Printable Version of Topic

Click here to view this topic in its original format

Hamara Forums _ Sahir Ludhianvi _ Sahir Ludhianvi Ki Shayri

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:17 AM

MaiN pal do pal ka shayar hooN, pal do pal meri kahaani hai
pal do pal meri hasti hai, pal do pal meri jawaani hai





Duniya ne tajrubaat-o-hawaadis ki shakl meiN
jo kuchh mujhe diya hai woh lauTa raha hooN maiN



Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:18 AM

Apne seene se lagaaye hue ummeed ki laash
muddastoN zeest ko nashaad kiya hai maiN ne
tu ne to aik hi sadme se kiya tha dochaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai maiN ne

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:19 AM

Tapte dil par yooN girti hai
teri nazar se payaar ki shabnam
jalte hue jungle par jaise
bar.khaa barse, ruk ruk tham tham

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:19 AM

Tang aa chuke haiN kashmash-e-zindagi se ham
Thukra na deN jahaN ko kahiN be-dili se ham
lo aaj ham ne toRh diya rishtay-e-ummeed
lo ab kabhi gila na kareN ge kissi se ham
gar zindagi meN mil gaye phir ittefaaq se
puuchheN ge apna haal teri be-basi se ham

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:21 AM

Apne seene se lagaaye hue ummeed ki laash
muddastoN zeest ko nashaad kiya hai maiN ne
tu ne to aik hi sadme se kiya tha dochaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai maiN ne

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:22 AM

Maayuus to huuN vaade se


maayuus to huuN vaade se tere kuchh aas nahiiN kuchh aas bhii hai
main ap’ne KhayaaloN ke sad’qe tuu paas nahiiN aur paas bhii hai

ham’ne to Khushii maaNgii thii magar jo tuune diyaa achchhaa hii diyaa
jis Gham ko taa’alluq ho tujh’se wo raas nahiiN aur raas bhii hai

pal’koN pe laraj’te ashkoN meN tasviir jhalak’tii hai terii
diidaar kii pyaasii aaNkhoN ko ab pyaas nahiiN aur pyaas bhii hai

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:23 AM

Tum Apna Ranj O Gham

tum ap’naa ranj o Gham ap’nii pareshaanii mujhe de do
tumhe Gham kii qasam is dil kii viiraanii mujhe de do

ye maanaa maiN kisii qaabil nahiiN huuN in nigaahoN meN
buraa kyaa hai agar ye dukh ye hairaanii mujhe de do

maiN dekhuuN to sahii duniyaa tumheN kaise sataatii hai
koii din ke liye apanii nigah’baanii mujhe de do

vo dil jo maiNne maaNgaa thaa magar GhairoN ne paayaa
baRii kaif hai agar usakii pashemaanii mujhe de do

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:24 AM

Aqaaid Waham Hain



aqaaid waham haiN, mazhab Khayaal-e-Khaam hai saaqi
azal se zehn-e-insaaN basta-e-auhaam hai saaqi

haqeeqat aashnaaii asl meiN gumkardah raahii hai
aroos-e-aagahii parvardah-e-ibhaam hai saaqi

mubaarak ho za’eefii ko Khirad ki falsafadaanii
javaabii be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqii

havas hogii aseer-e-Halqa-e-nek-o-bad-e-aalam
muhabbat maavara-e-fikr-e-naNg-o-naam hai saaqi

abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dhaRaktaa hai
mira zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqi

vahaaN bhejaa gayaa houN chaak karne parda-e-shab ko
jahaaN har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii

mire saaGhar meiN mai hai aur tire haathoN meiN barbat hai
vatan ki sarzameeN meiN bhook se kuhraam hai saaqii

zamanaa barsar-e-paikaar hai purhol sho’oloN se
tire lab par abhii tak naGhma-e-Khayyaam hai saaqii


‘aqaaid = rules (here it means perhaps religious beliefs)
mazhab = religion
Khyaal-e-Khaam = an immature thought.. a thought which hasn’t riped yet or reached its full potential
azal = from the beginning
zehn-e-insaaN = the mind of mankind
basta-e-auhaam = struck with doubts, full of doubts
haqeeqat aashnaaii = the knowledge of truth
gumkardah-raahii = strayed path
aroos-e-aagahi = bride of knowledge
parvardah-e-ibhaam = bread and brought up by doubt
za’eefi = old-age
Khirad = knowledge, mind
falsafadaani = philosophy
beniyaaz-e-ibrat-e-anjaam = able to dispense with the fear of the outcome
hawas = lust
aseer-e-halqa-e-nek-o-bad-e-aalam = capatured by world’s criterias of good and bad
maavaara = beyond
fikr-e-naNg-o-naam = shameful - disgraced thoughts
pech-o-Kham = twists and bends and curves
zauq-e-talab = search of delight, pleasure
parda-e-shab = the curtain of night
aks-e-shaam = the shadow of the evening
saaGhar = glass (of wine usually)
barbat = harp
kuhraam = lamentation, weeping
barsar-e-paikaar = head on in the battle
purhol = dreadful
naGhma-e-Khayyam = the song of Khayyaam

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:25 AM

Har chaNd mirii quvvat-e-guftaar hai mahboos




har chaNd mirii quvvat-e-guftaar hai mahboos
Khamosh magar taba’a Khudaaraa nahiiN hoti

ma’moora-e-ehsaas meiN hai Hashr sa barpaa
insaan ki tazleel gavaaraa nahiiN hoti

naalaa houN maiN be-daari-e-ehsaas ke haathoN
duniyaa mire afkaar ki duniyaa nahiiN hoti!

begaanaa sifat jaada-e-manzil se guzar jaa
har cheez sazaa-vaar nazaaraa nahiiN hoti

fitrat ki mashiiyat bhi baRi cheez hai lekin
fitrat kabhii be-bas ka sahaaraa nahiiN hoti!

Glossary:

quvvat-e-guftaar = power of speech
mahboos = confused
taba’ = disposition
ma’mooraa-e-ehsaas = in the city of emotions (in my emotions)
Hashr = tumult
tazleel = degradation, humiliation
naalaaN = sad
bedaari-e-ehsaas = alertness of my thoughts, emotions
afkaar = thoughts
sifat = attribute, praise, quality
jaada-e-manzil = the road leading to the goal
sazaavaar = deserving
nazzaara = sight (sazaavaar-e-nazzara = deserving a look)
mashiiyat = wish (attributed to the will of God… here the will of nature - fitrat)


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:26 AM

Bharam terii vafaaoN kaa




bharam terii vafaaoN kaa miTaa dete to kyaa hotaa
tere chehare se ham pardaa uThaa dete to kyaa hotaa

muhabbat bhii tijaarat ho gayii hai is zamaane meN
agar ye raaz duniyaa ko bataa dete to kyaa hotaa

terii ummiid par jiine se haasil kuch nahiiN lekin
agar yuuNhii na dil ko aasaraa dete to kyaa hotaa

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:26 AM

Buhaa Diye Hain




bujhaa diye haiN Khud apne haathon mohabbatoN ke diye jalaake
merii vafaa ne ujaaR dii haiN ummiid kii bastiyaaN basaa ke

tujhe bhulaa deNge apne dil se ye faisalaa to kiyaa hai lekin
na dil ko maaluum hai na hamko jiyeNge kaise tujhe bhulaa ke

kabhii mileNge jo raaste meN to muhN phiraakar palaT paReNge
kahiiN suneNge jo naam teraa to chup raheNge nazar jhukaa ke

na sochne par bhii sochatii huuN ke zindagaanii meN kyaa rahegaa
terii tamannaa ko dafn karke tere KhayaaloN se duur jaake

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:27 AM

hawas naseeb nazar ko kahiiN - Ghazal



hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN
maiN muntazar houN, magar teraa intezaar nahiiN

hamiiN se raNg-e-gulistaaN, hamiiN se raNg-e-bahaar
hamiiN ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar nahiiN

abhii na chheR muhabbat ke geet aie mutrib
abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN

tumhaare ahd-e-vafaa ko maiN ahd kyaa samjhouN
mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIN

na jaane kitne gile ismeiN muztarib hai nadeem
vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiiN

gurez kaa nahiiN qaa’il hayaat se, lekin
jo sach kahouN to mujhe maut naagavaar nahiiN

ye kis maqaam pe pahuNchaa diyaa zamaane ne
kab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiiN



Glossary:

hawas-naseeb = lustful
qaraar = satisfaction
muntazir = waiting
nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!)
mutrib = singer
hayaat = life
maahaul = environment
Khushgavaar = happy
ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness
gile = complaints
muztarib = anxious
nadeem = companion
gurez = running away
qaa’il = consenting
naagavaar = unpleasant
iKhtiyaar = adopted, acquired

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:29 AM

Tang Aa Chuke Hain





taNg aa chuke haiN kash-ma-kash-e-zindagi se ham
Thukraa na deiN, jahaaN ko kahiiN bedili se ham

maayoosi-e-ma’aal-e-muhabbat na poochhiye
apnoN se pesh aaye haiN begaanagii se ham

lo aaj hamne toR diyaa rishta-e-ummeed
lo ab kabhii gilaa na kareiNge kisii se ham

ubhreiNge ek baar abhii dil ke valvale
go dab gaye haiN baar-e-Gham-e-zindagii se ham

gar zindagii meiN mil gayee phir ittafaaq se
poochheiNge apnaa haal tirii bebasii se ham

allah re fareb-e-masheeyat k aaj tak
duniyaa ke zulm sahte rahe Khamushii se ham

Glossary:

kash-ma-kash-e-zindagi = life’s puzzles, confusions
maayoosi-e-ma’aal-e-muhabbat = the disappointement because of the result of love
rishta-e-ummeed = the relation with hope
baar-e-Gham-e-zindagii = the weight of lifes’ worries
fareb-e-masheeyat = divine scam


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:30 AM

KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN - Ghazal



KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN na kar sake
ham apne jauharoN ko numaayaaN na kar sake

hokar Kharaab-e-mai tire gham to bhulaa diye
lekin gham-e-hayaat ka darmaaN na kar sake

TuuTaa talism-e-ahd-e-muhabbat kuchh is taraH
phir aarzoo ki shamaa’ farozaaN na kar sake

har shai qareeb aa ke kashish apnii kho gayii
vo bhii ‘ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN na kar sake

kis darjah dil shikan the muhabbat ke haadse
ham zindagii meiN phir koii armaaN na kar sake

maayuusiyoN ne chhiin liye dil ke valvale
vo bhii nashaat-rooH kaa saamaaN na kar sake

Glossary:

arzaaN = lowpriced, cheap
jauharoN = abilities
numaayaaN = showing, uncovering
Kharaab-e-mai = destroyed by alcohol
gham-e-hayaat = sadness of life
darmaaN = cure
talism-e-ahd-e-muhabbat = loves’ enchanting promise
farozaaN = luminous, shining
ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN = curing a leaving love
dilshikan = heartbreaking
nashaat-rooH = happiness of the soul


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:31 AM

Dekha to thaa yuuN hi kisi - Ghazal




dekhaa to thaa yuuN hi kisii ghaflat-shi’aar ne
deevanaa kar diyaa dil-e-be-iKhtiyaar ne

aie aarzoo ke dhuNdle kh(w)aaboN! javaab do
phir kis kii yaad aayii thii mujhko pukaarne?

tumko Khabar nahiiN, magar ik saadah-lauH ko
barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne

maiN aur tum se tark-e-muhabbat kii aarzoo
deevaanaa kar diyaa hai gham-e-rozgaar ne

ab aie dil-e-tabaah tiraa kyaa Khayaal hai
ham to chale the kaakul-e-getii saNvaarne!

