QUOTE(Inaam_Nadeem @ Jun 23 2005, 09:18 PM)
For your interest guys, I am posting the metrical Urdu translation (in ROMAN script) of Khusro’s Ghazal "Khabaram raseed imshab ".
Khabaram raseed imshab ke nigaar khuahi aamad;
Sar-e man fidaa-e raah-e ki sawaar khuahi aamad.
Mila hai raat ye muzda ke yaar aaey ga
Fida hooN raah pe jiss se sawaar aaey ga
Ham-e aahuwan-e sehra sar-e khud nihada bar kaf;
Ba-umeed aankie roze bashikaar khuahi aamad.
Gizaal-e-dasht hatheli pe sar liye honge
Iss aas par ke tu bahr-e-shikaar aaey ga
Kashishe ke ishq daarad naguzaradat badinsaa;
Ba-janazah gar nayai ba-mazaar khuahi aamad.
Kashish jo ishq meiN hai, be asar nahiiN hogi
Janaze par na sahi, bar mazaar aaey ga
Balabam raseed jaanam tou biya ke zindah maanam;
Pas azaan ke mann na-maanam bache kar khuahi aaamad.
LaboN pe jaan hai, tu aaey tou rahoN zinda
Raha na meiN tou mujhe kya ke yaar aaey ga
Ba-yak aamdan radoodi dil-o-diin-o-jaan-o-khusro
Cheh shuwad agar ba-diiNsaaN dou she baar khuahi aamad
Fida kiye dil-o-diiN ik jhalak pe “Khushro” ne
Kare ga kya jo tu dou teen baar aaey gaKia baat hay inaam sahib,
kia translation ki hay.
dil khush ho gaya hay .
abhi tak main nay jis ka farmaish ki thi
woh kisi nay bhi post nahi kia.
shayad aap logon nay PTV per kabhi suna ho.
PTV per archiology kay program main, kilaeay lahore
dikhatay hoay background main "yaray man biya"
baj raha hota tha.
I think it was from salamat ali and nazakat ali.
that was the best ever version.
I have been absent for a long time, and as a result I can't download anymore,
Ab ulti seedhi posts ker kay dobara download ki facility millay gi.