kaam karega usi ko banaayenge na, ghar baithe kisi ke koi
aaj jaata hai?
KS: Shamshadji, ek artiste, Rafi sahab, unke baare mein log zaroor
aap ke munh se jaanna chaahenge, aapko kaisa lagaa unke saath kaam
karke?
SB: Bahut shareef aadmi, nek aadmi the, unka waisa mizaaj naheen tha
ki mera naam hai itna, gaane-bajaanewaale log zyaada bad-mizaaj hote
hi naheen hain.
------------------------------------------------------------------
Song: Challo challo challen hum babool ke taley, thandi thandi hawa
humein pankhen jaley
------------------------------------------------------------------
KS: Kabhi aur bhi ichchhaayen hoti hain, sapne hote hain, ghoomne ke,
aur bhi bahut saari chhoti chhoti ichchhaayen hoti hain, woh aur kaun
kaun se shauk hain aap ke jinse aapka man ramtaa tha?
SB: Sahee baat hai, shauk hamara to yahi tha aur marte dam tak yahi
rahega, humne gaana hi gaaya aur gaana achchha sunke hi aaraam aa
jaata hai, waaqai kahin jaane ka, kahin naheen jaate, Punjabi koi
writer the jo tarjumaa karte the angrezi kitaabon ka, to woh kitaab
maine padhee, yeh, kya naam hai, Mutabarak Joota (????), badaa ajeeb
sa naam tha uska, maine servant ko bheja ki library se leke aa kitaab
ko, woh kitaaben leke aaya karta tha, yeh kitaab laakar usne kahaa ki
yeh kitaab aap zaroor padhen, maine kahaa yeh Matabarak Joota padhne
ki kitaab hai? Tere ko un logon ne ulloo banaaya hai. Usne
kaha 'naheen sahab, usne kahaa hai aap zaroor padhen, naheen pasand
aaye to paise naheen dena' (SB laughs). Maine padhnaa shuru kiya, jab
maine padhna shuru kiya usko, aakhir tak padhke khatam kiya itni
kamaal ki book thi woh, likhnewaale to kamaal hi kar dete hain.
KS: Padhne mein shauk matlab aapko bahut rahaa hai?
SB: Bahut
KS: Upanyaas hi padhtee theen ya doosre vishay bhi padhtee theen? Ya
phir subjects bhi padhne ka shauk tha?
SB: Love stories main naheen padhtee thee.
KS: To?
SB: Woh ajeeb se likh dete the, love story aati hain, woh wohi kuchh
story ka plan, yeh woh, main naheen padhtee thi. Heroiney, yeh, uske
upar politics ka koi bhi yeh naheen hota, villainey naheen kuchh
naheen, woh seedhaa likhte jaate the usne kya kiya, woh unke
poplitics ke upar aa jaata tha.
KS: waisi cheez aapko padhne ka shauk tha?
SB: Mujhe pasand tha
KS: Aur Hindi writer-on mein
SB: Sarat Chandra Chatterjee
KS: Sarat Chandra Chattopadhyay, unki to bahut saari filmen bhi bani
hain
SB: bahut filmen bhi bani hain, Devdas dekha hoga aapne.
KS: Jee haan, jee haan. Hindi mein kaun se writers aapko pasand hain?
SB: Premchand- Godaan, aur saari padhee hain unki, ek naheen hai jo
naheen padhee.
KS: Achchha humne suna hai aapko filmon ka shauk tha, aur Hollywood
ki filmen dekhne ka bahut zyaada shauk tha?
SB: Hollywood ki picturen us waqt aati badee achchhi thi, ab to unki
picturen bhi dekhkar dar lagtaa hai, ek aadmi khadaa hokar sirf
bandooken hi chalaata jaata hai, ab unka woh standard naheen hai
KS: To aap busy rehti theen to filmon ke liye kaise time nikaalti
theen?
SB: Woh main, kaam ke time mein main kabhi naheen gayi, kabhi agar
cancel ho gaya
KS: Recording?
SB Recording, ya kabhi jaldi khatam ho gayi recording to film (laughs
lightly), na kisi ka ooncha neechaa kaha, na kisi ki buraai kee na
suni, apna aaraam se picture dekhne jaa rahe hain khaana khaake.
KS: Kaun kaun si jagah aapne ghoomi, desh kaun kaun se dekhe, mulk
kaun kaun se ghoome?
SB: Europe ghooma main inke saath, bitiya ke saath mein
KS: Achchha ek cheez mujhe bataaiye, pehle radio mein aap jaati rahi
hain, aaj radio ki team aapke ghar aayi hai, radio se baat karte huye
kaisa lag raha hai aapko?
SB: Badee khushi ho rahi hai, tabhi to nikalte hi maine aap se kaha
ki radio-waale aa gaye (laughs). Log jab tak mujhe yaad karte hain,
jab tak mere gaane baanchne jaate hain, main zinda hoon.
-------------------------------------------------------------------
Song: Sharmaaye kaahe ghabraaye kaahe sun mere raja o raja aaja aaja
aaja
-------------------------------------------------------------------
KS: Shamshadji, aaj baazaar mein aap ke gaano ki 'remix' chhaayi huyi
hai. aap ka kya Khayaal hai in 'remix' gaano ke prati?
SB: Mujhe 'remix' se koi shikaayat naheen hai. aaj shor sharaba ka
zamana hai, rhythm ka zamana hai, bachche log aise gaane sunkar khush
hote hain, jhoomte hain. Mujhe bhi achchha lagta hai, par koi in
geeton mein hamara naam to den!
---------------------------------------
Song: Saiyan dil mein aana re (Bahar)
Song: Kabhi aar kabhi paar (Aar Paar)
Song: Leke pehla pehla pyar (CID)
---------------------------------------
KS: Shamshadji, aap ne humein itnaa saara waqt diya, apne jeevan ki
itni saari baaten bataayeen, bahut achchha lagaa, aapko meri taraf
se, Vividh Bharati ki taraf se, aur Vividh Bharati ke kaDoDon
shrotaaon ki taraf se bahut bahut shukriyaa.
SB: meherbaani!
-----------------------------------
Song: Aji bas shukriyaa (
-----------------------------------
aap sun rahe the suprasiddha paarshwa-gaayika Shamshad Begum se Kamal
Sharma ki baat-chit ka doosra aur antim bhaag. ab Sargam Ke itare
kaaryakram samaapt karne ki deejiye humein ijaazat namaskaar!
THE END