Glossary:

ghaflat-shi’aar = careless by nature
be-ikhtiyaar = unwilling
saada-lauH = simple natured
tark-e-muhabbat = to give up loving
gham-e-rozgaar = the calamities of the world
kaakul-e-getii = World’s hair


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:32 AM

Muhabbat tark ki maiN ne - ghazal


muhabbat tark kii maiN ne garebaaN sii liyaa maiN ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa maiN ne

abhii zindah huN lekin sochataa rahtaa huuN Khalwat meiN
k ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa maiN ne

unheiN apnaa nahiiN saktaa magar itnaa bhii kyaa kam hai
k kuchh muddat hasiiN Kh(w)aaboN meiN kho kar jii liyaa maiN n

bas ab to daaman-e-dil chhoR do bekaar ummiido!
bahut sikh sah liyaa maiN ne bahut din jii liyaa maiN ne

Glossary:

tark (karna) = to abandon, leave, desert
garebaaN = collar
Khalwat = Solitude

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:33 AM

Lamha-e-Ghaneemat


muskuraa aie zameen-e-teerah-o-taar
sar uThaa aie dabii hui maKhlooq
dekh vo maGhrabii ufaq ke qareeb
aaNdhiyaaN pech-o-taab khaane lagiiN
aur pooraane qamaar Khaane meiN
kuhnah shaatir baham ulajhane lage
koii terii taraf nahiiN nigraaN
ye giraaN-baar sard zanjeereiN
zang-Khurdaa haiN, aahanii hi sahii
aaj mauqaa’ hai TooT saktii haiN
fursat-e-yak nafas Ghaneemat hai
sar uThaa aie dabii hui maKhlooq

Glossary:

teerah-o-tark = dark
makhlooq = creation (people)
maGhribi = western
ufaq = horizon
pech-o-taab = restlessness, anxiety, agitation
qamaar-Khaana = gambling houses
kuhna = old, ancient
shaatir = clever, cunning, chess players
baham = one against another, together, one with another
nigraaN = looking
giraaN-baar = heavy
zang-Khurdaa = rusted
aahani = made of iron
fursat-e-yak-nafas = a free moment
Ghaneemat = blessing


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:35 AM

Subah-e-nau roz (The morning of a new day)



subah-e-nau-roz phooT paReeN mashriq se kirneiN

haal banaa maazii ka fasaanaa
gooNjaa mustaqbil ka taraanaa
bheje haiN ahbaab ne tuhfe
aTe paRe haiN mez ke kone
dulhan banii hui haiN raaheiN
jashn manaao saal-e-nau ke

nikli hai bangle ke dar se
ik muflis dahqaan ki beTi
afsurdah murjhaaii hui hai
jism ke dukhte joR dabaati
aaNchal se seene ko chhupaatii
muTThii meiN ik noT dabaaye
jashn manaao saal-e-nau ke

bhooke zard gadaagar bachche
kaar ke peechhe bhaag rahe haiN
waqt se pahle jaag uThe haiN
peep bharii aaNkheiN sahlaate
sar ke phoRoN ko khujlaate
vo dekho kuchh aur bhi nikle
jashn manaao saal-e-nau ke

Glossary:

mashriq = east
haal = present
maazii = past
mustaqbil = tomorrow
ahbaab = friends
tuhfe = presents
aTe =
saal-e-nau = new year
muflis = poor
dahqaan = villager
afsurdah = sad
noT = english word, “Note” indicating “bill” (currency wise)
zard = yellow
gadaagar = beggars
peep = pus


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:36 AM

Mujhe sochne de


Merii naakaam muhabbat kii kahaani mat chheR
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
zindagii talKh sahii, zahar sahii, sitam* hi sahii
dard-o-aazaar sahii, jabr sahii, Gham hi sahii
lekin is dard-o-Gham-o-jabr kii vus’at ko to dekh
zulm kii chhaaNv meiN dam toRtii Khalqat ko to dekh
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

jalsa-gaahoN meiN ye vahshat-zadah sahme aNboh
rahguzaaroN pe falaakat zadah logoN ke giroh
bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamiiN
teerah-o-taar makaaN, muflis-o-beemaar makeeN
nau’e-insaaN meiN ye sarmaayaa-o-mehnat ka tazaadd
aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumoN ka fasaad
har taraf aatish-o-aahan ka ye sailaab-e-azeem
nit naye tarz pe hoti huii duniyaa taqseem

lahlahaate hue khetoN pe javaani ka samaaN
aur dahqaan ke chhappaR meiN na battii na dhuaaN
ye falak-bos mileiN, dilkash-o-seemeeN baazaar
ye Ghalaazat ye jhapaT_te hue bhooke baazaar
door saahil pe vo shaffaaf makaanoN ki qataar
sarsaraate hue pardoN meiN simaT_te gulzaar
dar-o-deevaar pe anvaar ka sailaab ravaaN
jaise ik shaayar-e-madhosh ke KhwaaboN ka jahaaN

ye sabhii kyoN hai ye kyaa hai, mujhe kuchh sochne de
kaun insaaN ka Khudaa hai, mujhe kuchh sochne de
apni maayuus umangoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

Glossary:

talKh = bitter
dard-o-aazaar = pain and troubles
jabr = opression
dard-o-Gham-o-jabr = pain, sorrows and opression
vus’at = open space, big open space
Khalqat = the world
jalsa-gaahoN = the places of celebrations
vahshat-zadah = inflicted with fear
aNboh (or amboh) = crowd, mob
rahguzaaroN = roads
falaakat-zadah = mistry struck, evil struck
giroh = crowd, mob
paz-murdah = withered, decayed
siyaah-faam = blackened
teerah-o-taar = dark
makaaN = houses
muflis-o-beemaar = poor and sick
makiiN = residents
nau’e-insaaN = mankind
sarmaayaah = reward
mehnat = work
tazaadd = contradiction, inconsistency
aman-o-tehzeeb = peace and civilization
parcham = flag
qaumoN = sects
fasaad = fights, arguments
aatish-o-aahan = fire and iron
sailaab-e-azeem = great flood
tarz = fashion, style of conduct, manner of way
taqseem = division
dahqaan = villager
falak-bos = kissing the skies
mileiN = mills
dilkash-o-seemeeN = beautiful and delicate (seemeeN means made of silver)
Ghalaazat = roughness, rudeness
shaffaaf = clear… (white / clean?)
qataar = line
anvaar = light


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:36 AM

Fankaar


maiN ne jo geet tire pyaar ki Khaatir likkhe
aaj un geetoN ko baazaar meiN le aayaa houN

aaj duukaan pe neelaam uThegaa un kaa
tu ne jin geetoN pe rakhii thii muhabbat kii asaas
aaj chaandi ke taraazoo meiN tulegii har cheez
mere afkaar, miri shaayari mera ahsaas

jo tirii zaat se mansoob the un geetoN Ko
muflisii jins banaa ne pe utar aayii hai
bhook tere ruKh-e-raNgeeN ke fasaanoN ke ‘evaz
chaNd ash’yaay-e-zaroorat ki tamannaaii hai

dekh is ‘arsaagah-e-mahnat-o-sarmaayaa meiN
mere naGhme bhi mire paas nahiiN rah sakte
tere jalve kisii zardaar kii meeraas sahii
tere Khaake bhi mire paas nahiiN rah sakte

aaj un geetoN ko baazaar meiN le aayaa houN
maiN ne jo geet tire pyaar kii Khaatir likkhe

Glossary:

asaas = foundation
afkaar = thoughts, creations
zaat = personality
mansoob = related
muflisii = poverty
jins = things
‘evaz = in exchange
arsaagah-e-mahnat-o-sarmaayaa = this battlefield of labour and wealth
zardaar = rich man
meeraas = property - estate
Khaake = sketches


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:38 AM

kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai

k zindagii tirii zulfoN ke narm chaaoN meiN
guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii
ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai
tirii nazar ki shu’aaoN meiN kho bhi sakti thii

ajab na thaa k maiN begaana-e-alam ho kar
tirii jamaal ki ra’anaaiyoN meiN kho rahtaa
tiraa gudaaz badan terii neembaaz aaNkheiN
inheeN haseen fasaanoN meiN mahv ho rahtaa

pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tire laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN
ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai
k tuu nahiiN tira Gham , teri justajoo bhi nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale
guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se
muheeb saaye mirii samt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se

na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraag
bhaTak rahii hai KhalaaoN meiN zindagii meri
inhii KhalaaoN meiN rah jaaouNgaa kabhii kho kar
maiN jaantaa houN mirii ham nafas magar yuuN hi

kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai



Glossary:

shaadaab = pleasant, agreeable
teeragi = darkness
zeest = life
shu’aaoN = light, rays, brightness
begaana-e-alam = stranger to the world
jamaal = beauty
ra’anaayioN = elegance
gudaaz = gentle, tender
neembaaz = half open
mahv = drowned
talKhiyaaN = bitterness
halaavat = sweetness
hayaat = life
barhanaa = naked
muheeb = dreadful
samt = towards
hayaat-o-maut = life and death
purhaul = full of deceit, might
KhaarzaaroN = a place full of thorns
jaada = road
KhalaaoN = darkness
hamnafas = companion

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:40 AM

Dukh aur sukh ke raaste



dukh aur sukh ke raaste, bane haiN sab ke vaaste
jo Gham se haar jaaoge, to kis tarah nibhaaoge
Khushi mile hameiN ke Gham, jo hogaa baaNT leiNge ham
mujhe tum aazmaao to zaraa nazar milaao to

ye jism duur haiN magar, diloN meiN faaslaa nahiiN
jahaaN meiN aisa kaun hai, k jisko Gham milaa nahiiN

tumhaare pyaar kii qasam, tumhaaraa Gham hai meraa Gham
na yuuN bujhe bujhe raho, jo dil kii baat hai kaho
jo mujh se bhii chhupaaoge, to phir kise bataaoge
maiN koi Ghair to nahiiN, dilaaouN kis tarah yaqeeN
k tumse maiN judaa nahiiN, mujh se tum judaa nahiiN

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:41 AM

Gurez



Mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa tera fasoon-e-zebaaii
un aarzooN pe chhaii hai gard-e-maayoosi
jinhoN ne tere tabassum meiN parvarish paaii

fareb-e-shauq ke raNgeeN talism TuuT gaye
haqeeqatoN ne havaadis se phir jalaa paayii
sukoon-o-Khwaab ke parde sarakte jaate haiN
damaaGh-o-dil meiN hai vahshat ki kaar-farmaaii

vo taare jin meiN muhabbat ka noor taabaaN thaa
vo taare Doob gaye le ke raNg-o-raa’naaii
sulaa gayii thiiN jinheiN teri multafat nazreiN
vo dard jaag uThe phir se le kar aNgRaaii

ajeeb aalam-e-afsurdagii hai roo ba-faroGh
na ab nazar ko taqaazaa na dil tamannaaii
tiri nazar, tire gesu, tiri jabeeN, tire lab
mirii udaas tabee’yat hai sab se uktaaii

maiN zindagii ke haqaa’iq se bhaag aaya thaa
k mujh ko Khud meiN chhupaa le tiri fusooN-zaaii
magar yahaaN bhi ta’aqub kiyaa haqaa’iq ne
yahaaN bhi mil na sakii jannat-e-shakeb’aaii

har ek haath meiN le kar hazaar aa’eene
hayaat baNd dareechoN se bhi guzar aayii
mire har ik taraf se ek shor gooNjaa hai
aur us meiN Doob gayii ishratoN ki shahnaaii

kahaaN talak koii zindah haqeeqatoN se bache
kahaaN talak kare chhup chhup ke naGhma pairaaii
voh dekh saamne ke pur-shikvaa aivaaN se
kisii kiraaye kii laRkii kii cheeKh Takraaii

voh phir samaaj ne do pyaar karne vaaloN ko
sazaa ke taur pe baKhshii taveel tanhaaii
phir ek teerah-o-taareek jhoNpaRii ke tale
sisakte bachche pe bevaah kii aaNkh bhar aaii

voh phir bikii kisii majboor kii javaaN beTii
voh phir jhukaa kisii dar pe Gharoor-e-barnaaii
voh phir kisaanoN ke majmooa’ pe gun-mashiinoN se
haqooq yaaftaa tabqe ne aag barsaaii
sakoot-e-halqa-e-zindaaN se ek goooNj uThii
aur us ke saath mire saathiyoN kii yaad aayii

nahiiN nahiiN mujhe youN multafat nazar se na dekh
nahiiN nahiiN mujhe ab taab-e-naGhmaa pairaaii
miraa junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa teraa fasoon-e-zebaaii

Glossary:

zavaal-aamaadah = ready for failure, leading towards decline
fasoon-e-zebaai = beautiful, elegant charm or magic-spell
gard-e-maayoosii = the dust of hopelessness
tabassum = smile
parvarish paaii = raised
fareb-e-shauq = the tricks of love
talism = magic-spells
haqeeqatoN = realities
hawaadis = plural of “haadsaa”–> events
jalaa paaii = received brilliance
sukoon-o-Khwaab = peace and dreams
kaar-farmaaii = administration, supervision
taabaaN = glittering, shining
raa’naaii = beauty
multafat = politeness, kindness
afsurdagi = sadness
roo ba-faroGh = in face with all splendour and brightness
taqaazaa = urgency, demanding, pressing
gesuu = hair
jabeeN = forehead
tabee’yat = nature, disposition
uktaaii = fed up
haqaa’iq = realities, truths
fusooN-zaaii = the manifestation of enchantment (za’aii in Persian means “manifest”)
ta’aqub = Following, pursuit; persecution
jannat-e-shakeb’aaii = peace .. the heaven of peace
hayaat = life
ishratoN = luxury
naGhma-pairaaii = adorning songs, decorating with songs
pur-shikvaa = full of complaints
aivaaN = halls, galleries
taveel = long
teerah-o-taareek = obscure and dark
bevaa = widow
Gharoor-e-barnaaii = the youthful pride, young pride
majmooa’ = collection
gun-mashiinoN = machine-guns
haqooq = rights
yaafta = founders
haqooq-yaafta = those who attained their rights
tabqe = degree, ranks, orders
sakoot = silence
halqah = circle, fraternity, company, assembly
zindaaN = prison
sakoot-e-halqah-e-zindaaN = the silences of the imprisonned fraternity (or the silence inside the prison)
taab-e-naGhmaa-pairaaii = the patience or strength to decorate with songs

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:42 AM

Chakley




ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke
ye luT_te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye pur-pech galiyaaN, ye be-Khwaab baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ta’affun se pur neem-roshan ye galiyaaN
ye maslee hui adh-khilee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
tanaffus ki uljhan pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Dhan-Dhan

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye guuNje hue qah-qahe raastoN par
ye chaaroN taraf bheeR si khiRkiyoN par
ye aawaazeN khiNchate hue aaNchaloN par

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye madqooq chehare

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye bhuukii nigaaheN haseenoN ki jaanib
ye baRate hue haath seenoN ki jaanib
lapakate hue paaNv zeenoN ki jaanib

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

Glossary:

kooche = streets
neelaamghar = auction houses
muhaafiz Khudi ke = the protectors of pride
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq = those who praise the pious eastern ways
be-khwaab = sleep-less
ismat = pride, honour
takaraar = fights, arguments
ta’affun = bad smell, stink
pur = full of
neem-roshan = dimly lit
zard = yellowing
tanaffus = breaths (life)
be-ruuh = soul-less
qah-qahe = laughters
madqooq = diseased
jaanib = towards
zeenoN = stairs
peer = old, wise
tanuumand = healthy, fit
ham-jins = breed
payaMbar = prophet
ummat = race
raahbaroN = leaders


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:45 AM

Taaj Mahal




taaj tere liye ik mazhar-e-ulfat hi sahii
tujh ko is vaadii-e-rangeeN se aqeedat hii sahii

merii mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se!

bazm-e-shaahii meiN GhariiboN kaa guzar kyaa ma’anii
sabt jis raah pe hoN satwat-e-shaahii ke nishaaN
us pe ulfat bharii ruuhoN kaa safar kyaa ma’anii

merii mehboob pas-e-pardaa-e-tash_heer-e-vafaa
tu ne satwat ke nishaanoN ko to dekhaa hotaa
murdaa shaahoN ke maqaabir se behalne vaalii
apne taareek makaanoN ko to dekhaa hotaa

anginat logoN ne duniyaa meiN muhabbat kii hai
kaun kahtaa hai ki saadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tash_heer kaa saamaan nahiiN
kyuuN ke vo log bhii apnii hii tarah muflis the

ye imaaraat-o-maqaabir ye faseeleN, ye hisaar
mutla-qulhukm shahanshaahoN kii azmat ke sutuuN
daaman-e-dahar pe us rang kii gulkaarii hai
jis meN shaamil hai tire aur mire ajdaad kaa KhuuN

merii mehboob! uNheiN bhii to muhabbat hogii
jinakii sannaa_ii ne baKhshii hai ise shakl-e-jameel
un ke pyaaroN ke maqaabir rahe benaam-o-namuud
aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qaNdeel

ye chamanzaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal
ye munaqqash dar-o-deevaar, ye mehraab ye taaq
ik shahanshaah ne daulat ka sahaaraa le kar
ham GhariiboN kii muhabbat kaa uRaayaa hai mazaaq

meri mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se!

Glossary:


mazhar-e-ulfat = symbol of love
vaadii-e-rangeeN = beautiful valley, spot.
aqeedat = respect, reverence
bazm-e-shaahii = royal courts
sabt = etched
satwat-e-shaahii = royal grandeur
pas-e-parda-e-tash_heer-e-vafaa = behind the veil of this advertisement of love
satwat = grandeur, wealth
maqaabir = tombs
taareek = dark
saadiq = true
tash_heer = advertisement
muflis = poor
hisaar = forts
mutla-qulhukm = arrogant, selfish
azmat = greatness
sutuuN = symbols
daaman-e-dahar = on the face of this world
gulkaari = flowers and vines
ajdaad = ancestors
sannaa_ii = artistry
shakl-e-jameel = beautiful form
benaam-o-namuud = without name or a trace
qandeel = candle
chamanzaar = garden
munaqqash = picturesque

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:45 AM

Sarzameen-e-yaas



jeene se dil bezaar rahe
har saaNs ik aazaar rahe
kitnii hazeeN hai zindagii
andohageeN hai zindagii
vo bazm-e-ehbaab-e-watan
vo ham-navaayaan-e-watan
aate haiN jis dam yaad ab
karte haiN dil naashaad ab
guzrii huii raNgeeniyaaN
khoii huii dilchaspiyaaN
pahroN rulaati haiN mujhe
aksar sataati haiN mujhe
vo zamzame vo chahchahe
vo rooh-afzaa qahqahe
jab dil ko maut aayi na thii
yuuN be-hisii chhaii na thii
‘kaalij’ ki raaNgeeN vaadiyaaN
vo dil-nisheeN aabaadiyaaN
vo naazneenaan-e-watan
zohra-jabeenaan-e-watan
jin meiN se ik raNgeeN qabaa
aatish nafas, aatish navaa
kar ke muhabbat aashnaa
raNg-e-aqeedat aashnaa
mere dil-e-naakaam ko
KhooN gashta-e-aalaam ko
daaGh-e-judaaii de gayii
saarii Khudaaii le gayii
un sa’atoN ki yaad meiN
un raahatoN ki yaad meiN
maGhmoom sa rahtaa houN maiN
Gham ki kasak sahtaa houN maiN
suntaa houN jab ehbaab se
qisse Gham-e-ayyaam ke
betaab ho jaataa houN maiN
aahoN meiN kho jaataa houN maiN
phir vo azeez-o-aqrabaa
jo toR kar ahd-e-vafaa
ehbaab se muNh moR kar
duniyaa se rishtaa toR kar
hadd-e-ufaq se us taraf
raNg-e-shafaq ke is taraf
ik vaadii-e-Khaamosh kii
ik aalam-e-behosh kii
gahraayioN meiN so gaye
taareekiyoN meiN kho gaye
unkaa tasavvur naagahaaN
letaa hai dil meiN chuTkiyaaN
aur khooN rulaataa hai mujhe
be-kal banaataa hai mujhe
vo gaaoN ki hamjoliyaaN
maflook dahqaaN zaadiyaaN
jo vast-e-fart-e-yaas se
aur yorish-e-aflaas se
ismat luTaa kar rah gayiiN
Khud ko gaNvaa kar rah gayiiN
GhamgeeN javaani ban gayiiN
rusvaa kahaani ban gayiiN
un se kabhii galiyoN meiN ab
hotaa houN maiN do-chaar jab
nazreiN jhukaa letaa houN maiN
Khud ko chhupaa leta houN maiN
kitnii hazeeN hai zindagii
andohageeN hai zindagii

Glossary:

bezaar = disgusted, displeased, sick of
aazaar = harm, illness
hazeen = sad
andohageeN = grief strucken
bazm = gathering
ehbaab = friends
ham-navaayaan-e-watan = the country of companions
naashaad = sad
zamzame = singings, concerts
rooh-afzaa = exhilarating
be-hisii = senselessness
kaalij = College
naazneenaan-e-watan = the country of delicate women
zohra-jabeenaan-e-watan = the country of those with beautiful foreheads
qabaa = dress
aatish = fire
nafas = breath
navaa = sound
aashnaa = acquaintance
raNg-e-aqeedat = the color of faith, firm belief
KhooN gashta-e-aalaam = the world of returning blood…
daaGh-e-judaai = the mark of seperation
sa’atoN = moments
maGhmoom = sad, sorrowful
kasak = pain
Gham-e-ayyaam = times of sadness, days of sorrows
azeez-o-aqrabaa = the near and dear
ahd-e-vafaa = the promises of love
hadd-e-ufaq = limits of horizon
raNg-e-shafaq = the colors of evening twilight
taareekiyoN = nights, darkness
tasavvur = thought
naagahaaN = accidently
bekal = useless
maflook = distressed, indigent, beggarly
dahqaaN = villagers
zaadiyaaN = offsprings
vast-e-fart-e-yaas = the middle of a wave of sadness
yorish-e-aflaas = storm of poverty
ismat = chastity, honor


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:47 AM

Dil Abhi




zindagi se uns hai
husn se lagaav hai

dhaRkanoN meiN aaj bhi
ishq ka lagaav hai

dil abhi bujhaa nahiiN

raNg bhar rahaa houN maiN
Khaaka-e-hayaat meiN

aaj bhi houN munhamik
fikr-e-kaainaat meiN

Gham abhii luTaa nahiiN

harf-e-haq azeez hai
zulm naagavaar hai

ahd-e-nau se aaj bhi
ahd-e-astvaar hai

maiN abhi maraa nahiiN

Glossary:

uns = love
Khaaka-e-hayaat = the drawing (map) of life
munhamik = absorbed, engaged
fikr-e-kaainaat = thoughts, worries of world
harf-e-haq = the truthful letter, letter of truth
ahd-e-nau = the new time
ahd-e-astvaar = better time


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:48 AM

Naakaami



maiN ne har chand gham-e-ishq ko khona chaahaa
gham-e-ulfat , gham-e-duniyaa meiN samonaa chaahaa

vahii afsaane mirii samt ravaaN haiN ab tak
vahii sho’ole mire seene meiN nihaaN haiN ab tak
vahii besood Khalish hai mire seene meiN hanoz
vahii bekaar tamannayeiN javaaN haiN ab tak
vahii gesuu mirii raatoN pe haiN bikhre bikhre
vahii aaNkheiN merii jaanib nigraaN haiN ab tak
kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudaavaa na hua
mere bechain KhayaaloN ko sakuuN mil na sakaa
dil ne duniyaa ke har ik dard ko apnaa to liyaa
muzmahil rooH ko andaaz-e-juNuuN mil na sakaa

merii takh’eel kaa sheraazaa-e-barham hai vahii
mere bujhte hue ahsaas kaa aalam hai vahii
vahii be-jaan iraade vahii be-raNg savaal
vahii be-rooh kasha-kash, vahii be-chain Khayaal

aah us kashmakash-e-subah-o-masaa kaa anjaam
maiN bhii naakaam, mirii saii-e-amal bhii naakaam

Glossary :

samt= towards
nihaaN = hidden
besood = useless
Khalish = burning
hunoz = still
nigraaN = care-taker
kasrat-e-gham = the excess of sorrows
mudaavaa = cure
muzmahil = weak, exhausted, fatigued
takh’eel = imagination
sheeraza-e-barham = spoiled or jumbled book binding (basically, scattered pages)
kashaakash = pulling
kash-ma-kash-e-subah-o-masaa = this confusing morning and evening
sai’-e-amal = the attempt at something


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:49 AM

Khoobsoorat moR



chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN!

na maiN tum se koii ummeed rakhouN dil-navaazii kii
na tum meri taraf dekho Ghalat-andaaz nazroN se
na mere dil kii dhaRkan laRkhaRaaye merii baatoN meiN
na zaahir ho tumhaari kash-ma-kash kaa raaz nazroN se

tumheiN bhi koii uljhan roktii hai pesh-qadmii se
mujhe bhi log kahte haiN k ye jalve paraaye haiN
mere hamraah bhii rusvaaiyaaN haiN mere maazii kii
tumhaare saath bhii guzrii huii raatoN ke saaye haiN

ta’arruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar
ta’alluq bhoj ban jaaye to usko toRna achchhaa
vo afsaanaa jise aNjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik Khoobsoorat moR dekar chhoRnaa achchha

chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN

Glossary:

pesh-qadmi = making a move
maazii = past
ta’arruf = acquaintance (to know someone)
ta’alluq = relation (with someone)
afsaanaa = story
anjaam = end, result

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:50 AM

Sochtaa houN



sochtaa houN k muhabbat se kinaaraa kar louN
dil ko begaana-e-tarGheeb-o-tamanna kar louN

sochtaa houN k muhabbat hai junoon-e-rusvaa
chaNd bekaar se behooda KhyaaloN kaa hujoom
ek aazaad ko paabaNd banaane kii hawas
ek begaane ko apnaane kii sa’ii-e-mauhoom

sochtaa houN k muhabbat hai suroor-o-mastii
iskii tanweer se roshan hai fazaa-e-hastii

sochtaa houN k muhabbat hai bashar kii fitrat
iska miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai
sochtaa houN k muhabbat se hai taabiNdaa hayaat
aap ye shamma’ bujhaa denaa bahut mushkil hai

sochtaa houN k muhabbat pe kaRii sharteiN haiN
is tamaddun meiN masarrat pe baRii sharteiN haiN

sochtaa houN k muhabbat hai ik afsurdaa sii laash
chaadar-e-izzat-o-naamoos meiN kafnaaii huii
daur-e-sarmaayaa kii roNdii huii rusvaa hastii
dargah-e-mazhab-o-iKhlaaq se Thukraaii huii

sochtaa houN k bashar aur muhabbat ka junooN
aise boseeda tamaddun se hai ik kaar-e-zubooN

sochtaa houN k muhabbat na bachegi zindaa
pesh-az-waqt k saR jaaye ye galtii huii laash
yahii behtar hai k begaana-e-ulfat hokar
apne seene meiN karouN jazba-e-nafrat kii talaash

aur sauda-e-muhabbat se kinaaraa kar louN
dil ko begaanaa-e-tarGheebo-o-tamanna kar louN

Glossary:

begaana-e-tarGheeb-o-tamanna = devoid of wishes and incitements
junoon-e-rusvaa = dishonoured or disgraced lunacy
hujoom = crowd .. gathering
paabaNd = captured
sa’ii-e-mauhoom = imaginary attempt
suroor-o-mastii = intoxication and fun
tanweer = light
fazaa-e-hastii = the environment of existence
fitrat = nature
taabiNda = shining
hayaat = life
tamaddun = culture
masarrat = happiness
afsurdaa = sad
chaadar-e-izzat-o-naamoos = a cover of fame and honour
kafnaaii = covered (as in a dead body)
dargah-e-mazhab-o-iKhlaaq = religious and moral shrine
bashar = man
boseeda = rotten
kaar-e-zubooN = immoral act
pesh-az-waqt = before this happens
begaana-e-ulfat = a stranger from love
jazba-e-nafrat = hateful emotions
sauda-e-muhabbat = the business of love


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:51 AM

Mere Geet


mire sarkash taraane sun ke duniyaa ye samajhtii hai
k shaayad mere dil ko ishq ke naGhmoN se nafrat hai
mujhe haNgaama-e-jang-o-jadal meiN kaif milta hai
mirii fitrat ko KhooNrezi ke afsaanoN se raGhbat hai
miri duniyaa meiN kuchh vaq’at nahiiN hai raqs-o-naGhme kii
mirii mahboob naGhmaa shor-e-aahaNg-e-baGhaawat hai

magar aie kaash! dekheiN vo mirii pursoz raatoN ko
maiN jab taaroN pe nazreiN gaaR kar aaNsoo bahaataa houN
tasavvur ban ke bhooli vaardaateiN yaad aatii haiN
to soz-o-dard kii shiddat se pahroN tilmilaataa houN
koii Kh(w)aaboN meiN Kh(w)aabidaa umaNgoN ko jagaatii hai
to apni zindagii ko maut ke pahloo meiN paataa houN

maiN shaayar houN, mujhe fitrat ke nazzaaroN se ulfat hai
miraa dil dushman-e-naGhmaa-saraaii ho nahiiN saktaa
mujhe insaaniyat kaa dard bhi baKhshaa hai qudrat ne
miraa maqsad faqat sho’laa navaaii ho nahiiN saktaa
javaaN houN maiN javaanii laGzishoN kaa ek toofaaN hai
mirii baatoN meiN raNg-e-paarsaaii ho nahiiN saktaa

mire sarkash taraanoN kii haqeeqat hai to itnii hai
k jab maiN dekhtaa houN bhook ke maare kisaanoN ko
GhariiboN, muflishoN ko, bekasoN ko, besahaaroN ko
sisaktii naazneenoN ko, taRapte naujavaanoN ko
Hukoomat ke tashaddud ko, amaarat ke takabbur ko
kisii ke cheethRoN ko aur shahan_shaahii KhazaanoN ko

to dil taab-e-nishaat-e-bazm-e-ishrat laa nahiiN saktaa
maiN chaahouN bhii to Kh(w)aab-aavar taraane gaa nahiiN saktaa!

Glossary:

sarkash = revolting
haNgaama-e-jaNg-o-jadal = battles and struggles
kaif = satisfaction, happiness, pleasure
fitrat = nature (self) or nature (depends on the usage)
afsaanoN = stories
raGhbat = interest
vaq’at = value
raqs-o-naGhme = dance and music
shor-e-aahaNg-e-baGhaawat = sounds of revolt
pursoz = full of sadness
tasavvur = imaginations
vaardaateiN = events
soz-o-dard = sadness
shiddat = severity
kh(w)aabeeda = sleeping
dushman-e-naGhma-saraaii = against singing songs
faqat = only
sho’laa-navaaii = to propagate fire
laGzishoN = stumblings
raNg-e-paarsaaii = the color of holiness
muflisoN = poor
tashaddud = violence
amaarat = wealth
takabbur = pride
taab-e-nishaat-e-bazm-e-ishrat = to be able to handle the luxurious societies or gatherings
kh(w)aab-aavar = something that will make you dream… sleep

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:52 AM

Mataa-e-Ghair



mere kh(w)aaboN ke jharokoN ko sajaane waali
tere kh(w)aaboN meiN kahiiN meraa guzar hai k nahiiN
puuchhkar apnii nigaahoN se bataa de mujhko
merii raatoN ke muqaddar meiN sahar hai k nahiiN

chaar din kii ye rafaaqat jo rafaaqat bhii nahiiN
umr bhar ke liye aazaar huii jaatii hai
zindagii yuuN to hamesha se pareshaan-sii thii
ab to har saaNs giraaN-baar huii jaatii hai

meri ujRii huii neeNdoN ke shabistaanoN meiN
tuu kisii Kh(w)aab ke paikar kii tarah aaii hai
kabhii apnii-sii, kabhii Ghair nazar aatii hai
kabhii iKhlaas kii moorat, kabhii harjaaii hai

pyaar par bas to nahiiN hai mira, lekin phir bhii
tuu bataa de k tujhe pyaar karouN yaa na karouN
tuune Khud apne tabassum se jagaayaa hai jinheiN
un tamannaaoN kaa izhaar karouN yaa na karouN

tuu kisii aur ke daaman kii kalii hai lekin
merii raateiN tirii Khushbuu se basii rahtii haiN
tuu kahiiN bhii ho tire phool se aariz kii qasam
terii palkeiN mirii aaNkhoN pe jhukii rahtii haiN

tere haathoN kii haraarat, tere saaNsoN kii mahak
tairatii rahtii hai ehsaas kii pahnaaii meiN
DhooNDhatii rahtii hai takh’ayeel kii baaheiN tujhko
sard raatoN kii sulagtii hui tanhaaii meiN

teraa altaaf-o-karam ek haqeeqat hai magar
ye haqeeqat bhii haqeeqat meiN fasaanaa hi na ho
terii maanoos nigaahoN kaa ye mohtaat payaam
dil ke KhooN karne ka ek aur bahaanaa hi na ho

kaun jaane mire imroz kaa fardaa kyaa hai
qurbateiN baRhke pashemaan bhii ho jaatii haiN
dil ke daaman se lipaT_tii huii raNgiiN nazreiN
dekhte-dekhte, anjaan bhii ho jaatii haiN

merii darmaaNda javaanii kii tamannaaoN ke
muzmahil kh(w)aab kii ta’abeer bataa de mujhko
tere daaman meiN gulistaaN bhii haiN, veeraane bhii
meraa haasil, mirii taqdeer bataa de mujhko

Glossary:

mataa-e-Ghair = other’s property
sahar = dawn
rafaaqat = company
aazaar = illness
giraaN-baar = heavily burdened
shabistaan = bedroom, sleeping room
paikar = body
iKhlaas = sincerity, affection
tabassum = smile
izhaar = display
aariz = cheeks
Haraarat = heat
ehsaas = feelings
pahnaaii = clothings
taKhy’eel = imagination
altaaf-o-karam = favours and kindness
maanoos = friendly, intimate
mohtaat = discreet, guarded, careful
imroz = today
fardaa = tomorrow
qurbateiN = love, closeness
pashemaan = ashamed
darmaaNdaa = helpless
muzmahil = exhausted
ta’aabeer = result

vv

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 07:58 AM

Kisii ko udaas dekh kar




tumheiN udaas sa paataa houN maiN kaii din se
na jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tum
voh shoKhiyaaN, vo tabassum, vo qahqahe na rahe
har ek cheez ko Hasrat se dekhtii ho tum
chhupaa chhupaa ke Khamoshi meiN apnii bechaini
Khud apne raaz kii tash_heer ban gayii ho tum

mirii umeed agar miT gayii to miTne do
ummeed kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahiiN
mirii Hayaat kii GhamgeeniyoN ka Gham na karo
Gham-e-Hayaat, Gham-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahiiN
tum apne Husn kii raa’naayioN pe raHam karo
wafaa fareb hai tuul-e-hawas hai kuchh bhii nahiiN


mujhe tumhaare taGhaaful se kyaa shikaayat ho
mirii fanaa mire ehsaas ka taqaazaa hai
maiN jaantaa houN duniyaa kaa Khauf hai tumko
mujhe Khabar hai ye duniyaa ajeeb duniyaa hai
yahaaN Hayaat ke parde meiN maut paltii hai
shikast-e-saaz kii aavaaz rooh-e-naGhmaa hai

mujhe tumhaarii judaaii kaa koii ranj nahiiN
mire Khayaal kii duniyaa meiN mire paas ho tum
ye tum ne Theek kahaa hai tumheiN milaa na karouN
magar mujhe ye bataa do k kyoN udaas ho tum
Khafaa na honaa meri jurrat-e-taKhaatub par
tumheiN Khabar hai merii zindagii kii aas ho tum

mira to kuchh bhii nahiiN hai maiN ro ke jee louNgaa
magar Khudaa ke liye tum aseer-e-Gham na raho
huaa hi kyaa jo zamaane ne tum ko chheen liyaa
yahaaN pe kaun huaa hai kisii ka socho to
mujhe qasam hai mirii dukh bharii javaanii kii
maiN Khush houN, meri muhabbat ke phool Thukraa do

maiN apnii rooH kii har ik Khushii miTaa louNgaa
magar tumhaarii masarrat miTaa nahiiN saktaa
maiN Khud ko maut ke haathoN meiN sauNp saktaa houN
magar ye baar-e-masaa’ib uThaa nahiiN saktaa
tumhaare Gham ke sivaa aur bhi to Gham haiN mujhe
najaat jin se maiN ik laHzaa paa nahiiN saktaa

ye ooNche ooNche makaanoN kii DyoDhiyoN ke tale
har ek gaam pe bhooke bhikaariyoN kii sadaa
har ek ghar meiN hai iflaas aur bhook kaa shor
har ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaa
ye kaarKhaanoN meiN lohe kaa shaur-o-Ghul jis meiN
hai dafn laakhoN GhareeboN kii rooH kaa naGhmaa

ye shaah-raahoN pe rangeen saaRiyoN kii jhalak
ye jhoNpaRoN meiN GhareeboN ke beqafan laasheiN
ye maal road pe kaaroN kii rel-pel kaa shor
ye paTriyoN pe GhareeboN ke zard-roo bachche

gali gali meiN ye bikte hue javaaN chehre
haseen aaNkhoN meiN afsurdagii sii chhaaii hai
ye jaNg aur ye mere watan ke shauKh javaaN
Khareedii jaatii haiN uTh_tii javaaniyaaN jinki
ye baat baat pe qaanon-o-zaabte kii giraft
ye zillateiN, ye Ghulaamii, ye daur-e-majboorii

ye Gham bahut haiN mirii zindagii miTaane ko
udaas rah ke mire dil ko aur raNj na do!

Glossary:

tabassum = smiles
qahqahe = laughters
tash_heer = advertisement
pesh-o-pas = confusion
Hayaat = life
Gham-e-Hayaat = life’s sorrows
Gham-e-yak-nafas = sorrows that last only one breath (momentary sorrows)
ra’aniyoN = beauty, tenderness
fareb = deceit, trick
tuul-e-hawas = discourse of lust
taGhaaful = neglect, negligence
fanaa = art
ehsaas = feelings, perception
taqaazaa = settlement
shikast-e-saaz = the breaking of a musical instrument
rooH-e-naGHmaa = the song of the soul
jurrat-e-taKhaatab = my bold talks
aseer-e-Gham = grief-stricken
masarrat = happiness
baar-e-masaa’ib = the weight of these calamities
najaat = free
laHzaa = a second, a moment
gaam = step
sadaa = voice
iflaas = poverty
samt = towards, directions
aah-o-bukaa = laments
shaah-raahoN = royal roads
zard-roo = yellow faced
afsurdagii = sadness
qaanon-o-zaabte = law and order
giraft = hold
zillateiN = humiliations
daur-e-majboori = the times of helplessness

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:00 AM

ParchhaiyaaN


Sahir’s best work- wrote this poem in 1956


Javaan raat ke seene pe dudhiyaa aaNchal
machal rahaa hai kisii Kh(w)aab-e-marmariiN kii tarah
haseen phool, hasiiN pattiyaaN, hasiiN shaaKheiN
lachak rahii haiN kisii jism-e-naazniiN kii tarah
fazaa meiN ghul se gaye haiN ufaq ke narm Khatuut
zameeN haseen hai, Kh(w)aaboN ki sarzameeN kii tarah

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN
kabhii gumaan kii suurat, kabhii yaqeeN kii tarah
vo peR jinke tale ham panaah lete the
khaRe haiN aaj bhii saakit kisii ameeN kii tarah

inhiiN ke saaye meiN phir aaj do dhaRakte dil
khamosh hoNToN se kuchh kahne-sun_ne aaye haiN
na jaane kitnii kashakash se, kitnii kaavish se
ye sote jaagte lamhe churaake laaye haiN

yahii fazaa thii, yahii rut, yahii zamaanaa thaa
yahiiN se hamne muhabbat kii ibtadaa kii thii
dhaRakte dil se, laraztii hui nigaahoN se
huzuur-e-Ghaib meiN nanhii sii iltajaa kii thii

k aarzuu ke kaNval khil ke phool ho jaayeiN
dil-o-nazar kii du’aayeiN qubool ho jaayeiN

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

tum aa rahii ho zamaane kii aaNkh se bach kar
nazar jhukaaye hue, aur badan churaaye hue
Khud apne qadmoN kii aahaT se jheNptii, Dartii
Khud apne saaye kii jumbish se Khauf khaaye hue

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

ravaaN hai chhoTii sii kashtii havaaoN ke rukh par
nadii ke saaz pe mallaaH geet gaataa hai
tumhaara jism har ik lahar ke jhakole se
mirii khulii huii baahoN meiN jhool jaataa hai

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

maiN phool TaaNk rahaa houN tumhaare jooRe meiN
tumhaari aaNkh massarrat se jhuktii jaatii hai
na jaane aaj maiN kyaa baat kahne vaalaa houN
zabaan Khushk hai aavaaz ruktii jaatii hai

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

mire gale meiN tumhaarii gudaaz baaheiN haiN
tumhaare hoNToN pe mere laboN ke saaye haiN
mujhe yaqeeN hai k ham ab kabhii na bichhReiNge
tumheiN gumaan k ham mil ke bhii paraaye haiN

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

mire palaNg pe bikhrii huii kitaaboN ko
adaa-e-ajz-o-karam se uThaa rahii ho tum
suhaag raat ko Dholak pe gaaye jaate haiN
dabe suroN meiN vahii geet gaa rahii ho tum

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

vo lamhe kitne dilkash the, vo ghaRiyaaN kitnii pyaarii thiiN
vo sahre kitne naazuk the, vo laRiyaaN kitnii pyaarii thiiN
bastii kii har ik shaadaab galii Kh(w)aaboN ka jazeera thii goya
har mauj-e-nafas, har mauj-e-sabaa, naGhmoN ka zaKheera thii goyaa

naagah lahakte khetoN se TaapoN ki sadaayeiN aane lagiiN
baaruud kii bojhal buu lekar, pachham se havaayeiN aane lagiiN
taameer ke roshan chehre par, taKhriib kaa baadal phail gayaa
har gaaNv meiN wahshat naach uThii har shahr meiN jangal phail gayaa
maGhrib ke muhazzab mulkoN se, kuchh Khaaki vardii-posh aaye
iThlaate hue maGhroor aaye, lahraate hue madhosh aaye
Khaamosh zameeN ke seene meiN, khemoN kii tanaaveiN gaRne lagiiN
makkhan sii mulaayam raahoN par, booToN kii KharaasheiN paRne lagiiN
faujoN ke bhayaanak baND tale, charKhoN kii sadaayeiN Doob gayiiN
jeepoN kii sulagtii dhool tale, phooloN kii qabaayeiN Doob gayiiN

insaan kii qeemat girne lagii, ajnaas ke bhaao chaRne lage
chaupaal kii raunaq ghaTne lagii, bhartii ke dafaatar baRne lage
bastii ke sajeele shauKh javaaN, ban ban ke sipaahii jaane lage
jis raah se kam hi lauT sake, us raah pe raahii jaane lage

in jaane vaale dastoN meiN Ghairat bhi gayii, barnaaii bhii
maaoN ke javaaN beTe bhi gaye, bahnoN ke chahete bhaii bhii

bastii pe udaasii chhaane lagii , meloN kii bahaareiN Khatm huiiN
aamoN kii lachaktii shaaKhoN se, jhooloN kii kataareiN Khatm huiiN

dhool uRne lagii baazaaroN meiN, bhookh ugne lagii KhaliyaanoN meiN
har cheez dukaanoN se uThkar, ruu-posh huii tahKhaanoN meiN

bad-haal gharoN kii bad-haali, baRte baRte janjaal banii
mahNgaaii baRkar kaal banii, saarii bastii kangaal banii

charvaahiyaaN rastaa bhool gayiiN, pinhariyaaN panghaT chhoR gayiiN
kitnii hi kaNvaarii ablaayeiN, maaN-baap kii chaukhaT chhoR gayiiN

iflaas-zadaa dahqaanoN ke, hal-bail bike, khaliyaan bike
jeene kii tamannaa ke haathoN, jeene hi ke sab saamaan bike

kuchh bhii na rahaa jab bikne ko, jismoN kii tijaarat hone lagi
Khalwat meiN bhii jo mamnoo’ thii vo jalvat meiN jasaarat hone lagii

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

tum aa rahii ho sar-e-aam baal bikhraaye hue
hazaar gonaa malaamat kaa baar uThaaye hue

hawas-parast nigaahoN kii cheerah-dastii se
badan kii jheNptii uriyaaniyaaN chhupaaye hue

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

maiN shahr jaake har ik dar ko jhaaNk aayaa houN
kisii jagah meri mehnat ka mol mil na sakaa
sitamgaroN ke siyaasii qimaarKhaane meiN
alam-nasiib farsaat ka mol mil na sakaa

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

tumhaare ghar meiN qayaamat ka shor barpaa hai
mahaaz-e-jaNg se harkaaraa taar laayaa hai
k jiskaa zikr tumheiN zindagii se pyaaraa thaa
vo bhaaii narGhaa-e-dushman meiN kaam aayaa hai

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

har ek gaam pe badnaamiyoN kaa jamghaT hai
har ek moR pe rusvaaiyoN ke mele haiN
na dostii, na takalluf, na dilbarii, na Khaloos
kisii kaa koii nahiiN aaj sab akele haiN

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

vo rahguzar jo mere dil ki tarah soonii hai
na jaane tumko kahaaN le ke jaane vaalii hai
tumheiN Khareed rahe haiN zameer ke qaatil
ufaq pe Khoon-e-tamannaa-e-dil kii laalii hai

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN

sooraj ke lahoo meiN lithRii huii, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
chaahat ke sunahare Kh(w)aaboN kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

us shaam mujhe ma’aloom huaa, khetoN kii tarah is duniyaa meiN
sahmii huii dosheezaaoN kii muskaan bhi bechii jaatii hai
us shaam mujhe ma’aloom huaa, is kaargah-e-zardaarii meiN
do bholi bhaali roohoN kii pahchaan bhi bechii jaatii hai

us shaam mujhe ma’aloom huaa, jab baap ki kheti chhin jaaye
mamtaa ke sunahare Kh(w)aaboN kii anmol nishaani biktii hai
us shaam mujhe ma’aloom huaa, jab bhaaii jaNg meiN kaam aaye
sarmaaye ke qahvaaKhaane meiN, bahnoN ki javaani biktii hai

sooraj ke lahoo meiN lithRii huii, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
chaahat ke sunahare Kh(w)aaboN kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

tum aaj hazaaroN meel yahaaN se door kahiiN tanhaaii meiN
ya bazm-e-tarab-aaraaii meiN
mere sapne buntii hogi, baiThii aaGhosh paraayii meiN
aur maiN seene meiN GHam le kar, din raat mashaqqat kartaa houN
jeene kii Khaatir martaa houN
apne fan ko rusvaa karke, aGhiyaaN kaa daaman bhartaa houN

majboor huuN maiN, majboor ho tum, majboor ye duniyaa saarii hai
tan ka dukh man par bhaarii hai
is daur meiN jeene kii qeemat yaa daar-o-rasan yaa Kh(w)aarii hai

maiN daar-o-rasan tak jaa na sakaa, tum jahad ki had tak aa na sakiiN
chaahaa to magar apnaa na sakiiN
ham-tum do aisii rooheiN haiN, jo manzil-e-taskiiN paa na sakiiN

jeene ko jiye jaate haiN magar, saaNsoN meiN chitaayeiN jaltii haiN
Khamosh wafaayeiN jaltii haiN
saNgeen haqaayaq-zaaroN meiN, Kh(w)aaboN ki ridaayeiN jaltii haiN

aur aaj in peRoN ke neeche, phir do saaye lahraaye haiN
phir do dil milne aaye haiN
phir maut kii aaNdhii uThThii hai, phir jaNg ke baadal chhaaye haiN

maiN soch rahaa houN inkaa bhii, apnii hi tarah anjaam na ho
inkaa bhii junooN badnaam na ho
inke bhii muqaddar meiN likhii, ik Khoon se lithRii shaam na ho!

sooraj ke lahoo meiN lithRii huii, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
chaahat ke sunahare Kh(w)aaboN kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

hamaaraa pyaar havaadis kii taab la na sakaa
magar inheiN to muraadoN kii raat mil jaaye
hameiN to kash-ma-kash-e-marg-e-be-amaaN hi milii
inheiN to jhoomtii gaatii hayaat mil jaaye

bahut dinoN se hai ye mashGhalaa siyaasat kaa
k jab javaan hoN bachche to qatl ho jaayeiN
bahut dinoN se hai ye Khabt hukmraanoN kaa
k door door ke mulkoN meiN qahat bo jaaye

bahut dinoN se javaanii ke kh(w)aab veeraaN haiN
bahut dinoN se muhabbat panaah DhooNDhatii hai
bahut dinoN se sitam-deedah shaahraahoN meiN
nigaar-e-zeest kii ismat panaah DhooNDhatii hai

chalo k aaj sabhii paay-maal roohoN se
kaheiN k apne har ik zaKhm ko zabaaN kar leiN

hamaaraa raaz hamaaraa nahiiN sabhii kaa hai
chalo k saare zamaane ko raazdaaN kar leiN

chalo k chal ke siyaasii muqaamiroN se kaheiN
k hamko jang-o-jadal ke chalan se nafrat hai

jise lahoo ke sivaa koi raNg na raas aaye
hameiN hayaat ke us pairahan se nafrat hai

kaho k ab koii qaatil agar idhar aayaa
to har qadam pe zameeN taNg hotii jaayegi

har ek mauj-e-havaa ruKh badal ke jhapTegii
har ek shaaKh rag-e-saNg hotii jaayegii

uTho k aaj har ik jaNgjoo se ye kah deiN
k hamko kaam kii Khaatir kaloN kii haajat hai

hameiN kisii kii zameeN chheen_ne kaa shauq nahiiN
hameiN to apnii zameeN par haloN kii haajat hai

kaho k ab koii taajir idhar ka ruKh na kare
ab is jaa koii kuNvaarii na bechi jaayegii

ye khet jaag paRe, uTh khaRii huiiN fasleiN
ab is jagah koii kyaarii na bechii jaayegi

ye sarzameeN hai Gautam kii aur Naanak kii
is arz-e-paak pe wahshii na chal sakeiNge kabhii
hamaaraa khoon amaanat hai nasl-e-nau ke liye
hamaare khoon pe lashkar na pal sakeiNge kabhii

kaho ki aaj bhii ham sab agar Khamosh rahe
to is damakte hue KhaakadaaN kii Khair nahiiN
junooN kii Dhaalii huii “atomii” balaaoN se
zameeN kii Khair nahiiN, aasmaaN kii Khair nahiiN

guzishtaa jaNg meiN ghar hi jale magar is baar
ajab nahiiN k ye tanhaaiyaaN bhii jal jaayeiN
guzishtaa jaNg meiN paikar jale magar is baar
ajab nahiiN k ye parchhaiyaaN bhii jal jaayeiN

tasavvuraat kii parchhaiyaaN ubhartii haiN!

Glossary:

khwaab-e-marmariiN = silky (or beautiful) dream
jism-e-naazniiN = the body of a delicate girl
fazaa = environment
ufaq = horizon
Khatuut = lines
tasavvuraat = imaginations
gumaan = doubt
yaqeeN = certainty
panaah = refuge
saakit = quiet
ameeN = witness
kashaakash = struggle, dillema
kaavish = efforts
ibtadaa = beginnings
laraztii = trembling
huzuur-e-Ghaib = in the service of God
jumbish = movement
Khauf = fear
massarrat = happiness
zabaan = tongue
Khushk = dry
gudaaz = soft
adaa-e-ajz-o-karam = in a kind and soft manner
dilkash = lovely
shaadaab = lively, (in hindi - hari bhari)
jazeera = island
mauj-e-nafas = wave of breath
mauj-e-sabaa = wave of wind
zakheera = treasures, stores
naagah = suddenly
TaapoN = Stomping sounds made by the horses
taameer = structures, constructions
taKhreeb = destructions, devastation
wahshat = barbarism
maGhrib = the west
muhazzab = civilized .. polite
mulkoN = countries
maGhroor = arrogant
khemoN = tents
booToN = boots
qabaayeiN = dresses
ajnaas = plural of jins - goods, species, commodities
bhaao = costs
dafaatar = plural of daftar - offices
Ghairat = honour
barnaaii = youth
KhaliyaanoN = granaries
ruuposh = concealed, hidden
janjaal = tanglements, embarrassments, troubles
iflaas-zadaa = struck by poverty
dahqaan = farmers
tijaarat = trade, commerce
Khalwat = solitude
mamnoo’ = forbidden, prohibited
jalwat = in open, in public
jasaarat = boldness, courage
malaamat = blames, accusations
baar = weight
hawas-parast = lustful
cheerah-dasti = opressiveness, powerfulness
uriyaaniyaaN = nakedness
sitamgar = tyrant
siyaasi = political
qimaarKhaane = gambling houses
alam-naseeb faraasat = painful wisdom
mahaaz-e-jaNg = battle field
harkaaraa = courrier, messenger, running footman
narGha-e-dushman = enemy encirclment
gaam = step
takalluf = formalities
Khaloos = happiness
zameer = pride
Khoon-e-tamaannaa-e-dil = the blood from hearts desires
dosheezaaoN = young girls
kaargah-e-zardaarii = this factory of richness, wealth
qahvaaKhaane = brothel
bazm-e-tarab-aaraaii = a gathering of joy and cheerfulness
mashaqqat = labour
aGhiyaar = strangers, others
daar-o-rasan = gallows
Kh(w)aari = shame
jahad (correct pronounciation = jahd) = struggle
manzil-e-taskiiN = the goal of peacefullness, soothing
saNgeen = tough, serious
haqaayak-zaaroN = realities
ridaayeiN = covers
hawaadis = accidents
taab = courage, fury, heat
kash-ma-kash-e-marg-e-be-amaaN = struggles of continuing death
hayaat = life
mashGhala =hobby
Khabt = lunacy
hukm-raanoN = those in power
qahat = death, famine, drought
sitam-deedah-shaahraahoN = the royal paths drowned in tyranny
nigaar-e-zeest = the beauty of life
ismat = chastity, honour, protection
paay-maal = crushed
muqaamiroN = gamblers
jadal = battle
pairaahan = dress
mauj-e-hawaa = waves of wind
rag-e-saNg = veins of rock
jaNgjoo = war monger
haajat = need
taajir = businessman
jaa = place
arz-e-paak = sacred earth
nasl-e-nau = new blood, new generation
lashkar = army, encampments
KhaakdaaN = world
guzishtaa = previous
paikar = bodies

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:02 AM

Shikast



apne siine se lagaaye hue ummiid kii laash
muddatoN ziist ko naashaad kiyaa hai maiN ne
tu ne to ek hi sadme se kiyaa tha do-chaar
dil ko har taraH se barbaad kiyaa hai maiN ne
jab bhii raahoN meiN nazar aaye Hariirii malboos
sard aahoN meiN tujhe yaad kiyaa hai maiN ne
aur ab jab ke miri rooH kii pahnaaii meiN
ek sunsaan sii maGhmoom ghaTaa chhaaii hai
tu damakte hue ‘aariz kii sh’uaa’eiN le kar
gulshudah shamaa’eiN jalaane ko chalii aaii hai
meri mehboob, ye haNgaama-e-tajdiid-e-vafaa
meri afsurdah javaanii ke liye raas nahiiN
maiN ne jo phool chune the tire qadmoN ke liye
un ka dhuNdhlaa saa tasavvur bhii mire paas nahiiN
ek yaKhbastaa udaasii hai dil-o-jaaN pe muHiit
ab miri rooH meiN baaqii hai na ummiid na josh
rah gayaa dab ke giraaNbaar salaasil ke tale
merii darmaandaa javaanii kii umangoN ka Kharosh
regzaaroN meiN baguuloN ke sivaa kuchh bhi nahiiN
saaya-e-abr-e-gurezaaN se mujhe kyaa lenaa
bujh chuke haiN mire siine meiN muhabbat ke kaNval
ab tire husn-e-pashemaaN se mujhe kyaa lenaa
tire ‘aariz pe ye Dhalke hue siimiiN aaNsoo
merii afsurdagii-e-gham ka mudaavaa to nahiiN
terii mahjuub nigaahoN ka payaam-e-tajdiid
ik talaafii hii sahii —- meri tamannaa to nahiiN!

Glossary:

muddatoN = for ages
ziist = life
naashaad = sad, unhappy
Hariirii malboos = silky dress
rooH ki pahnaaii = inside my soul
maGhmoom = sad
‘aariz = cheeks
shu’aa’eiN = rays
gulshudaa = extinguished
haNgaama-e-tajdiid-e-vafaa = this uproar about the renewal of love
afsurda = sad
tasavvur = imagination
yaKhbastaa = frozen
muhiit = encircling, surrounding
giraaNbaar = heavily laden
salaasil = chains
darmaaNdaa = helpless
Kharosh = loud noise, tumult
regzaaroN = desert
saaya-e-abr-e-gurezaaN = the shadow of the leaving cloud
husn-e-pashemaaN = embarrased beauty
siimii = silvery (of silver)
mudaavaa = cure
mahjuub = ashamed
payaam-e-tajdiid = notice of renewal
talaafii = compensation, recompense… making amends

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:02 AM

Khanaa-aabaadi



taraane guuNj uThThe haiN fazaa meiN shaadiyaanoN ke
havaa hai itr-aagii, zarra zarra muskuraataa hai

magar duur ek afsurdaa makaaN meiN sard bistar par
koii dil hai k har aahaT pe yuuN hii chauNk jaataa hai
meri aaNkhoN meiN aaNsoo aa gaye, naadiidah aaNkhoN ke
mere dil meiN koii ghamgiin naGhmaa sarsaraataa hai

ye rasm-e-inqataa’e-ahd-e-ulfat, ye hayaat-e-nau
muhabbat ro rahii hai, aur tamaddun muskuraataa hai
ye shaadi Khaanaa-aabaadi ho, mere mohtarim bhaii
“mubaarak” kah nahiiN saktaa, miraa dil kaaNp jaataa hai

Glossary:

itr-aagii = perfumed
afsurdaa = sad
naadiidah = unseen
rasm-e-inqitaa’e-ahd-e-ulfat = the ending of an era of love
hayaat-e-nau = new life
tamaddun = culture, society
mohtarim = respected

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:04 AM

Shaahkaar




musavvir maiN tiraa shaahkaar vaapis karne aayaa huuN
ab in rangiin ruKhsaaroN meiN thoRii zardyaaN bhar de
hijaab-aalood nazroN meiN zaraa be-baakiyaaN bhar de
laboN kii bhiigii bhiigii salvatoN ko muzmahil kar de
numaayaaN rang peshaanii pe aks-e-soz-e-dil kar de
tabassum aafriiN chahre meiN kuchh sanjiidah pan bhar de
javaaN siine kii maKhurutii uthaaneiN sar niguuN kar de
ghane baaloN ko kam kar de, magar raKhshaNdagii de de
nazar se tamkanat le kar mazaaq-e-‘aajizii de de
magar haaN bench ke badle ise sofe pe biThlaa de
yahaaN meri bajaaye ik chamaktii kaar dikhlaa de

Glossary:

shaahkaar = Painting, art
musavvir = Painter
ruKhsaar = cheeks
zardiyaaN = yellowness
hijaab-aalood = veiled, covered, shyful
muzmahil = anxious, worried
rang-e-peshaani = color of the forehead
aks-e-soz-e-dil = the reflection of heart’s burning
tabassum-aafariiN = smiling
maKhrooti = conical
sarniguuN = down-cast, ashamed
raKhshaNdagii = brightness
tamkanat = dignity, honour, grandeur
mazaaq-e-aajizii = humility, helplessness

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:06 AM

Ek vaaq’ah



andhyaarii raat ke aangan meiN ye subah ke qadmoN kii aahaT
ye bhiigii bhiigii sard hawaa, ye halkii halkii dhundlaahaT
gaaRii meiN huuN tanhaa mahv-e-safar aur niind nahiiN hai aankhoN meiN
bhuule bisre armaanoN ke Kh(w)aaboN kii zamiin hai aankhoN meiN
agle din haath hilaate haiN pichhlii piiteiN yaad aatii haiN
gum-gashtah KhushiyaaN aankhoN meiN aansoo ban kar lahraatii haiN
siine ke viiraaN goshoN meiN ik Tiis sii karvaT letii hai
naakaam umangeiN rotii haiN, ummiid sahaare detii hai
woh raaheiN zahan meiN ghuumtii haiN jin raahoN se aaj aayaa huuN
kitnii ummiid se pahunchaa thaa, kitnii maayuusii laayaa huuN

Glossary:
mahv-e-safar = engrossed in journey
piiteiN = plural of piit (love)
goshoN = corners


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:07 AM

Ek manzar


ufaq ke dareeche se kirnoN ne jhaaNkaa
fazaa tan gayii, raaste muskuraaye
simatne lagii narm kuhre kii chaadar
jawaaN shaaKhsaaroN ne ghooNghaT uThaaye

parindoN kii aawaaz se khet choNke
pur-asraar lai meiN rahaT gungunaayee
haseeN shabnam-aalood pagdanDiiyoN se
paRne lage sabz peRoN ke saaye

woh door ek Teele pe aaNchal saa jhalkaa
tasawwur meiN laakhoN diye jhilmilaaye

Glossary:
ufaq = horizon
shaaKhsaaroN = gardens, place full of branches
pur-asraar = Full of secrecy
rahaT = a wheel to draw water from the well
shabnam-aalood = immersed in night dew
sabz = green, verdant, flourishing
tasawwur = imagination

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:07 AM

Yaksooii


ahd-e-gumgashtaa kii tasveer dikhaatii kyoN ho?
ek aawaara-e-manzil ko sataatii kyoN ho?
vo hasiiN ahd jo sharmindaa-e-iifaa na huaa
us hasiiN ahd ka mafhoom jataatii kyoN ho?
zindagii sho’lah-e-bebaak banaalo apni
Khud ko Khakistar-e-Khaamosh banaatii kyoN ho?
maiN tasawwuf ke maraahil ka nahiiN houN qaa’il
meri tasveer pe tum phool chaRaatii kyoN ho?

Kaun kahtaa hai k aaheiN haiN masaa’ib ka ilaaj
jaan ko apnii ‘abas rog lagaatii kyoN ho?
ek sarkash se muhabbat ki tamannaa rakh kar
Khud ko aa’iin ke phandoN meiN phaNsaatii kyoN ho?

maiN samajhtaa houN taqaddus ko tamaddun ka fareb
tum rasoomaat ko eemaan banaati kyoN ho?
jab tumheiN mujh se zyadaa hai zamaane ka khayaal
phir mirii yaad meiN yuuN ashk bahaatii kyoN ho?

tum meiN himmat hai to duniyaa se baghaawat kar lo
varnaa maaN-baap jahaaN kahte haiN shaadi kar lo

Glossary:
yaksooii - Even, uniform, settled.
ahd-e-gumgashtaa = the lost time, past
aawaara-e-manzil = one who is separated from his goal, his destination
ahd = time or promise
sharmindah-e-iifaa = ashamed of being satisfied, fulfilling
mafhoom = meaning, content, sense
sho’lah-e-bebaak = fearless flame
Khaakistar-e-Khaamosh = silent ashes
tasawwuf = mysticism, contemplation
maraahil = a place of abode, a station, journey
qaa’il (hona) = to be convinced of, to consent, to acknowledge, to yield
masaa’ib = calamities, afflictions
‘abas = absurdly, or in vain or uselessly
sarkash = rebellious
aa’iin = law, enacted code (by princes)
taqaddus = holiness, purity
tamaddun = culture
rasoomaat = customs

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:08 AM

Radd-e-amal


chaNd kaliyaaN nashaat ki chunkar
muddatoN mahv-e-yaas rahtaa houN
tera milnaa khushi ki baat sahi
tujhse milkar udaas rahtaa houN!

Glossary:
radd-e-’amal = reaction, opposition to an action (!)
nashaat = cheerfulness, joy
mahv-e-yaas = engrossed in despair, hopelessness

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:13 AM

Aao ki ko_ii Khvaab bune.n


aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

[bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times]
[Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr

[tez-gaam = fleet-footed]

zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab

[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry]

tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab

[tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation's progress/upliftment]
[zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]

ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]

aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:13 AM

Ab aaye.n yaa na aaye.n



ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo
kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo

ham se agar hai tark-e-ta'alluq to kyaa huaa
yaaro ko_ii to un kii Khbabar puuchhate chalo

jo Khud ko kah rahe hai.n ki ma.nzil shanaas hai.n
un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo

kis ma.nzil-e-muraad kii jaanib ravaa.N hai.n ham
ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chalo


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:14 AM

Ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n


ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n
ek ham hii nahii.n duniyaa se Khafaa aur bhii hai.n

[ahal-e-dil = dil vaale; Khafaa = angry (with)]

kyaa huaa gar mere yaaro.n kii zabaane.n chup hai.n
mere shaahid mere yaaro.n ke sivaa aur bhii hai.n

[shaahid = one who bears witness]

ham pe hii Khatm nahii.n maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhii hai chaak-e-qabaa aur bhii hai.n

[maslak-e-shoriidaa_sarii = rebellious ways; qabaa = long gown]

sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hai.n

[sang-e-malaamat = stones of accusations/reproach]
[paikaan = arrow; qazaa = death]

munsif-e-shahar kii vahadat pe na harf aa jaaye
log kahate hai.n ke arabaab-e-jafaa aur bhii hai.n

[munsif = judge; vahadat = oneness, unity]


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:15 AM

Aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqii




aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqii
azal se zahan-e-i.nsaa.N bast-e-auhaam hai saaqii

haqiiqat-aashanaa_ii asl me.n gum-kardah-raahii hai
uruus-e-aagahii paravardah-e-abahaam hai saaqii

mubaarak ho za_iifii ko Khirad kii falsafaadaanii
javaanii beniyaaz-e-ibrat-e-a.njaam hai saaqii

abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dha.Dakataa hai
meraa zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqii

vahaa.N bhejaa gayaa huu.N chaak karane pard-e-shab ko
jahaa.N har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:15 AM

bha.Dakaa rahe hai.n aag lab-e-naGmaagaar se ham



bha.Dakaa rahe hai.n aag lab-e-naGmaagaar se ham
Khaamosh kyaa rahe.nge zamaane ke Dar se ham


kuchh aur ba.D gae a.Ndhere to kyaa huaa
maayuus to nahii.n hai.n tulu-e-sahar se ham


le de ke apane paas faqat ek nazar to hai
kyuu.N dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham


maanaa ki is zamii.N ko na gulazaar kar sake
kuchh Khaar kam kar gae guzare jidhar se ham

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:16 AM

Dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se




dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se
chehare tamaam lagane lage hai.n ajiib se

is re.ngatii hayaat kaa kab tak uThaaye.n baar
biimaar ab ulajhane lage hai.n tabiib se

[re.ngatii = crawling; baar = weight; tabiib = healers]

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se

[gaam = step; majamaa = crowd; ushshaaq = lovers (plural of aashiq)]
[maqtal = place where peopel are executed; kuu-e-habiib = friend's street]

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_ii nibaah rahaa ho raqiib se

[raqiib = rival]

ai ruuh-e-asar jaag kahaa.N so rahii hai tuu
aavaaz de rahe hai.n payambar saliib se

[saliib = cross]


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:16 AM

Dekhaa to thaa yuu.N hii kisii Gafalat-shi'ar ne



dekhaa to thaa yuu.N hii kisii Gafalat-shi'ar ne
diivaanaa kar diyaa dil-e-be-iKhtiyaar ne

ai aarazuu ke dhu.ndale Khvaabo.n javaab do
phir kis kii yaad aa_ii thii mujh ko pukaarane

tum ko Khabar nahii.n magar ik saadaalauh ko
barbaad kar diyaa tere do din ke pyaar ne

mai.n aur tum se tark-e-mohabbat kii aarazuu
diivaanaa kar diyaa hai Gam-e-rozagaar ne

ab ai dil-e-tabaah teraa kyaa Khayaal hai
ham to chale the kaakul-e-getii sa.Nvaarane

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:17 AM

Faraar



apane maazii ke tasavvur se hiraasaa huu.N mai.n
apane guzare hue ayyam se nafarat hai mujhe
apanii bekaar tamannao.n pe sharmi.ndaa huu.N mai.n
apanii besud ummiido.n pe nidaamat hai mujhe


[maazi=past; hiraasaa=troubled; ayyam=days; besud=senseless/useless]


mere maazii ko a.Ndhere me.n dabaa rahane do
meraa maazii merii zillat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
merii ummiido.n kaa haasil merii kaavish kaa silaa
ek benaam aziiyat ke sivaa kuchh bhii nahii.n


[aziiyat=torment; kaavish=research]


kitanii bekaar ummiido.n kaa sahaaraa lekar
mai.n ne aiwaan sajaaye they kisii kii Khaatir
kitanii berabt tamannaazo.n ke maabham Khaake
apane Khwaabo.n me.m basaaye the kisii kii Khaatir


[aiwaan=palace; berabt=unfulfilled; maabham=hidden; Khaake=sketches]


mujhase ab merii mohabbat ke fasaane na puuchho
mujhako kahane do ke mai.n ne u.nhe.n chaahaa hii nahii.n
aur vo mast nigaahe.n jo mujhe bhuul gaii.n
mai.n ne un mast nigaaho.n ko saraahaa hii nahii.n


mujhako kahane do ki mai.n aaj bhii jii sakataa huu.N
ishq naakaam sahii zindagii naakaam nahii.n
unako apanaane kii Khvaahish u.nhe.n paane kii talab
shauq bekaar sahii sai-Gam a.njaam nahii.n


[sai-Gam=to be sad]


vahii gesuu vahii nazar vahii aarid vahii jism
mai.n jo chaahuu.N ki mujhe aur bhii mil sakate hai.n
vo ka.Nval jinako kabhii munake liye khilanaa thaa
unakii nazaron se bahut duur bhii khil sakate hai.n


[aarid=lips]



Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:18 AM

Lab pe paabandii nahii.n ehasaas pe paharaa to hai




lab pe paabandii nahii.n ehasaas pe paharaa to hai
phir bhii ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahanaa to hai

[paabandii = restriction; paharaa = guard]
[ahavaal-e-bashar = condition of man(kind)]

apanii Gairat bech Daale.n apanaa masalaq chho.D de.n
rah_numaao.n me.n bhii kuchh logo.n ko ye manshaa to hai

[Gairat = self-respect; masalaq = beliefs/opinions]
[rah_numaa = guides(those who show the path)]
[manshaa = intention]

hai jinhe.n sab se zyaadaa daavaa-e-hubb-e-vatan
aaj un kii vajah se hubb-e-vatan rusavaa to hai

[daavaa = claim; hubb-e-vatan = love for one's country/patriotism]

bujh rahe hai.n ek ek kar ke aqiido.n ke diye
is andhere kaa bhii lekin saamanaa karanaa to hai

[aqiidaa = fundamental doctrine of faith/belief]

jhuuTh kyuu.N bole.n faroG-e-maslahat ke naam par
zindagii pyaarii sahii lekin hame.n maranaa to hai

[maslahat = advisibility/prudent measure]


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:19 AM

Maadaam




aap bevajah pareshaan-sii kyo.n hai.n maadaam
log kahate hai.n to phir Thiik hii kahate ho.nge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul me.n i.nsaan na rahate ho.nge


[maadaam=Urdu equivalent of Madam]
[ehabaab=friends; maahaul=environment/surrounding]


nuur-e-saramaayaa se hai ruu-e-tamaddun kii jilaa
ham jahaa.N hai.n vahaa.N tahaziib nahii.n pal sakatii
mufalisii hiss-e-lataafat ko miTaa detii hai
bhuuk aadaab ke saa.Nche me.n nahii.n Dhal sakatii


[nuur-e-saramaayaa=light of wealth; ruu-e-tamaddun=face of civilization]
[jilaa=shine/brightness; hiss-e-lataafat=finer feelings]
[aadaab=genteel/civilized/politeness]


log kahate hai.n to logo.n pe t’ajjub kaisaa
sach to kahate hai.n ki naadaaro.n kii izzat kaisii
log kahate hai.n – magar aap abhii tak chup hai.n
aap bhii kahiye Gariibo.n me.n sharaafat kaisii


[naadaaro.n=poor]


nek maadaam! Bahut jald vo daur aayegaa
jab hame.n ziist ke adavaar parakhane ho.nge
apanii zillat kii qasam, aap kii azamat kii qasam
hamako taa’ziim ke me_aar parakhane ho.nge


[ziist=life; adavaar=values; zillat=humiliation]
[azamat=greatness; taa’ziim=respect; me_aar=level]


hamane har daur me.n tazaliil sahii hai lekin
hamane har daur ke chehare ko ziyaa baKhshii hai
hamane har daur me.n mehanat ke sitam jhele hai.n
hamane har daur ke haatho.n ko hinaa baKhshii hai


[tazaliil=insult; ziyaa=brightness/brilliance]


lekin in talKh mubaahis se bhalaa kyaa haasil
log kahate hai.n to phir Thiik hii kahate ho.nge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul me.n i.nsaan na rahate ho.nge


[talKh=bitter; mubaahis=arguments]



Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:19 AM

Mai.n zi.ndaa huu.N ye mushtahar kiijiye







mai.n zi.ndaa huu.N ye mushtahar kiijiye
mere qaatilo.n ko Khabar kiijiye


zamiin saKht hai aasamaa.N duur
basar ho sake to basar kiijiye


sitam ke bahut se hai.n radd-e-amal
zaruurii nahii.n chashm-e-tar kiijiye


vahii zulm baar-e-digar hai to phir
vahii zulm baar-e-digar kiijiye


qafas to.Danaa baad kii baat hai
abhii Khvaahish-e-baal-o-par kiijiye


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:20 AM

Mohabbat tark kii mai.n ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne





mohabbat tark kii mai.n ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa mai.n ne

[tark=renounce; garebaa.N=dress/clothing]

abhii zi.ndaa huu.N lekin sochataa rahataa huu.N Khalvat me.n
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa mai.n ne

[Khalvat=solitude]

u.nhe.n apanaa nahii.n sakataa magar itanaa bhii kyaa kam hai
ki kuchh muddat hasii.n Khvaabo.n me.n kho kar jii liyaa mai.n ne

bas ab to daaman-e-dil chho.D do bekaar ummiido
bahut dukh sah liye mai.n ne bahut din jii liyaa mai.n ne

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:20 AM

Noor jahaan ke mazaar par


pahaluu-e-shaah me.n ye duKhtar-e-jamahuur kii qabar
kitane gum_gushtaa fasaano.n kaa pataa detii hai
kitane Khuurez haqaayaq se uThaatii hai naqaab
kitanii kuchalii hu_i jaano.n kaa pataa detii hai

kaise maGruur shahanshaaho.n kii taskii.n ke liye
saal_haa_saal hasiinaao.n ke baazaar lage
kaise bahakii hu_ii nazaro.n kii taa_ish ke liye
surKh mahalo.n me.n javaa.N jismo.n ke anbaar lage

sahamii sahamii sii fizaao.n me.n ye viraa.N marqad
itanaa Khaamosh hai fariyaad_kunaa ho jaise
sard shaaKho.n me.n havaa chiiKh rahii hai aise
ruuh-e-taqadiis-o-vafaa marsiyaa_Khvaa.N ho jaise

tuu merii jaa.N hairat-o-hasarat se na dekh
ham me.n ko_ii bhii jahaa.N nuur-o-jahaangiir nahii.n
tuu mujhe chho.D ke Thukaraa ke bhii jaa sakatii hai
tere haatho.n me.n meraa saat hai zanjiir nahii.n

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:20 AM

Sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n


sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n
Khudaa milaa ho jinhe.n vo Khudaa kii baat kare.n

unhe.n pataa bhii chale.n aur vo Khafaa bhii na ho
is ehatiyaat se kyaa mazaa kii baat kare.n

hamaare ahad kii tahaziib me.n qabaa hii nahii.n
agar qabaa ho to band-e-qabaa kii baat kare.n

har ek daur kaa mazahab nayaa Khudaa laataa
kare.n to ham bhii magar kis Khudaa kii baat kare.n

vafaa_shiyaar ka_ii hai.n ko_ii hasii.n bhii to ho
chalo phir aaj usii bevafaa kii baat kare.n

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:21 AM

Shahakaar




musavvir mai.n teraa shahakaar vaapas karane aayaa huu.N


ab in rangiin ruKhasaaro.n me.n tho.Dii zardiyaa.N bhar de
hijaab aaluud nazaro.n me.n zaraa bebaakiyaa.N bhar de
labo.n kii bhiigii bhiigii silvaTo.n ko muzamahil kar de
numaayaa.N rag-e-peshaanii pe aks-e-soz-e-dil kar de
tabassum aafrii.N chehare me.n kuchh sa.njiidaapan bhar de
javaa.N siine ke makhruutii uThaane.n sar_niguu.N kar de
ghane baalo.n ko kam kar de, magar raKhsha.ndagii de de
nazar se tamkanat le kar mizaaj-e-aajizii de de
magar haa.N bench ke badale ise sofe pe biThalaa de
yahaa.N mere bajaaye ik chamakatii car dikhalaa de


[shahakaar=great work of art; mussavir=artist; hijab aaluud=shy]
[muzamahil=restless; rag-e-peshaanii pe=on the forehead]
[tabassum aafrii.N=smiling; makhruutii =round and pointed]
[sar_niguu.N=looking down; raKhsha.ndagii=shine]
[tamkanat=pride; mizaj-e-aajizii=humbleness]

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:21 AM

Shikast


apane siine se lagaaye huye ummiid kii laash
muddato.n ziist ko naashaad kiyaa hai mai.n ne
tuu ne to ek hii sadame se kiyaa thaa do chaar
dil ko har tarah se barbaad kiyaa hai mai.n ne
jab bhii raaho.n me.n nazar aaye hariirii malabuus
sard aaho.n se tujhe yaad kiyaa hai mai.n ne

[laash = corpse; muddat = (long) period of time]
[ziist = life; naashaad = unhappy; sadamaa = shock]
[hariirii = silken; malabuus = garment; sard = cold]

aur ab jab ki merii ruuh kii pahanaa_ii me.n
ek sunasaan sii maGmuum ghaTaa chhaa_ii hai
tuu damakate hu_e aariz kii shuaaye.N lekar
gul_shudaa shamm_e.N jalaane ko chalii aa_ii hai

[ruuh = soul; sunasaan = desolate; maGmuum = sad/grieving]
[ghaTaa = cloud; aariz = cheek; shuaaye.N = flames/lustre]
[gul_shudaa = extinguished]

merii mahabuub ye hangaamaa-e-tajadiid-e-vafaa
merii afasurdaa javaanii ke liye raas nahii.n
mai.n ne jo phuul chune the tere qadamo.n ke liye
un kaa dhu.ndhalaa-saa tasavvur bhii mere paas nahii.n

[mahabuub = beloved; tajadiid-e-vafaa = renewal of faith/love]
[afasurdaa = dejected/melancholy; raas = suitable]
[qadamo.n = feet; dhu.ndhalaa-saa = indistinct/ill-defined]
[tasavvur = imagination]

ek yaKh_bastaa udaasii hai dil-o-jaa.N pe muhiit
ab merii ruuh me.n baaqii hai na ummiid na josh
rah gayaa dab ke giraa.N_baar salaasil ke tale
merii daramaandaa javaanii kii umango.n kaa Kharosh

[yaKh_bastaa = frozen; udaasii = sadness]
[muhiit = cover/spread over; baaqii = left/remains]
[josh = enthusiasm/zeal; giraa.N_baar = heavily burdened]
[salaasil = shackles/chains; tale = underneath]
[daramaandaa = helpless/distressed; javaanii = youth]
[umang = enthusiasm; Kharosh = tumult/loud cry]

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:22 AM

Sochataa huu.N



sochataa huu.N ki muhabbat se kinaaraa kart luu.N
dil ko begaanaa-e-taraGiib-o-tamannaa kar luu.N


[begaanaa-e-taraGiib-o-tamannaa=devoid of inspiration and desire]


sochataa huu.N ki muhabbat hai junuun-e-rasavaa
cha.nd bekaar-se behuudaa Khayaalo.n kaa hujuum
ek aazaad ko paaba.nd banaane kii havas
ek begaane ko apanaane kii sa_i-e-mauhuum


[rusavaa=bad name/infamy/notoriety (sometimes it also stands for reputation)]
[sa_i-e-mauhuum=illusionary effort]


sochataa huu.N ki muhabbat hai suruur-e-mastii
isakii tanviir me.n raushan hai fazaa-e-hastii


[tanviir=light; fazaa-e-hastii=environment of life]


sochataa huu.N ki muhabbat hai bashar kii fitarat
isakaa miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai
sochataa huu.N ki muhabbat se hai taabi.ndaa hayaat
aap ye shamaa bujhaa denaa bahut mushkil hai


[bashar=man; fitarat=nature; taabi.ndaa=lighted; hayaat=life]


sochataa huu.N ki muhabbat pe ka.Dii sharte.n hai.n
ik tamaddun me.n masarrat pe ba.Dii shart.en hai.n


[tamaddun=culture]


sochataa huu.N ki muhabbat hai ik afasurdaa sii laash
chaadar-e-izzat-o-naamuus me.n kafanaa_ii hu_ii
daur-e-sarmaayaa kii rau.ndii hu_ii rusavaa hastii
daragah-e-mazahab-o-iKhlaaq se Thukaraa_ii hu_ii


[afasurdaa=disappointment; chaadar-e-izzat-o-naamuus=sheet/cover of respect]
[daur-e-saramaayaa=age of capitalism (Sahir’s socialistic leanings peeking out here)]
[daragah-e-mazahab-o-iKhlaaq=temple of religious and moralistic opinions/viewpoints]


sochataa huu.N ki bashar aur muhabbat kaa junuu.N
aisii bosiidaa tamaddun se hai ik kaar-e-zabuu.N


[kaar-e-zabuu.N=bad deed]


sochataa huu.N ki muhabbat na bachegii zi.ndaa
pesh-az-vaqt kii sa.D jaaye ye galatii hu_ii laash
yahii behatar hai ki begaanaa-e-ulfat hokar
apane siine me.n karuu.N jazb-e-nafarat kii talaash


[pesh-az-vaqt=time preceding now (past); begaanaa-e-ulfat=turned away from love]
[jazb-e-nafarat=feeling of hatred]


aur saudaa-e-muhabbat se kinaaraa kar luu.N
dil ko begaanaa-e-taraGiib-o-tamannaa kar luu.N


[saudaa-e-muhabbat=madness of love]



Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:23 AM

Teraa Khayaal dil se miTaayaa nahii.n abhii




teraa Khayaal dil se miTaayaa nahii.n abhii
bedard mai.n ne tujh ko bhulaayaa nahii.n abhii

kal tuune muskuraa ke jalaayaa thaa Khud jise
siine aa vo charaaG bujhaayaa nahii.n abhii

gardaan ko aaj bhii tere baaho.n kii yaad hai
chaukhaT se terii sar ko uThaayaa nahii.n abhii

behosh hoke jald tujhe hosh aa gaayaa
mai.n badanasiib hosh me.n aayaa nahii.n abhii

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:23 AM

Tumhaarii mast nazar agar idhar nahii.n hotii






tumhaarii mast nazar agar idhar nahii.n hotii
nashe me.n chuur fizaa is kadar nahii.n hotii


tumhii.n ko dekhane kii dil me.n aarazuue.n hai.n
tamhaare aage hii aur uu.Nchii nazar nahii.n hotii


Khafaa na honaa agar ba.D ke thaam luu.N daaman
ye dil fareb Khataa jaan kar nahii.n hotii


tumhaare aane talak ham ko hosh rahataa hai
phir usake baad hame.n kuchh Khabar nahii.n hotii





Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:24 AM

Umiid - vo subah kabhii to aayegii





vo subah kabhii to aayegii


in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa
jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGme gaayegii


vo subah kabhii to aayegii


jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam faramaayegii


vo subah kabhii to aayegii


maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaayegii


vo subah kabhii to aayegii


daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaayegaa
chaahat ko naa kuchalaa jaayegaa, izzat ko naa bechaa jaayegaa
apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaayegii


vo subah kabhii to aayegii


biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuuk ke aur bekaarii ke
TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii ijaaraadaarii ke
jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaayegii


vo subah kabhii to aayegii


majabuur bu.Daapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na pha.Nkegaa
maasuum la.Dakapan jab ga.ndii galiyo.n me.n bhiik na maa.Ngegaa
haq maa.Ngane waalo.n ko jis din sulii na dikhaaii jaayegii


vo subah kabhii to aayegii


faaaqo.n kii chitaao.n par jis din insaa.N na jalaaye jaaye.nge
siine ke dahakate dozakh me.n aramaa.N na jalaaye jaaye.nge
ye narak se bhii ga.ndii duniyaa, jab swarg banaaii jaayegii


vo subah kabhii to aayegii


jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii


vo subah kabhii to aayegii



Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:24 AM

ye husn teraa ye ishq meraa


ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad_naam sahii
mujh par to ka_ii ilzaam lage
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii

is raat kii nikharii rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zaraa
nazaro.n ko bahak jaane de zaraa
zulfo.n ko bikhar jaane de zaraa
kuchh der kii hii taskiin sahii
kuchh der kaa hii aaraam sahii

jazbaat kii kaliyaa.N chunanaa hai
aur pyaar kaa tohfaa denaa hai
logo.n kii nigaahe.n kuchh bhii kahe.n
logo.n se hame.n kyaa lenaa hai
ye Khaas ta'alluq aapas kaa
duniyaa kii nazar me.n aam sahii

rusavaa_ii ke Dar se ghabaraa kar
ham tark-e-vafaa kab karate hai.n
jis dil ko basaa le.n pahaluu me.n
us dil ko judaa kab karate hai.n
jo hashr huaa hai laakho.n kaa
apanaa bhii vahii anjaam sahii

ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad_naam sahii
mujh par to ka_ii ilzaam lage
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:28 AM

Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai.

Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:29 AM

Intizaar



chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai

duur vaadii meN duudhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meN naakaam hasrateN lekar
ham teraa intizaar karte haiN

in bahaaroN ke saaye meN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naa-muraadoN par
kal talak meh’rbaaN rahe na rahe

roz kii tarah aaj bhii taare
subh kii gard meN na kho jaayeN
aa ! tere Gham meN jaagtii aankheN
kam se kam aik raat so jaayeN

chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:29 AM

Tum ne kitne sapne dekhe




tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit bune
is duniyaa ke shor meN lekin dil kii dhaRkan kaun sune

sargam kii aavaaz pe sar dhunne vaale laakhoN paaye
naGhmoN kii khiltii kaliyaaN chun-ne vaale laakhoN paaye
raakh hu’aa dil jin meN jal kar vo angaare kaun chune
tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune

armaanoN ke suune ghar meN har aahaT be-gaanii niklii
dil ne jab nazdiik se dekhaa, har suurat anjaanii niklii
bojhal ghaRiyaaN ginte ginte sadme ho gaye laakh gune
tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune


Posted by: HarshBhatt Feb 1 2008, 08:31 AM

halaat se laRhna mushkil tha
halaat se rishta jorh liya
jis raat ki koi subah na thi
uss raat se rishta jorh liya

Posted by: anjvajay Feb 3 2008, 08:24 AM

Harsh ji,
Is khoobsurat guldaste ke liye shukriya .
Aur ek hi din mein itna saara kuchh...

Posted by: HarshBhatt Feb 3 2008, 09:50 AM

QUOTE(anjvajay @ Feb 3 2008, 08:24 AM) *

Harsh ji,
Is khoobsurat guldaste ke liye shukriya .
Aur ek hi din mein itna saara kuchh...



Thanks, I have been reading his work on net, just collected it from different sites and posted it here.

Posted by: HarshBhatt Feb 3 2008, 10:34 AM

Here is one of my favourites

Khoon Apna Ho Ya Paraya



Khoon Apna Ho Ya Paraya Ho Nasle Adam Ka Khoon Hai Akhir
Jung Mashirk Mein Ho Ke Magrib Mein Amne Alam Ka Khoon Hai Akhir

Bum Gharon Per Giren Ke Sarhad Per Ruh-e-Tamir Zakhm Khati Hai
Khet Apne Jalen Ke Aurron Ke Zeest Phako Se Tilmilati Hai

Tank Agey Badhey Ke Pichey Hatey Kokh Dharti Ki Banjh Hoti Hai
Fateh Ka Jashen Ho Ke Haar Ka Sog Zindagi Maiyaton Pe Roti Hai

Bartaree Ke Saboot Ki Khatir Khoon Bahana Hi Kya Zaroori Hai?
Ghar Ki Tareeqiyan Mitane Ko Ghar Jalana Hi Kya Zaroori Hai?

Jung To Khud Hi Ek Masaail Hai Jung Kya Masaailon Ka Hal Degi
Aag Aur Khoon Aaj Bakhshegi Bhookh Aur Ahtiyaaz Kal Daigi

Isliaye Aai Shareef Insano Jung Talti Rahe To Behtar Hai
Aap Aur Hum Sabhi Ke Aangan Mein Shamma Jalti Rahe To Behtar Hai


English Translation


Whether blood be ours or theirs, Its the blood of mankind.
Whether wars be waged in the east or west, It is the murder of world-peace.

Whether houses be bombed or borders The temple of the Soul is wounded.
Whether our farms be torched or others' It is life that convulses with hunger.

Whether tanks roll forward or retreat, The earth's womb is desecrated.
Whether its the celebration of victory or mourning of loss, It is Life that weeps at the graveside.

War is a problem itself. How will war resolve problems?
Today it will rain fire and blood, Tomorrow, hunger and scarcity.

Thus, O' all people of decency, Its better if war is averted.
And better too, if in our courtyards The flame of peace flickers ceaselessly.

Posted by: hildebrand May 27 2009, 01:41 AM

Lovely thread. Sahir sahab was definitely a Shayar first and then a lyricist. smile.gif

Posted by: Achyntu May 21 2012, 03:18 AM

Kya miliye..

Kya miliye aise logon se, jinki fitrat chhupi rahe,
Naqli chehra saamne aaye, asli surat chhupi rahe.

Khud se bhi jo khud ko chhupaaye, kya unse pehchaan karen,
Kya unke daaman se lipten, kya unka samman karen.
Jinki aadhi neeyat ubhare, aadhi neeyat chhupi rahe,
Naqli chehra saamne aaye, asli surat chhupi rahe.

Dildaari ka dhong rachaakar, jaal bichhaaye baaton ka,
Jeeteji ka rishta kehkar, sukh dhoondhe kuchh raaton ka,
Rooh ki hasrat lab par aaye, jism ki hasrat chhupi rahe,
Naqli chehra saamne aaye, asli surat chhupi rahe.

Jinke zulm se dukhi hai janta, har basti har gaaon mein,
Daya dharam ki baat karen woh, baith ke saji sabhaaon mein,
Daan ka charcha ghar-ghar pahunche, loot ki daulat chhupi rahe,
Naqli chehra saamne aaye, asli surat chhupi rahe.

Dekhen in naqli chehron ki, kab tak jai-jaikaar chale,
Ujale kapdon ki teh mein, kab tak kaala sansaar chale,
Kab tak logon ki nazaron se, chhupi haqeeqat chhupi rahe,
Naqli chehra saamne aaye, asli surat chhupi rahe.

Powered by Invision Power Board (http://www.invisionboard.com)
© Invision Power Services (http://www.invisionpower.com)